Вы находитесь на странице: 1из 12

Allaahu Ki Tashri

Allaahu
Al - Ke maane body
Laahu - Ke maane dhadkan - Rooh . Jo aap mein hain.Allaah aasmaan pe nahi ,Allaah aap ki dhadkan
hain jise hum Rooh kehte hain.
Quran
Quran (kitab) mein jab Allaah lekha jaayega tho Alif per zaber nahi aata kyon kay khud Quran maujood
hain, baaz jaga per Allaah per zaber aayega woh ek raaz hai. Quran se bahar jahan bhi Allaah likha
jaayega waha zabar alif per dena zaroori ho jaata hain kyon ke, zabar jo hain Quran ka Reference hain
Ref: Lailatul Qadar Quran ka saboot Allaah taala kehte hain main ne Quran ko lailatul Qadr per utara
Aamaal
Alif aamaal hain yaani ke insaan jo karta hai amaal har mazhab (religion) ke insaan mein maujood hain
amaal Quranke daaire mein hona chahiye . Ref: INNA MUL AAMAL BIN NEEYAT - Niyat kaun karega -
niyat teri nafs kare gi saakit rehne ke liye - amal teri Rooh karegi jo Allaah ki Zaat hain. Nafs zaahir mein
uske mujjassima ka andarooni
Nafs
Laam har insaan ka nafs hain.Agar hum Allaahu ki puri spelling kare: Alif laam zabar-al , lam lam zabar-
lal , lam lam khada alif laa, he pesh-hu = Allaahu. Yeh laam avoid karna hain -nafs ki nafi karna hain. Nafs
ki nafi karke doosre laam ko mila na hain .Agar hum yeh laam avoid nahi karenge, toh nafs ajaayega aur
osko hum avoid karenge
Shaitaan
Is nafs ko shaitaan grip mein liya huwa hain.
Ref: Qullu nafsin zaaikatul maut. Nafs mein
shaitaan hain. Hamesha waswase daalta rehta hain. Behkaata rehta hain.
Mujassima
Human body hai. Allaah tala farmare hai
Ref: Ma khalaknal jinni wa insi illa ya badoon.
Hum ne jin aur ins ko paida kiya ibadat ke liye.
Magar Woh khud ki (Khawishat ki) ibadat mein lag gaya.
Zaat-e-Majaazi
Yeh temporary hain, Allaah ki Zaat hain zinda cheese mein dhadakti hain.Hindu muslim, jhad(tree),
pahad, patthar, insaan. Zaat-e-Majaazi mein andhera aur gumraahi hain.
Zaat-e-Haq
Sirf kalma padne walon ko hi naseeb hoga.Kyon ki woh log nafs ki nafi karte hain woh logAllaah ko paa
lete hain. Zaat-e-Haq mein ujaala hi ujaala hain,roshni hi roshni hai woh Allaah ki pehchaan hain. Zaat-e-
Haq mein nafs Rooh ko surrender ho kar har amal ko Zaat ke hawaale karna chahiye kyon ki jo bhi amal
Rooh se hoga woh amal saleh hi hoga.
Ref: Sure Baqra Ayat 61- 62: Man aamana billaahi wal you mil aaqiri wa aamila salihin fa lahum ajruhum
inda Rabbihim wala qaufun alai him wa la hum yah zanoon.
Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat
ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar
Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise logo ko na khauff honga aur na ranj honga.
Rooh
Har ek mein dhadak rahi hain jo pehle Zaat-e-Majazi hain Kalma padne se Zaat-e-haq banti hain Rooh
uski dhadkan hain,jo log khada alif, jo Allaah ke upar hain, uska istemal na karne se Zaat-e-Majazi mein
hi bhatakte rehte hain. Unki Rooh zinda nahi hoti. Jo khada alif hain uska haq ada karna hoga yaani ki
teen hisse mein keechna honga jab hi tumhaare andar Zaat-e-Haq Rooh zinda hogi
A L L A A A A H U
Isi tarah kalme ko keech kar padna hoga
LA - ILA HA - ILAL LAAAA - HU.

BISMILLAAAH - HIR REHMAA-NIR-RAHEEM
BE : Se bulandi zameen wa aasman ke
SEEN : Se roshni chand wa suraj ke
MEEM: Se milkiyat Allaah ke tamam maqlooqat ke
LAAM : Se nafi hongi in tamam chizon ke
AR-REHMAAA: Us ka wajood muj me aagaya
NIR RAHEEM: Payaam e najat mujhe mil gaya.


LAA-ILAAHA-ILLALLAAAHU
NAHI RAHEGI KOI SIFAT BAKHI SIWAYE ZAAT KE MERE UNDER ROOH BANKER

MUHAMMADUR RASOOLULLAAHU
ALLAH KA KALAAM HAI
Qasirad duniya wal akhirah (QURAN ke humkum se) Nekaal pekho duniya wa aqirat ko apne dilon
se. Duniya mohabbet ka aur aaqirat naemat ka makaan hai in dono se accha to mera qalb hai jo
mahrefat ka makaan hai.
KALME KI TASHRI
Kalme mein 2 parts hain
1) La-I-Laaha-Illal-Laaahu - Allaah ka tarruf karwata hai
2) Muhammadur Rasoolullaaahu : Muhammed (S.A.W) ka tarruf karwaata hain jo chalta
phirta Quran hain.

Ab tak jo kalma hum padte aaye hain woh Lailaha IllAllaahu tha.Jab ke quran mein khud likha hain
Para : 26 Surah : Muhammad Aayat 19
LAA - ILAAHA -ILLALLAAAHU.
LAA alag likha hain , ILAAHA alag ILLALLAAHU alag likha hain. Hum sab jaane anjaane mein itni badi
galti kar baithe the ke jis ka andaza hame khud nahi hota.
Pehle 3 din sirf pehla part kalme ka padenge yaani ke - LAA-ILAHA-ILLALLAAAHU kyon ki is mein
Allaah ki Zaat ki pehchaan hain.
Doosre part yaani ke Muhammadur Rasoolullaaahu mein Muhammed (S.A.W) ki pehchaan hain jo ki
chalta phirta Quran hain. Agar aap bagari ghusul-o-tharat ke Allaah ke mehboob ka naam loge to tum
ko gunaah hoga. Tum log Allaah ki Zaat ko nahi pehchaane to Muhammed (S.A.W) ko kaise pehchaano
ge . Jab tak tum ko Allaah nahi samajh aaya to Allaah ka kalaam kaise samajh aayega. Is liye kalme ko
3 hisse mein padna chahiye
LAA -ILAAHA - ILLAL LAAAAAHU
LAA ko alag padna hoga
ILAAHA ko alag padna hoga
ILLAL LAAAAAHU ko keech kar padna hoga.
1) LAA ke maine : Nahi rahegi
2) ILAAHA ke maine : Sifat
Sifat yaani ke jannat,dozak,zameen,aasmaan,insaan,farishte,jin,ma,baap,aziz,padosi,dost ahbab,had
taake tera mujjassima yaani ke tera nafs bhi nahi rahega. Yeh sab character of Allaah hai aur in
cheeso mein kissi bhi cheez ko like karna gunha ka fatwa lag jaayega. Isi liye tere ko chahiye ke
Allaah se hatkar koi bhi cheez hai uski nafi karna hoga aur Allaah ki Zaat ko hi rooh maanna hoga.
3) ILLAL LAAAHU: Ke maane kaayenat ki dhadkan jis ko hum Rooh kehte hain wohi hum sab ka rab
hain. Isi liye apni Rooh ko hi apna rab maan kar apne nafs ki nafi karna chahiye.
MUHAMMADUR RASOOLULLAAAHU:
MUHAMMED (S.A.W) ke tallook se Quran mein likha huwa hain.
Qasirad duniya wal akhirah
Ay Nabi (S.A.W) nikaal pekho duniya ki mohabbat ko aur akhirat ki laalach ko Duniya
mohabbat akhirat naemat ka makaan hain in do se to accha mera Qalb hain jo maarifat yaani ke
Allaah ki pehchaan ka mukhaam hain jis mein Allaah ki Zaat rehti hain.
Ab in 2 parts ko padne se pehle tum ko Allaah ki Zaat samajhme aayegi- Rooh zinda hogi uske baad
hi tum ko Allaah ki Nabi aur uski Kitaab samajh mein aayag to tum sahi maane mein us par amal kar
sakte ho warna gumraah ho jaa-oge nafs ke andhere mein.

NAMAAZ
Aauzoo Billaaahi MinasshaitaAa Nirrajeem:
Jo log nafs ke nafi karte hai wohi log Allaah ko paa lete hai, is liye shaitan unko koi nukhsaan nahi
pahucha sakta. Main panah mangta hoon Zaat ki shaitan mardood ke shar se.
BISMILLAAAH -HIR REHMAA-NIR-RAHEEM : BE: Se bulandi
zameen wa aasman ke
SEEN: Se roshni chand wa suraj ke
MEEM: Se milkiyat Allaah ke tamam maqlooqat ke
LAAM: Se nafi hongi in tamam chizon ke
AR-REHMAAA: Us ka wajood muj me aagaya
NIR RAHEEM: Payaam-e-najaat mujhe mil gaya.
NIYAT :
INNI WAJJAHTU WAJHIYA LIL LAZI FATARAS SAMAVATI WAL ARZA HANIFAWN WA MA ANA MINAL
MUSHRIKEEN Mera nafs saakit
hai,Zaat khud Zaat ki taraf rooq karengi ,mera nafs saakit ho chooka hain is liye main mushreeko mein
se nahin hoon agar mera nafs Zaat ki kissi harkat mein daaqil rahenga to beshak mushrik hoga.
ALLAAAHU-AKBARU : Har shai
mein ushi ki dhadkan hai is liye woh sabse bada hai.
SANA :
SUBHANA KALLA HUMMA WA BI HAMDI KA WAT TABARA KASMOOKA WA TA-AALA JADDU KA WA
LAA-I-LAAHA GHAIROOK.
Paak hain woh Zaat jo mujme dhadak rahe hain aur saari kayanat mein ushi ki dhadkan uski hamd wa
sana bayaan kar rahi hain.Sefaat kitni bhi oonchi ho jaaye taareef to Zaat ki hi hongi kyon ki muj se
lekar jitne bhi aaba waajdaad aaye hain sab mein Zaat hi ki dhadkan hain.
AAOOUZO BILLAHI MINASH SHAITAA NIR RAJEEM
Jo loge nafs ke nafi karte hai wohi loge Allaah ko paa lete hai, is liye shaitan unko koi nukhsaan nahi
pahucha sakta. Main panah mangta hoon Zaat ki shaitan mardood ke shar se.
TASMIYAH: BISMILLAH HIR RAHMAAA NIR RAHEEM

ALLAAAHU-AKBARU :
Har shai mein ushi ki dhadkan hai is liye woh sabse bada hai.
RUKU : SUBHAANA RABBI YAL AZEEM :
Paak hai woh Zaat jiske mujhme aane se meri Rooh asmaan ke kinaaro tak safar kar sakti
hain.
QAUMAA : Sami allaAAhu liman hameedaH : Jo kuch bhi
Zaat ke taarif aur hamd bayaan ki gayi us mein main saakit hoon kyon ki
harkat Zaat ki hain meri baat sewaye ALLAAH ke koi nahin sun sakta.
TAHMEED: Rabbana lakal hamd: Woh Rab hi hai
jo mere (sukood) ko mehsoos kar sakta hain.
SAJDA : Subha na Rabbi Yal aala : Paak hain woh
Zaat jiske mujhme aane se meri Rooh Arsh ka tawaaf kar sakti hain.
QAAIDA :
AT TAHIYATU LIL LAHI WAS SOLAVATU WATU WA TAYYI BAATU AS SALAAMU ALAIKA AYYU HAN NABI
YUU WA RAHMA TULLAAHI WA BARA KATUHU. AS SALAAMU ALAINA WA AALA IBAADIL LAAHIS
SWAALIHEEN ASH HADU AL- LAA-I-LAAAHA ILLAL LAAHU WA ASH HADU ANNA MUHHAMADAN
ABDU HU WA RASOOLUHU:
Nafs ko chodkar bhaitna ,bardash karna baaitne ke liye (bandagi) ,jo bhi alfaaz zabaan se nikalte hain
nafs ka daqal nahin hota salaam ho aap par Nabi(S.A.W) rahmat aur barkate naazil ho aur un logo par
salaaamati ho jo nafs ki nafi kar chuke hain,gawaahi deta hoon ke koi sifat baqi nahin raheinge
sewaye Zaat ke Muhammed (S.A.W) Allaah ke bande aur Rasool hain, adab aur taazeem ke sab kalme
Allaah hi ke liye hain aur sab ibadatein aur sadqe Allaah he ke liye hain, salaam ho tum par aye Nabi
(S.A.W.S) aur Allaah ki rahmatein aur barkatein salaam ho hum per aur Allaah ke naek bando par.

DUROOD
ALLAAH HUMMA SOLLIE ALAA MOHAMMADIWN WA ALAA AALI MOHAMMADIN KAMA SOLLAITA
ALAA IBRAHEEMA WA AALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED:
Jo Zaat sare aalam ko dhadka rahi hain isi Rooh ke zariye Muhammed (SAWS) per aur unki aal per
rahmat aur salaamati jis tarah tum aur tere farishte har Zaat wale ke zariye ek dusre Zaat wale ko
durood wa rahmat ka payaam pahuchaate rahen main bhi aaj Ibraheem (AS) aur unki aal per durood-
o-salaam teri Zaat ke zariye bhej ta hoon.
DUA :
ALLAAH HUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KATHEERAWN WALA YAQ FIRUZ ZUNOOBA ILLA
ANTA FAGHFIRLEE MAGH FIRATAM MIN INDAKA WAR HAMNI INNAKA ANTAL GHAFOORUR RAHEEM:
Aye Allaah mein apni nafs per bahut zulm kiya,teri bandagi bardash naa kar saka ,thuj se hat kar kis se
apni magfirat chahoo mere nafs par rahem kar beshaq tuhi bakshne wala aur payaam e najaat dene
wala hain.

SALAAM : AS SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH :
Salaamati ho tum per jin wa ins jo Zaat ko pechaante hain aur rahma te naazil hoon.

SURAH FATIHA:
Alhamdulillaaahi Rabbil aalameen : Tamaam taareef us maalik ke liye hain jo saare maqlooq ki har
zaroorat ko bila shart ke poora karta hain .
Ar-rehmaaa nir raheem : Us ka wajood muj me aagaya payaam e najat mujko mil gaya.
Maaliki yomiddin : Jo aaj ke din ka maalik hai kyon ke mere jism ke harkat mein ushi kI Rooh dhadakti
hai Iyaka naabudu wa Iyyaka nastaeen : Beshak hum
aap ki ibadat nahin kar sakte ,is kalme mein 'la ilaaha' kehkar nafs ke nafi karta hain aur 'ilallaaahu'
mein apne andar us ki Zaat ko hi Rooh maanta hoon. Har harkat ka iqtiyar Zaat ko hai.Zaat hi Zaat ki
ibadat karegi.
Ihidinas siratal mustaqima siratal lazina anamta alaihim:Ye woh raasta hai sare
Ambiya,Sahaaba,Muhadisin,Salehin,nafs ki nafi karke Zaat se he chaale the.
Gair il magzubi alaihim walazalin :Jo nafs kisi harkat mein mudakilat karega woh gyar ki harkat
hongi,kyon ke agar namaz mein nafs harkat karti hai to gyar ke namaz hogi.
AAMEEN:Mera farz jo tha apne Naqis khayal ka izhaarr kar chuka. Ab aap qubool kare ya naa kare aap
malik hain.

Surah al -kouser :
Innaa aatainaaa kal kouser : Hum ne tum ko kouser ata kar chuke (Ilme Haq he Noor hai)yani Zaat ki
pehchaan jise Rooh kehte hai.
Fassali li Rabbi ka wanhar : Pees dalo apne nafs ko aur apne khawish-shaton ko ,qurbaan ho jao apne
Rab ke liye.
Inna shahni aka huwal abtar : Beshak shaitaan tumhara kattar dushman hokar bhi kuch nahi begaad
sakta,kyon ki tumhara nafs mar chuka hain tumhara nafs hi tumhara dushman hain.

Surah Iqlas :
Qul huwallaaahu ahaad:Allaah taala saari maqlooq ko apne aahaate mein liye hua hai.
Allaaahus samad: Allaah taala saari maqlooq ko belouz apne aahaate mein liye huan hain, is kaam se
Allaah taala ko koi fayda ya nuksaan nahin kyon ki hum maulaq hain.
Lam ya lid walam yu lad :Allah ko kissi ne pai-da nahin kiya aur naa hi Allaah ne kissi ko pai-da - balke
Allaah ta-ala ne sab ko kun keh kar pai-da kiya.
Walam ya kul lahoo kufu wan ahad: Saari maqlooq mein koi kissi ka mohtaj nahin balke sab ushi ke
dhadkan ke mohtaj hai.

Surah Falaq :
Qul aauzobiRabbil falaq : Kaho main nafs ke nafi karke Rab ki panaah mein ja chuka hoon kyon ki ab
subha hone wali hain.
Min sharrima qalaq : Mujhe koi shar nahin pahucha sakta, kuan-e maqlooq, kyon ki main Rab ke
panah mein ja chuka hoon.
Wamin sharrigaasiqin iza waqab : Aur na koi zahir mein na koi baatin mein shar kar sakta hai kuan ki
main Rab ki panah mein ja chuka hoon.
WAMIN SHARRIN NAFFAA SAATIL FIL UQAD : Aur na koi shar pahucha sakta hain nafs parast fil waqat
kyon ki main Rab ki panaah mein jaa chuka hoon.
Wa min sharri hasidin iza hasad : Aur shar aisa pehlna hai jaise hasad ka samandar.Lekin mujhe koi
nuksaan nahin pahuchat sakta kyon ki main Rab ki panah mein ja chuka hoon.
Surah Naas :
Qul aauzo bi Rabbin naas : Kaho mein ne apni nafs ki nafi karke Rab ki panah mein ja chuka hoon.
Malikin naas : Aur woh maalik hai insaano ka.
IlAahin naas : Aur woh maalik hai tamaam sifat aur insaano ka.
Min sharrill Was waAsil qannas : Nafs aur shaitan milkar meri Rooh ko koi nukshan nahin pahucha
sakte kyon ki mera nafs mere Rab ki panah mein ja chuka hai.
Al lazi uwas wisu fi sudurin naas : Insan aur uski sifat milkar mujko shar ki taraf waswase ke zariye
shaitan ghumrah karna chahta hai ,lekin mujhe koi nuksaan nahin pahucha sakta kyon ki main Rab ki
panah mein ja chuka hoon.
Minal jinnati wann naas :Jinn ho ke insaan mujhe koi nuksaan nahin pahucha sakta kyon ki main Rab
ki panah mein jaa chuka hoon.
NAMAAZ-E-JANAAZA
Niyat : NAWAI TU AN U-AD-DIYA LILLAAAHI TAALA ARBA TAKBIRAATI SALAATIL JANAAZATI AS
SANAA OO LILLAAAHI TAALA WA SALATU LIR RASOOLI WA DUAAOO LI HAZAL MAI-E-TI IQTADAITU BI
HAZAL IMAAMI MUTAWAJJIHAN ILA JIHATIL KAABATI SHARIFATI.
Main niyat karta hoon saakit hone ke liye aur meri har harakkat Zaat ki hongi.(Chaar takbiraat
namaaz-e-janaaza ada karta hoon) Zaat hi Zaat ki taareef karengi Zaat ke zariye hi durood-wa-salaam
Rasool ke liye aur dua is maiyat ke liye maine iqteda ki is imaam ki maine apna ruq kiya Kaabe ki taraf
kyon ke kaaba nafs-e-Adam ko Zaat-e-Haq inaam mein mil chuke wahi Zaat sare alam ko dhadkaa rahi
hain is liye woh har shai se bada hain .

ALLAAAHU-AKBARU : Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liye woh sabse bada hain.

SANA : SUBHANA KALLA HUMMA WA BI HAMDI KA WA TA BAARA KASMUKA WA TAALA JADDUKA
WA JALLA SANAA-OKA WA LA ILAAAHA GAIROOKA
Aye Allaah main teri Zaat ke zariye tujhe ko yaad karta hoon isi liyen Zaat ke zariye teri hamd-
wa-sana bayaan karta hoon tera Zaat aur tera naam mere tamaam jad isi Zaat se amal karte rahe aur
ushi harakkat se teri tareef aur sana bayaan karte rahe agar koi nafs ke zariye teri tareef karta to woh
Zaat ki tareef nahi balke gair ki tareef hoti.

DUROOD : ALLAAAHUMMA SALLIALA MOHAMMADIU WA AALA AALI MOHAMMADIN KAMA
SALLAITA WA SALLAMTA WA BAARAKTA WA RAHIMTA WA TARHAMMAT AL IBRAHEEMA WA AALA
AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMIDUM MAJEED.
Jo Zaat sare aalam ko dhadka rahi hain isi Rooh ke zariye Muhammed (SAWS) per aur unki aal
per rahmat aur salaamati jis tarah tum aur tere farishte har Zaat wale ke zariye ek dushri Zaat wale ko
durood wa rahmat ka payaam pahuchaate rahen main bhi aaj Ibraheem (AS) aur unki aal per durood-
o-salaam teri Zaat ke zariye bhej ta hoon.

ALLAAAHU-AKBARU:
Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liya woh sabse bada hain.
DUA :
ALLAAHU MAGFIR LI HAI-I-NA WA MAI-I-TINA WA SHA-I-DINA WA GA-I-BINA WA SAGIRINA WA
KABIRINA WA ZAKARINA WA UNSAANA . ALLAAAHUMMA MAN AHYAITAHU MINNA FAH-YI-HI ALAL
ISLAAM WA MAN TAWAFAITAHUM MINNA TAWAFATHU ALAL IMAAN.
Aur uski Zaat hain ke har sifat ko baksh dete hain jisko mayyat kehte hain is mehfil mein jitne log tere
Zaat ki shahadat dete hain aur hamare gaibaane mein jo log teri Zaat ki shahadat dete hain Zaat wale
chote hoon ya bade har Zaat wale har mard ya aurat ko jab tak bhi zinda rakhe nafs ko saakit rak kar
Zaat ki parashtish mein lagae rakhna.

ALLAAAHU-AKBARU: Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liyen woh sabse bada hain.
AS SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAAAH :
Teri nafs saakit ho jaye aur Zaat zinda ho jaye aur tera har amal rahmat wala ho jaye jin ho ke ins.
DUA-E-QUNOOT:
Jo log nafs ke nafi karte hai Allaah ko paa lete hai aur wahi Zaat unki madad karti hai ,aur jo nafs
saakit hai uski magfirat bhi karte hai.Rooh per imaan laa chuki hai nafs saakit ho ker bharosa karti hai
Zaat per aur Rooh aise nafsoun ke tareef karti hain isi liye her nafs Zaat ka tawaaf ker-kar shukar bajaa
laati hai. Jo nafs harakkat karegi Rooh ke aage aise nafsoun ko Allaah-taala,chun -chun ker alag karte
hai nafs khati hai hum teri ebaadat nahi kar sakte kyon ke harakkat tere hai hamara mujassima teri
Rooh ke zariye hi namaaz-wa-sajdha karte hai. Jab kabi Rooh nazar aati hai nafs Rooh ka tawaaf karne
lagti hai,aur teri rahmat ka muntazir rahti hai,aur her waqt iske azaab se darti rahti hai,beshak iska
azaab ,bahut saqt kafiroun ke liye jo nafs ki harakkat nahi pehchante hai.Is se behtar hai ke tum
duniya ko chodkar hamari taraf kalma padh kar laut jaye.Tamaam kayanat ko fateh kar ne wali Zaat
Rooh hai jisko maalik kee Haqqi kehte hai kyon ke insaan tamam sifat ki nafi karta hai bajuz uske to is
ka khoon ka har qatra Arsh ho jata hai aur sari maqlooq pe karam karta
hai.
=> Sarkar Madina (SAWS) Ka farman hai ke jo koi dil se "La-ilaaha illallaAahu Muhammadur
RasoolUllaAAhU kehte hai to uske muh se sabz rang ka ek parinda nikalta hai jiske dono baju mein
safed moti aur yaqut jade huwae hote hai aur us parinde ke dus hazaar sar hote hai har sar mein dus
hazar zaban aur har zaban se dus hazar lagat (boliyan) mein Allaah ta ala ki tasbeeh karta hua , aur
kalma padne walo ke liye istagfar karta hai aur aasmaan ki taraf bualand hota jata hai.Us parinde ko
Allaah ta ala farmate hai ke jannat mein daaqil ho ja . Woh aarz karta hai ke Ya Allaah ! mein jannat ki
taraf us waqt tak nahin jaoonga jab tak tu us shaks ko na baksh dega jis ke muh se main nekla hoon -
Irshad Bari Ta ala hota hai - Kalma Tayyab ! Sunkar us neik bande ki zaban par to puri tarah se ada bhi
nahin hote lekin us parinde ko satra hazar zabaan aata nahin ki jati hai aur wo har zaban se us Kalme
padne wale ki liye Dua e Magfirat karta hai . Jab Qayamat ka din aayega to ye parinda us neik bande ki
haat pakad kar apne saat usko jannat mein le jayega.

Munajaat-E-Maqbool
1)Aye Allaah mein gunah gar hoon, badkaar hoon, siyaakaar hoon, riyakaar hoon, Tu Apna mohtaj raq
kissi aur ka mohtaj na bana.
2) Aye Allaah mere gunaah-e-kabirah aur gunah-e-sagirah ko maaf kar aur tamaam galtiyo ko
darguzar kar.
3) Aye Allaah hum teri panaah chahte hai din ke ujale se, raat ke andhere se, har musibat se, har aafat
se, har pareshaani se, kanoon ki giraft se, police ki giraft se, shaitan mardood ke shar se, dushman ke
shar se, qabar ke azaab se, jahanum ke aazab se, pul siraat ke raaste se, mezaan ke tarazoo se, hashr
ke maidaan se, tere maqlooq ke sharr, fareb, hasad, jalan, keena, kapat, dhoka dahi se hum teri
panaah chahte hain.
4) Aye Allaah hum ko iqlaas ke sath zikr, tilawat aur namaaze padne ki taufeeq ataa farma.
5) Aye Allaah hum ko sabre jameel ataa farma, aqle saleem ataa farma, ilme kaamil ataa farma is pe
amal karne ki taufeeq ata farma.
6) Aye Allaah har Musalmaan ko Kaaba-e-haq ka tawaaf naseeb ataa farma, roza-e-haq ka deedar
naseeb ataa farmakar aur sadqa-e-haq ataa farma.
7)Aye Allaah teri mohabbat khaas ataa farma aur tera khauff ataa farma jitna ke hum bardash kar
sake.
8)Aye Allaah tere Nabi Sallallaahu Alaihiwa Sallam ki har sunnat ko zinda karne ki taufeeq ataa farma
sunnat ke liye jeene aur sunnat ke liye marne ki taufeeq ataa farma.
9)Aye Allaah hamare aamaal ka, karz ka, karobaar ka tu he zimmedar ho ja.
10)Aye Allaah karz lene walon ko sabr ataa farma aur jisse hum ko karz lena hai unko maaf karne ki
taufeeq ataa farma.
11)Aye Allaah hamare aulaad ko nake saleh, mard mujaahid, hafiz-e-Quran, aamil-e-Quran bana. Aur
jo log sahib-e-aulaad na hone ki wajeh se dubiya me tadap rahe hai, unko sahib-e-aulaad bana de aur
unko nake saleh aulaad ata farma.
12)Aye Allaah hamare maa, baap, behan, bhai, aziz wa aqaRab, padosi, murideen, mutakhadeen aur
sare aalam ko musalmaan mard aur aurto ko tauheed ke samandar mein dubo de. Unki jaayaz duaon
ko qubool farma aur unki hifazat farma jis tara tune apne mehboob Paigambaro ki, muhdaseen ki,
saaleheen ki hifazat kiya tha ushi tarah un sab ki hifazat farma dayne se, bayne se, upar se, neche se,
aage se peeche se.
13)Aye Allaah tere maqlooq ke dil mein hamare mohabbat aur khauff daal de, jo dushman hai unko
dost bana de aur jo dost hai unko samandar jaisi gahrai ki dosti mein jakad de.
14)Aye Allaah jo bimaar hai unko shifa ataa farma jo berozgaar hai unko rozgaar ata farma jo
benaamazi hai unko namaazi bana aur jo namaazi hai unko iqlaas ke samandar mein dubo dein aur jo
tere Nabi ke ummati qabr ke azaab se tadap rahe hai aur jo ummati is duniya mein qabar ki azaab ki
taraf bad rahe hain in sab ko maaf farma.
15)Aye Allaah saare aalam ke naujawaan ladkiyon ki asmath ki hifazat farma aur saare aalam mein
aman-wa-aaman ata farma.
16)Aye Allaah is kalme ki haqiqat ko mashriq wa magrib shamal janubo tak pahucha de.
17)Aye Allaah, hamari zabaan mein taaseer ataa farma aankhon mein sharm wa haya ataa farma jism
mein taqat aur dil mein himmat ataa farma aur saare aalam ke kaafiron per galb aata farma.
18)Aye Allaah Huzoor e Akram S.A.W.S se sacchi mohabbatt ataa farma Paigambaro se Sahaba se
Muhadaseen se Saleheen se sacchi mohabbet ata farma.
19) Aye Allaah muj ko teri wahdaaniyat se aaraasta kar de taake teri maqlooq mere andar Zaat wa
sifaat ka mashaida kar sake. Tujh se tujhi ko maangta hoon tujh se teri panaah chahta hoon aur tere
aur mere (meri nafs aur teri Rooh ke) beech mein jo hijaabat hain unko hata de.
20)Aye Allaah beshaq tu mujhe jahannum mein daal de lekin tere Nabi ki ummath mein jo gunah gar
hai, badkaar hai, siyaakaar hai, riyakaar hai un sab ko maaf farma aur jannatul firdous me aala
muqaam ata farma.
21)Aye Allaah in tamaam duaon ko Huzoor-e-Akram (SAWS) ke waastae se aur unke nawaso ki
shahadat ke ek ek khoon ke khatre ka waasta aur Bayazeed Bostaami(RA), Abul Hasan Qarqaani(RA),
Ibraheem Bin Adham(RA), Rabia Basri(RA), Hasan Sofi(RA), Khatijatul Kubra Sofi(RA) Fatima Sofi(RA)
Safiya Sofi(RA) aur Afia Sofi(RA) ka waasta qubool ataa farma.
Note: Log aksar poochte hai ke kyon ham aisi dua maang rahe hai ki hame jahannum mein daal de? Is
ka explanation yeh hai.
(Aye Allaah beshaq tu mujhe jahannum mein daal de lekin tere Nabi ki ummath mein jo gunah gar
hai, badkaar hai, siyaakaar hai, riyakaar hai un sab ko maaf farma aur jannatul firdous me aala
muqaam ata farma)
Ref:- Allah ke Rasool SAW ne irshad farmaya jahannam har roz 70 times. Allah se panah mangti hai,
Aye Allaah tu mujhe mahfooz rakhna jo banda kalma padke apni nafs ko sakit karke sabr ki aag mein
jalta hai, uski aag ki shiddat jahannum ki aag se zyada hai. Isi liye jahannum darti hai ke kahi yeh
banda mere andar kkadam na rakhde aur mein kahi thandi na hojau. Is liye barhaa Allaah se dua karti
hai ke aye Allaah tu mujhe mahfooz rakhna is bande ki sabr ki aag se, Jab jahannum har roz ham se 70
time darrti hai to ham kalma padke 1100 time har roz kyon na daraye agar hamare ek jalne se Allaah
ke Rasool(SAWS) ki ummat bach sakti hai to mein Allaah ke Rasool(SAWS) ka saccha ummati hone ke
naate mein yeh chaahonga ke mein jahannum mein jaa kar aap ki ummat ko baksh waoonga aur aap
ki ankhon ko thandak pauchaoonga, agar mere ek ke jalne se mere Rasool(SAWS) ki ankhon ko
thandak pohonch sakti hai to mein carore baar jaalne ko taiyyar hoon.

Durood-e-Shareef (Durood-e-Kaamil)
ALLAAAHUM MAJ AAL SOLAWATIKA WA REHMATIKA ALAA SAYYEEDINA WA MAULAANA
MOHAMMADIUN WA AALA AALI MUHAMMADIUN WA ASHABIHI WA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI
WA UMMAHATAAL MUMINEENA KAMA SOLLAITA ALAA IBRAAHEEMA WA AALAA AALI IBRAHEEMA
INNAKA HAMIDUM MAJEED.
Pak hai woh zaat jiski dharkan se hum naik amal karte hai. Beshak hamara har amal hamarey nabi
ka amal hai aur unki aal ka amal hai, sahabiyo ka aur unki biwiyo ya maayo ka hai. aur ye amal
ibrahim Alaih salaam aur unki aal se hum tak pahuncha hai, isliye hamara amal in sab par pahunchega
durood o salaam bankar.

Вам также может понравиться