Вы находитесь на странице: 1из 1

Mein Deccan Houn.

Musi ke kinare huwa janam mera


Shenshaou ne, pirou ne rakha bunyad mera

Mere shedai ko na maine bhulaya


Makke se meri masjid ne bunyaad paya

Mein who des hu jiska naam roshan hai rawa rawa


Malikou ke sar ka taj bana ek patthar mera

Mere gulistaan mein Urdu ne shaur paaya


Iske lafzou mein Quran pardhne ka naya lutf aaya

Mere paas jo aata hai bhatka huwa aur tanha


Mere angan mein aman wa sukoon paya

Hai badnaseebi pas ke dukh hai mujhe


Aaj ka deccani samjhe kamtar mujhe

Aye Erfan tujhse mera dawa-e-bajang hai


Dikhade duniya ko deccan ke kitne tanou rang hai.

(27/06/2015) Mujtaba Hussain

Вам также может понравиться