Вы находитесь на странице: 1из 2

Allah ke naam se shuru jo bara meherbaan aur nihayat raheem hai, woh Allah jo

aleem hai aur sath hi rab-ul-alameen hai, woh Allah jis ney Ilm jaisi barkat o fazeelat
wali cheez insaan ko ata ki, woh Allah jis ney kainaat ki jaan hazrat Muhammad
(s.a.w.w) ko is dunia main bhaija, woh Muhammad (s.a.w.w) jo rahmat-ul-lilalameen
hain, woh Muhammad (s.a.w.w) jin ka uswa-e-husna quran hai, jin ka ikhlaaq quran
hai aur woh Muhammad (s.a.w.w) jinho ney Allah ki ata se ilm ko apni ummat main
taqseem farmaya taake woh chalti dunia tak is se mustafeed hotey rahien.
In beshumaar uloom main se science bhi aisa hi aik ilm hai, science ki buhat saari
taarefain(definitions) moujood hain lekin yahan jis baat ka zikar karna zaroori hai
woh yeh hai ke hum ashiya ki haqeeqat nahi jaantey sirf un ke maabain taaluq ko
jantay hain jaise ke Bernard Russell ney kaha ke har cheez ki haqeeqat jaanney se
pehley humain us ka dosri ashiya ke sath taaluq jaanana zaroori hai,
Huzoor(s.a.w.w) bhi jab Allah se dua mangtay tu farmatay ke aye Allah mujhe
ashiya ki haqeeqat ka ilm day dey. Ab science bhi kuch yehi kaam karti hai is ka
matlab science ashiya ke mabain taaluq ko talaash karney aur un per tehqeeq kar
ke un ki haqeeqat tak pohanchney ka naam hai. Sciencedaan hameesha se hi
ashiya ke mabain taaluq ko talash kartey a rahey hain ab taaluq ko talaash karney
ke liye unhain aik mukamal tareeqa-e-kaar(standard procedure) follow karna hota
hai, yeh tareeqa-e-kaar un qawaneen(laws) aur haqaiq(facts) per mushtamil hota
hai jo pehley se saabit shuda hotey hain, aur un ki manzil nazariya(theory) hota hai,
nazariya woh cheez hai jo humain batata hai ke kainaat main aik makhsoos kaam
kiun hota hai, woh kiun waqou pazeer hota hai aur us ka maqsad kiya hota hai.
Is cheez ko samjhaney ke liye aik buhat hi aam si misaal hai ke aient(brick) se hum
aik sada sa makaan banana chahtey hain, aient aik haqeeqat hai, aik qanoon hai
jab ke makaan (abhi) aik nazariya hai, ab hum makaan bananey ke liye aik
mukamal tareeqa-e-kaar (procedure) istemaal karien gey woh pehley se saabit
shuda hai jaise cement ki madad se aienton(bricks) ko jorna aur deewaron ka
tanasub(proportions) kiya hona chahiye ke aik mukamal makaan ban jaye aur
chat(roof) kaise daali jaye gi, ab agar hum ney qawaneen(laws) ki madad se aik
tareeqa-e-kaar follow kartay hain aur aik makaan tameer kar letey hain tu hamara
jo makaan bananey ka nazariya tha woh poora ho gaya lekin ab aik masala darpesh
aa gaya hai woh yeh ke hum us makaan ke andar daakhil nahi ho saktey kiunke
hum ney us main aik adad darwaza nahi lagaya ya humain lagana nahi aata, ab
zahiri si baat hai ke is maqaan main abhi nuqs hai jis ki wajah se yeh aik nazariya hi
reh gaya hai haqeeqat nahi bana. Ab ap kiya karien gey? Kiya is maqaan ko gira
dain gey aur dobara se naya maqaan banaien gey? Nahi balkay ap makaan main us
nuqs walay hissay ko nikal kar us banday se madad lien gey jis ko darwaza banana
ya lagana aata hai woh ap ko darwaza laga day ga aur ap ka yeh makaan mazeed
haqeeqat ke qareeb hota jaye ga, isi liye Albert Einstein ney jab apni theory of
relativity paish ki tu takreeban 1000 sciencedaan fatway ley ke maidaan main utar
aye aur Einstein ke nazariye ko baatil qarar dia is per Einstein ney aik taareekhi
jumla kaha ke tum loag la-taadaad tajurbaat kar lo mujhe shahih nahi sabit kar
saktey aur sirf aik tajurba hi mujhe ghalat sabit karney ke liye kaafi hai, tab se ley

ke ab tak yehi kuch hota a raha hai sciencedaan is nazariye per kafi tajurbaat kar
chukey hain kuch ney Einstein ko ghalat sabit karney ki koshish ki jabke buhat se
tajurbat ney Einstein ko shahih sabit kiya.

Вам также может понравиться