Академический Документы
Профессиональный Документы
Культура Документы
HRELATE.COM
Daant (Teeth) hamare sharir ka anmol ang hai. Inhe swasth rakhna utna hi
aavshyak hai, jitna ki kisi anya ang ko swasth rakhna jaruri hai. Daant na keval
chehre ki sundarta badhate hai, balki khane ko bhi thik tarah se chabane mai
hamari madad karte hai, jisse khana muh ki granthiyon se nikalne wali laar se mil
sake aur pet mai jakar achhi tarah se hazam ho sake.
Yadi daant na rahenge to naa hi khana thik se chaba sakenge aur naa hi khana
thik se pach payega, aur parinam swarup badhazmi, gas, aml-rog aadi ki
samasya se do char hona padega. Hamare daant shabdochhar ki prakriya ke liye
bhi mahatvpurn bhumika nibhate hai, jisse spashth bhasha ka gathan hota hai.
Parantu, aajkal logo mai daanto ki samasya hona aam bata ho gyi hai. Daant ki
samsya aur dard ke kai karan hote hai. Aese kayi cases hote hai, jab daant ka
dard pure muh tak badh jata hai. Yeh tab hota hai, jab Jaw-joint, kaan, nas,
sinuses aur manspeshiyon mai samasya hoti hai.
Aapko jankar heriyat hogi kintu Kabhi- kabhi hriday ki samasya se bhi daant mai
dard ho sakta hai. Daanto ki samasya ka bahut se tariko se ilaaj sambhav hai.
Iske alawa niyamit roop se daant ko saaf karke bhi bahut si samasyao ko roka ja
sakta hai. Iss samasya ko vistar se janne ke liye padheTeeth Problems in
Hindi.
hrelate.com
hrelate.com
Daant Ka Sadna
Daanto ke sadne ko cavities bhi kaha jata hai. Daant tab sad jate hai, jab
koi chip-chipa padarth daanto mai lag jata hai aur fir hum jo khana khate
hai, uske starches aur sharkra ke sath mil jata hai. Yeh mishran ek tarah
ka acid paida karta hai, jo daanto par hamla karta hai. Daanto ko sadne
se bachane ke liye din mai do bar brush karna aur reglar dental check-up
karna hi sabse acche tarike hai. Iske alawa, swasth khadya padarth ka
sevan bhi jaruri hai. Snacks aur drinks, jinme adhik sugar hoti hai, use
hrelate.com
hrelate.com