Вы находитесь на странице: 1из 2

har ek baat pe kehte ho tum ke too kya hai ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?

[ guftgoo = conversation ] na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai? [ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ] yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ? [ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree, KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching, adoo = enemy ] chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai? [ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity, rafoo = mending/darning ] jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai? [ justjoo = desire ] ragoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai ? woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ? [ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine, gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like the smell of musk ] piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? [ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ] rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? [ guftaar = speech/discourse ] huaa hai shaah ka musaahib, phire hai itaraata wagarna shehar meiN GHalib kee aabroo kya hai ? [ musaahib = comrade/associate ] husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai usse mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai [ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ] bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai [ bosa = kiss ] aur baazaar se le aaye agar TooT gaya

saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai [ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ] be_talab daiN to maza usme siwa milta hai woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai [ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ] unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ? ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai [ ushshaaq = lovers, faiz = profit ] ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai [ ham_suKHan = together, tesha = axe ] qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye kaam achchaa hai woh, jiska maaal achcha hai [ ma'aal = result ] KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai [ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ] hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko, GHalib yeh KHayaal achcha hai GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke [ bosa = kiss, tishna = thirsty ]

Вам также может понравиться