Вы находитесь на странице: 1из 14

GOPIYOO KE SHRIKRISHNA....... ----------------------------------------ek katha hai-------5 sakhiyaa thee,sab shrikrishna ki bhakt thee..

ek samay ve vaan(forest) me bathee phuloo ki mala guth rahi thee.. to vaha ek sadhu aa nikalee.sadhu ko rookar sakhiyoo ne kaha------Mahatma!!!!!! hamare pran-nath shrikrishna vaan me kahi khoo gaye hai,unhe apne dekha ho to bata dejeyee... to sadhu ne kaha-----are pagliyoo !!!!!!!!! shrikrishna yoo milte hai kya? unke liye ghor taap karna chahiyee. ve Rajrajeshwar hai,krodhi hone pe dand dete hai aur khush hote hai to puraskar. sakhiyoo ne kaha-mahatmaji !!!!!!!!!!! apke ve shrikrishna dusaree honge,hamare shrikrishna to rajrajeshwar nahi hai,ve to hamare pranpati hai. ve hame puraskar kya denge !!!!!

unke kosh ki kunji to hamare hi pass rehti hai. dand to vo kabhi nahi dete. yadi hamse koi galti ho bhi jaye to hame kadvi dava pilayee hai,vo bhi dand nahi prem hi hai. sadhu unke baat sunkar mast hoo gaya,ve sakhiyaa apne shrikrishna ko yaad karke nachane lagi aur sath hi sadhu bhi tanmay hokar nachane lage.... ==================

ek din shyamsundar keh rahe thee---Maiya!!!!!!!!!!!!!! mujhe makhan bhata hai,tu mewa-pakvaan ke liye kehti hai,parantu mujhe to ve rachate hi nahi.. vahi pechee ek gopi shyamsundar ki baat sun rahi thee usne maan hi maan kamana ki-----mai kab inhe apne ghar makhaan khate dekhungi? ye mathani ke pass jake batheengee,mai chupke se dekhungi. prabhu to antaryami hai,gopi ke maan ki jaan gaye aur uske ghar pahuchee aur uske ghar ka makhaan khake usse sukh diya.... us gopi ko itna anand huwa ki vah phulee na samayee. vah khushi se phulee-phulee phirne lagi. anand uske hridya me sama nahi raha tha

sahiliyoo ne poocha----ari tujhe kahi kuch padha dhan mil gaya hai kya? vah to yeh sunkar aur bhi prem me doob gayi. uske room-room khil utha,vah gaad-gaad ho gayi,muu se boli nahi nikali. sakhiyoo ne kaha-----sakhi!!!!!!!! aise kya baat hai,hame sunati kyu nahi? hamare sharir hi 2 hai,hamara jee to ek hi hai-----hum tum dono ek swaroop hi hai, bhala hamse chipane ki kaun se baat hai? tab uske muu se itna hi nikala...------maine aaj anup roop dekha hai,bus phir vaani ruuk gayi aur prem ki aasu behanee lagee.... sabhi gopiyoo ki yahi dasha thee.... =================== leela... Radhey Radhey.... Radha ne ek din suna aajkal priyatam sada mere

prem ki badi prashansha kar rahe hai,isse ve ek din udas man ekant me bathee apne dosho ke mansik ankit kar rahi thee aur hath ki ungli se laaj ke mare dharti kured rahi thee... itne me ek sakhi ne aakar umang bhare shabdoo me kaha---pyari ladli are meri baat sun,aaj subah yamuna tat par sawaree aaye thee,vaha hum bahut se sakhiyaa thee. shyam sundar ne premanand ashruu se jhalagti aakhoo se sukh bhare hridya se sabhi ko sukh dene wale bade madhur vachan kahe. priyatam ke mukh se nikalee un saras vachanoo ko sab sakhiyoo ne suna ve vachan thee-"sakhiyoo radha ke samaan roop,sheel aur gunoo ki khaan meri param premika jagat me kahi koi hai hi nahi."

priyatam ke mukh kamal se apni pyari sakhi ke gungaan se bhare in shabdoo ko sunte hi sab sakhiyoo ke mukhkamal turant khil utee--aseem madhur muskaan se bhar gaye aur ve pyare priyatam ke vachanoo ke dhanya-dhanya kehti huwi boli--hamari pyari radhika param dhanya hai,jinki prashanshaa priyatam karte hai.... Sakhi ne jab yah baat sunayee aur unhone jab priyatam ke tatha sakhiyoo ke dwara apni prashansha ke vakya sunne tab unke netroo se aasu behane lagee---ve rookar apne doshoo ka bakhaan karti huwe kehne lagi---"Sakhi mai to gunoo ki nahi avagunoo ki khaan hu. sharir hi goora hai,maan ki badi kali hu.mere pran papoo se bharee hai mere maan me tanik bhi tyag nahi hai,varan

aseem abhimaan bhara hai. prem ka lesh bhi nahi hai,nirantaar apne sukh ka hi dhyaan rehta hai. jab jagat ke dukh abhaav satate hai,maan ne pidhaa ka anubhav hota hai, tab us dukh se aakhee aasuu bahane lagti hai.. usme kahi tanik bhi prem bahi hai,par mai un dukh ke aasuuo ko mahaan pavitra prem ke roop me dikhlati hu,kapat karti hu. mere priyatam shyamsundar bade bholee aur nirmal hridya ke hai,ve mugdha hokar mere gungaan karne lagte hai aur mujhko param premika maankar mere prem ki sarhana karne lagte hai. tum log bhi sab milkar mere prashansha karne lagti ho. tab mai sachmuch apne ko premika mankaar abhimaan se bhar jati hu. mere ve shyam saral hridya ke hai,unko mai bhati-bhati vidhaan rachkar raat-din thagti rehti

hu. mere is jeevan ko dhikaar hai,aur mere is prem ke mithya abhimaan ko bhi dhikaar hai...... ====================== leela.... Radhey Radhey.... ek baar bhagwan shivji,shri krishna prem prapt karne ki kunji unse poochatee hai... to shrikrishna ne shivji se kaha---vatsah,jo vyakti kewal ek baar hum dono ki sharan me aakar ya ek matra meri priya shri radha ki hi sharan me aakar unke ananya bhav se sewa karta hai,vah mujhko prapt hota hai. maheshwar! iske vipreet jo kewal meri sharan me aa gaya hai,par meri priya ki sharan me nahi

aaya,vah mujhko kabhi prapt nahi hoga-yah mai satya kehta hu. jo vyakti ek baar bhi hum logo ki sharan me aakar "mai tum logo ka hu" yo keh deta hai,vah bina hi sadhan mujhko prapt hota hai. aataav sab prakar se prayatnah karke meri priyatama radha ki sharan grahan karo. he rudra! yadi mujhe vash me karna chahte ho to meri priyatama shri radha ka aashryah grahan karo..... ==================== leela Radhey Radhey.... ek din shri radhaji ekaant me kisi mahaan bhav me bathee thee. ek shrikrishna prema sakhi ne aakar badi hi namrata se unse priyatam shrikrishna aur unka vishudh ananya prem prapt karne ka sadhan pucha.

bus shrikrishna prem ke sadhan ka naam sunte hi shriradhikaji ke netroo se aasuoo ki dhara beh chali aur ve gaad-gaad vani se roote huwe boli----' are sakhi! mai kya sadhan bataoo,mere pass to kuch aur hai hi nahi.mere tan,man, pran,dhan,kul,ghar,sheel,maan,abhimaan--sabhi kuch ek matra ve shyam sundar hi hai. is radha ke pass asrujal ko chodkar aur koi dhan hai hi nahi. jiske badle me un premdhan neelkant mani ko prapt kiya jaye. sajani! tum yah param saar samjho-amulya shyam prem ka mulya kewal pavitra aasuoo ki dhara hi hai. sab kuch unhe ko samarpan kar,sab kuch unhe ko samajkar unhe ke prem se unhe ke liye jo

niraantar prem asruoo ki dhara behti rehti hai,bus vah pavitra asrujal hi unke prem ko prapt karne ka ek matra upay hai. yeh hai unke sadhan ka swaroop. ==================== Thakurji ki katheyein , " " , " ,

- , , -, , - ? -

, , .... ...

=============================

Вам также может понравиться