Вы находитесь на странице: 1из 6

Skin Care in Monsoon in Hindi:

Twacha Ki Dekhbhal Ke Nuskhe

HRELATE.COM

Chilchilati garmi ke bad monsoon ki funhar sabko raahat deti hai. Yeh
mousam har kisi ko pasand aata hai, bahut kam hi log aese honge jinhe yeh
pasand naa ho. Iss mousam mai mitti ki bhini bhini khusboo sabka man moh
leti hai. Bahut se log to iss samay barish mai bhigna bhi pasand karte hai.
Sab kuch bahut accha lagta hai. Lekin jaha monsoon aapke man ko itna
prasanna karta hai, dusri taraf aapki twacha ke liye kai tarah ki pareshaniya
bhi sath lata hai.
Iss wakt hawa mai thandak ke sath sath nami bhi aa jati hai. Jiske chalte
aapki twacha kabhi dry lagti hai to kabhi chipchipi. Aese mai yeh samajh
pana thoda muskil hota hai ki twacha ka kis tarah khayal rakha jaye.
Twacha ka sahi tarah se khayal naa rakh pane ke karan iss par muhanse
hone lagte hai, aur aapka chehra bekar dikhne lagta hai. Iske atirikt iss
mousam mai ham tala bhuna bhi adhik khate hai jo ki hamare pet ke liye
accha nahi hota. Aese mai twacha sambandhi samasya hona to jayaj hai. Par
kya aap jante hai kuch sadharan baato ka dhyan rakhkar aap inn samasyao
se chhutkara pa sakte hai. Aaiye janeSkin Care in Monsoon in Hindi.
hrelate.com

Skin Care in Monsoon in Hindi Barish mai


Twacha Ki Dekhbhal

Aapko monsoon ko khud par bilkul bhi hawi nahi hone dena hai. Kyoki inn dino
twacha mai fungus jaisi samasya bhi badh jati hai. Aur chehre par chakatte daad
hone se chehra bhi berang ho jata hai. Aaiye jante hai monsoon ke liye
Skin Care Tips.
hrelate.com

Twacha Ko Saaf Rakhe


Twacha ki dekhbhal ke liye koi bhi prayog ko apnaane se pehle aapko ise
saaf rakhna hoga. Iske liye aap kisi bhi facial foam ka istemal kar sakte
hai. Isse aapke chehre ki gandagi saaf ho jati hai aur thakan kam mehsus
hoti hai.
Muhanso Se Bachne Ke Liye Burf
Aap apne chehre ko din mai kam se kam do bar burf ke paani se dhoye.
Aap chahe to burf ke tukde ko chehre par ghuma bhi sakte hai. Aesa
karne se aapki twacha mai nami ya pasina nahi aata aur aapko muhanse
nahi hote hai.
Aahar Ka Rakhe Vishesh Khayal
Monsoon ke dauran bimariyo ka khatra bahut badh jata hai. Hamara
sharir swasth nahi hai to bhala hamari twacha kaise swasth reh sakti hai.
Iss samay sankraman bahut teji se fail jata hai. Isliye bahar ke chat paode
jaisi chizo ko khane se bachna chahiye.
Ghar mai bana
hua saaf suthra bhojan hi grahan karna chahiye. Iss mousam mai phalo
hrelate.com

Face PackLagaye
Aapki twacha ko thik rakhne ke liye face pack bahut hi accha vikalp hai. Lekin
ise alag alag twacha ke anuroop hona jaruri hai.Skin Care in Rainy Seasonke
liye isse accha koi vikalp nahi hai.
Rukhi Twacha:Rukhi twacha ke liye aese face lagana chahiye jo twacha ko
nourish kare. Iske liye 2 chammach anar dane ko mash karle aur usme thoda sa
shahad dalkar chehre par lagaye. Kuch der rakhne ke bad chehra dho le.
Teliya Twacha:Teliya twacha ko aese face pack jo twacha se atirikt tel ko
sonkh le. Iske liye papita sabse behtar hai. Papite ko katkar paste bana le. Fir
iss paste ko chehre par lagaye. 10-15 minute rakhne ke bad dho le.
Papaya for Skinse aapka chehra khila rahega.
Sanvendshil Twacha:Aesi twacha ke liye kheera bahut faydemand hota hai.
Yeh aapki twacha ko thandak deta hai. Jyada prabhav ke liye aap pehle se hi
kheera kiskar freez mai rakh de. Fir thande kheere mai dahi aur gulab jal
milakar lagaye. Kuch der rakhne ke bad dho le.
Normal Twacha:Normal twacha walo ke liye seb aur kele ka pack accha hota
hai.
Iske liye seb aur saman matra mai kele ko pees le. Fir usme thoda sa
hrelate.com
badam ka poder dale. Paste ko thoda patla karne ke liye usme dudh dale. Ab

Sunscreen Ka Istemal
Barish ke dino mai log sunscreen lagana jaruri nahi samajhte. Lekin barish ke
dino mai bhi twacha ki dekhbhal ke liye sunscreen lagana jaruri hai. Lekin haa
iss samay water proof wala sunscreen lagaye.
Anya Baate inn Par Bhi Gaur Kare
Iss mousam mai hafte mai do bar scrub ka istemal jaruri hai. Scrubbing karne
se twacha ke dead cells nikal jate hai.
Antibacterial toner ka prayog monsoon mai bahut labhdayak hota hai. Yeh
twacha ki sankraman se raksha karta hai.
Monsoon mai heavy makeup karne se bhi bachna chahiye. Aur jab bhi aapne
bahar jate wakt makeup kiya ho. Ghar aakar sabse pehle aapko chehre ko saaf
karna jaruri hai.

Upar aapne janaSkin Care in Monsoon in Hindi. Twacha ki dekhbhal ke sath sath
aap iss samay healthy diet lete rahe. Isse aapke chehre ki rangat barkarar rehti
hrelate.com
hai.
Yahi nahi twacha ki tajgi ke liye khub sara pani pina bhi jaruri hai.

Вам также может понравиться