Вы находитесь на странице: 1из 1

Faqat ek hi he dil me armaan apna

Sirf! Ek hi bacha he dil me armaan apna,


Ho jaye sar mulk ke liye qurbaan apna.

Sahaadat ke liye dil apna ek muddat se tadapta he,
Kaash ho jaye Bhagat Singh jaisa anjaam apna.

Koi aur na karunga dil me fir se tamanna,
Agar bana de mujhe mulk ka darbaan apna.

Tohmaten to hazaar lagate rahenge log humpe,
Kabhi jhaank ke dekhe wo bhi girebaan apna.

Ye dil, ye jigar, ye ankhen aur junge Azadi,
Loota denge mulk ke liye sara samaan apna.

Khuda se hamesha yahi dua mangta hoon,
Salamat rahe hamesha mulk ka shaan apna.

Wafa na mili kar ke bhi wafa unse.
Bana ke dekh li humne unko mehmaan apna.

Mulk ki himfazat aur hamari jimmedari,
Ek din loota dega Zafar mulk ke liye jaan apna.

Faqat ek hi he dil me arman apna,
Ho jaye sar mulk ke liye qurbaan apna.


Jai Hind!
Zafar Aarifaanah

Вам также может понравиться