Вы находитесь на странице: 1из 2

Lahore ke uss Pehle jile ke Do pargana mein pahunche

Resham gali ki Dooje kuche ke Chauthe makaan mein pahunche

Aur kehte hai jisko Dooja mulk uss Pakistan mein pahunche

Likhta hun khat mein Hindustan se Pehlu e Husna mein pahunche

O Husna

Main to hun baitha O Husna meri Yaadon purani mein khoya

Main to hun baitha O Husna meri Yaadon purani mein khoya

Pal pal ko ginta Pal pal ko chunta Beeti kahani mein khoya Patte jab jhadte Hindustan mein Yaadien tumhari ye bolein Hota ujala, Hindustan mein, batein tumhari ye bolein O Husnaa meri yeh to batado Hota hai aisa kya Uss gulistan mein Rehti ho nanhee kabutar see gum tum jahaan O Husna

Patte kya jhadte hain Pakistan mein Vaise hi jaise jhadte yahaan O Husna

Hota ujala kya vaisa hi hai Jaisa hota Hindustan mein haan O Husna

Woh heeron ke ranjhe Ke nagmein mujhko Ab tak aa aake sataien Woh Bulley Shah ki Takriro ki, jheene jheene saaye Woh Id ki iddi Lambi namazey Seyvaiyon ki jhaale Woh Diwali key diye sang mein Baisakhi ke badal

Holi ki woh lakdi jinmein Sang sang aanch lagai Lohdi ka woh dhuan jis mein Dhadkhan hai sulgai

O Husna meri ye toh batado Lohdi ka dhuan kya ab bhi nikalta hai Jaisa nilkalta tha uss daur mein vahaan O Husna

Dhuan mein gulstan yeh barbaad ho raha hai Ik rang sya kaala, ejad ho raha hai

Dhuan mein gulstan yeh barbaad ho raha hai Ik rang sya kaala, ejad ho raha hai

Dhuan mein gulstan yeh barbaad ho raha hai Ik rang sya kaala, ejad ho raha hai

Ke heeron ke ranjhon ke Nagmein kya ab bhi Sune jaate hai haan vahaan O Husna

Aur rota hai raaton mein Pakistan kya vaise hi jaise Hindustan O Husna

Вам также может понравиться