Вы находитесь на странице: 1из 15

(Hadiya maliha sheikh (Nairobi Kenya) JHAT PHAT BIBI KA MOJEZA (BIBI FIZZA)

ADAAB E KAHAANI
KHUSHBOO LAGAYE APNAY KHULAY SAR KO DHAANMP LEE JIYE BA ADAB BETHAIN AUR YE SAMAJH LAIN KE AAP IS WAQT JANAB E SAYEADA MASOOMA KE HAZOOR MAIN HAZIR HAIN. FAZOOLM AUR LUGHV BATON KO TARK KAR DAIN HANSI KO ZABT KARAIN MOJEZA JO BAYAAN KIYE JAA RAHAY HAIN, AITEQAAD

RAKHTAY HUAY KHALOOS E DIL SUNIYE AUR SHIREENEE KO JO AAP KO TAQSEEM MAIN MILI HAI EHTARAAM KE SAATH NOSH KARAIN.

TAREEQA IBTIDA E KAHANI


1. AWAL O AKHIR TEEN BAAR DAROOD 2. SAAT MARTABA SURA E ALHAMD 3. SAAT MARTABA SURA E IKHLAAS 4. NAZAR E BIBI FIZZA

KAHAANI

AIK

BIBI

NUSRANI

THEE.

GHAR

KI

GHARIB OR GODI BHI AULAAD SAY KHALI, GHAR MAY BAJIZ SHOHAR KAY AUR KOI NA THA. SHOHAR MEHNAT MAZDOORI KAR KAY JO DIN BHAR PAATA THA ISI MAIN KHANAY PEENAY KA

INTEZAAM KARTA THA. YUN HI ZINDAGI BASAR HOTI THI. ZYADA TAR FAQA SAY BASAR HOTI THEE LEKIN MIAN BIWI DONO KHUDA PAR SHAKIR REH KAR SABR SE KAAM LETE THEY. RAFTA RAFTA

UMAR BHI GUZARTI GAYEE. AB ZAYEEFI KA WAQT AANAY LAGA.

DIL MALOOL REHTA THA. KYUNKE BAAD UN KAY AAINDA NASAL BAAQI REHAY KI UMEED NAA THI. AIK DIN AIK ZAYEEFA BIBI TASHREEF LAAIN. POOCHA, KYUN BIBI NUSRANI! TUM AAJ KAL ITNI

GHAMGEEN RAHA KARTI HO, KOI KHAAS BAAT HO TO BYAAN KARO. YEH TO MAALOOM HAI KE ZAYEEFI O GHAREEBI SAATH NAHI CHORTI HAI. IS KA TUM KO GHAM BHI NAHI HAI. HAMESHA TUM NAY

SABR O SHUKR SAY ZINDAGI BASAR KI HAI. AB KYA NAYEE BAAT HAI? BIBI NUSRANI NAY JAWAB DIYA. BIBI KYA KAHOON KISMAT KI BAAT HAI. GHARIBI TO GHARIBI HI HAI , MAIN IS UMAR TAK AULAAD SAY BHI MAHROOM HOON. BIBI ZAYEEFA NAY KAHA, BETI GHAM NAA KARO. ALLAH KAY IKHTYAAR MAI SAB KUCH HAI. WO CHAHAY JISAY MURDA KAR DAY AUR JISAY CHAHAY ZINDA KAR DAY, SOOKHAY DARAKHT KO HARA KAR DAY OR BAY AULAAD TO SAHIB E AULAD KAR DAY.

ACHA TUM JHAT PHAT BIBI KI KAHANI MAAN LO. KHUDA WAND TAALA

TUMHARI YE MUSHKIL ASAAN KAR DE GA. YE KEH KAR BIBI ZAYEEFA TASHREEF LAY GAYEEN. NUSRANI BIBI NAY FORAN KAHANI MAAN LEE. KHUDA NAY USKO AIK FARZAND HUSSEIN O JAMEEL ATTA FARMAYA. AULAAD SAY GHAR ABAAD HO GAYA. NUSRANI BIBI KO MANNAT POORI KARNAY KA KHAYAAL AAYA. FIKAR

MAND HUI KE KYUNKAR MANNAT POORI KAR DOON. ZAEEFA SAY TARQEEB BHI NAA POOCHI KE JAB MANNAT POORI HO

JAYE TO KIS TARHA MANNAT UTAARI JAYE.

ITNAY MAIN SHAAM HONAY LAGI. DEKHA KE AIK NAQAAB POSH BIBI TASHREEF LAYIN AUR BOLEEN, TUM NAY ABHI TAK MANNAT NAHI UTAARI? NUSRANI AURAT UN KAY KADMON MAIN GIR PAREE AUR GIR GIRA KAY BOLEE! MAIN AAP HI KO BARAABAR YAAD KARTI THI. KHUDA KA SHUKAR HAI KE AAP TASHREEF LAI AAYEE. AAP KI BATLAAI HUI MANNAT SAY AAJ MERI GODH MAIN AIK BACHA NAZAR AA RAHA HAI. MAGAR MAIN NAY

AAP SE MANNAT UTARNAY KI TARQEEB NAHI POOCHEE THI. AB AAP BATAAIN KE KYUNKAR MANNAT UTAAROON?

BIBI ZAEEFA NAY JAWAB DIYA. PAANCH MITHAI MANGAO AUR KAHANI JO

KAHOON WHO BAGHOR SUN LO. MITHAI KO KAAT DALO. KO DO KAHAANI HISAAY, KEHNAY KAHAANI

WALAAY

SUNAN WALAY KO BHI DO HISAY AUR LAANAY WALAY KO AIK HISA TAQSEEM KAR DO. PHIR ZAEEFA NAY KAHANI KEHNI SHURU KI.

AIK ROZ

AMIR UL MOMINEEN KUCH

AATA JOH KA LAYE AUR JANAB E FATEMA ZAHRA KO DIYA KE ROTIYAAN TAYIAR KARO. AAJ TUMHARAY PIDAR

BAZURGUWAAR (RASUL E KHUDA)) KO MAIN NAY KHANAY PAR BULAYA HAI. JANAAB E SAYEDA NAY KHUSHI KHUSHI ATA KHAMEER KIYA AUR ROTIYAAN

TAYAAR KEEN. JANAB E RASUL E KHUDA BAAD E NAMAAZ MAGHRIB TASHREEF LAYE. JANABE SAYEDA NAY DASTER KHAWAN LAGAYA. MOHSIN PAAK BAAP NAY AIK SAATH KHANA TANAWUL FARMAYA. AUR JANAB

E PEGHAMBAR JAB RUKHSAT HONAY LAGAY TO JANAAB E SAYEEDA NAY ARZ KIYA KEH BABA JAAN, ISI TARHA KAL AAP MERI TARAF SAY KHAANA NOSH FARMAYE GA. RASUL ALLAH NAY

KABOOL FARMAYA.

PHIR HAZRAT ALI AMIR UL MOMINEEN KAHEEN SAY AATA JOH KO LAYE AUR JANAB E FATMA ZAHRA SAY KHANA TAYIAR KARNAY KO KAHA. BAAD E NAMAAZ MAGHRIB RASUL E KHUDA TASHREEF LAYE AUR SAB KE SAATH

KHANA

KHAYA.

JAB

JANAB

PEGHAMBAR WAPIS JAANAY LAGAY TO HAZRAT IMAM HASSAN NAY NIHAYAAT ADAB SAY ARZ KI NANA JAAN MERI TARAF SAY BHI DAWAT KABOOL

FARMAIYE. IRSHAAD HUA, ACHA BETA, TUMHARI DAWAT BHI KABOOL.

PHIR KHANAY KAY INTEZAMAAT HUEY AUR JANAB E RASUL E KAREEM

TASHREEF LAYE AUR KHANA TANAWUL FARMAYA. JAB WAAPSI KA IRAADA KIYA TO HAZRAT IMAM HUSSEIN NANA JAAN KAY GALAY MAIN BAHAIN DAAL KAR

BOLAY,

NANA

JAAN

KYA

MUJH

KO

MEHROOM

RAKHIYE

GAA?

NANA

SAMAJH GAYE. FARMAYA BETA HUSSEIN TUMHARI BHI DAWAT KABOOL HAI.

CHUNACHA

HASB

DASTOOR

PHIR

SAMAAN KHANAY KE FARAHAM HUEY AUR NABI KAREEM TASHREEF LAYE.

JAB KHANAY SEY FARAGHAT PAA KAR AAP RUKHSAT HONAY LAGAY TO FIZZA (KANEEZ) DARWAZAY TAK POHANCH

AAYEE AUR DASTA BADASTA ARZ KIYA KE YA RASUL ALLAH, YEH KANEEZ BHI

AARZOO MAND HAI KEH HAZOOR KAL MERI TARAF SAY DAWAT KABOOL

FARMAYE. HAZRAT NAY DARKHUWAST KABOOL FARMA LEE.

ITEFAQ SAY FIZZA KO SAMAAN MUHAYA NAA HO SAKA. IDHAR SHAAM HONAY KO KAREEB THEE MAGAR KISI SAY IS

SILSILAY MAIN KOI TAZKARA NAA KIYA. (DOR ZAMAANA RAMZAAN KA THA) Jab Rasul e Khuda namaaz e maghrib say faarigh ho chukey to Jibrael e Ameen nazil hooyae aur farmaya, Ya Habeeb e Khuda aaj aap ka iftaar fizza ke ghar per hai. Rehmat e do alam foran

rawaana huay. Darwaazay per pohanch kar dastak dee. Aur ba awaaz e buland beti ko mukhatib kar ke kaha, ai beti tum par salaam ho. Janab e sayyeda awaaz pehchaan kar darwazay tak aayee magar kisi hud tak motajab thee keh aaj baba jaan nay kyun kar takleef farmaee, kyun ke aftaar ke liye kuch bhi naa tha. Al gharz rasul e khuda andar tashreef laye.

Thori der kay baad beti say bolay. Ai para e jigar fatema aaj hum fizza ke mehmaan hain. Janaab e ameer ul momineen nay fizza ko alag bulaa kar farmaya, aye fizza tu nay rasul e khuda ko khanay ki dawat dee lekin hum se zikr bhi nahi

kiya. Fizza nay arz ki, ya ameer ul momineen mujhe ghar ke halaat khoob maaloom hain is liye tazkara naa kar saki. Socha tha ke main khud hi intezaam kar loon gee.

Ye keh kar fizza nay wazoo kiya aur goshaey main jaa kar do rakaat namaaz e hajat ada ki. Dono haathon ko buland kar ke girgira kar boleen , aye khaliq e har bulandi-o-pasti main tere

habeeb ki beti ki kaneez hoon aur teray habeeb ko apna mehmaan kiya hai. Tu jaanta hai ke main kya hoon. Is liye thujhay thereey kibriyaai ka wasta deti hoon ke aaj meri laaj rakh lay aur apne

mehboob aur un ki aal e paak say surkharoo kar de.

Abhi fizza dua hi maang rahi theen ke saara ghar khanay ki khushboo say mehak utha. Phir fizza nay dekha ke pehloo main khuwan e nehmat rakha hai. Foran woh khuwaan e nehmat le kar haazir e khidmat baa barkat rasool huin. Janab e khatmi martabat nay dariyaft kiya, fizza yeh khana kahaan paya? Fizza nay jawaab main arz kiya. Jis kay bharosay par main nay hazoor ko madaoo kiya tha usi nay bheja hai. Yaani yeh tuaam jannat say aya hai.

Вам также может понравиться