Вы находитесь на странице: 1из 3

http://creativeexpressions-manas.blogspot.

in/

Desh Hua Azaad Hamara

Desh Hua Azaad Hamara Lehraya Gagan pe Tiranga Nyara Sabke mukh par Jai Hind Naara Hua Kshitij par Naya Ujiyaara Desh Hua Azaad Hamara

Azaadi paane ki dhun me Lade Senani Jee jaan se Balidaano ki Qataar lagaye Haste-Haste Jaan Gavaye Aurr Shaan se Fir Hunkaare Amar Bharat Mahaan Hamara Desh Hua Azaad Hamara Desh Hua Azaad Hamara

Azaad Bharat ki Seema Par Padosiyo ne Ghat Lagaya Kiya Khandit Mata ke Mukut Ko Duus-saahas ye Raas Na Aaya Ek Vaar me Kuchla Humne Har Dushman Jo Saamne Aaya

Dehhshat-Gardo ki Toli ko Mitti ka Hai Dher Banaya

Desh Hua Azaad Hamara Desh Hua Azaad Hamara

Yachana karta hu Mai Sab se Jaago Apne 'Nidra Sukh se Bhul Gaye Tum Balidaano ko Azaadi ke Parwano ko Ye unke Khoon ki Laali hai Ye unke Khoon ki Laali hai Jo Tirange pe Lehraati hai Jo Sukoon ki Saans Tum Lete ho Bhavishya ke Sapne Sanjote ho Ye bhi Kisi ka Bhavishya tha Jis par Tum aaj Jeete ho

Na Bhulo Unki Kurbaani ko Samzo Zimmedari ko Ye Desh Tumhara Apna hai Pragati Jiska Sapna hai Waqt Aaya hai Kuch Karne ka Veero ka Karz Chukaane ka Gharo me Chupe kya Baithe ho

Ye Waqt hai Kranti Lane ka

Srijan kare nav jeevan dhara Desh hua azaad hamara Desh hua azaad hamara

By MANAS TEMURNIKAR

http://creativeexpressions-manas.blogspot.in/

Вам также может понравиться