Вы находитесь на странице: 1из 7

How to Apply Concealer in

Hindi: Chehre Ke Dhabbe


Chupaye

HRELATE.COM

Khubsurat dikhna har kisi ko pasand hota hai, kintu chehre par moujud kale dhabbe
aur daag aapki khubsurti ko kam kar dete hai. Vaise to chehre ki uchit dekhbhal aur
kuch tariko se aap inhe thik kar sakte hai. Lekin isme wakt lagta hai. Aese mai yadi
aapko achanak kisi avsar, party ya shadi mai jana hai to aap mayus ho jate hai.
Ham aapko bata de ki yadi aapko minto mai chehre kedaag dhabbe, jhurriya aur
kale ghere chhupana hai to concealer aapke ke liye bahut accha vikalap hai. Yeh
aapke makeup ko perfect banata hai.
Concealer jadu ki tarah aapke chehre ki rangat nikhar deta hai aur kale ghere,
jhurriya ko chipa deta hai. Iske atirikt yeh aapke murjhaye chehre ko taro taja aur
bedag banane mai madad karta hai. Bajar mai kai tarah ke concealer uplabdh hai
jiska chunav aapko apni twacha ke anusaar karna chahiye.
Yadi iska chunaav aap apni skin tone ke anusar karenge to aapka chehra natural aur
nikhra hua dikhega. Concealer to har koi istemaal kar sakta hai parantu ise lagane
ka sahi tarika sabhi ko nahi aata. Aaj hum aapkoHow to Apply Concealer in
Hindike bare mai batane ja rahe hai taki aap ise acche se lagakar natural look
paye.
.
hrelate.com

How to Apply Concealer in Hindi: Paye


Aakarshak Chehra

hrelate.com

Twacha Ki Rangat Ke Anusar Chune Concealer


Concealer bajar mai kai aakar tatha rang mai milte hai. Isko chunne ke
liye aapki twacha se milta julta concealer ko chune aur nirdharit kare ki
aapki twacha ke liye konsa jaruri hai. Sath hi yeh bhi soche ki aap aapke
chehre par kise chupana chahti hai jaise muhase, kale ghere, jhurriya ya
birth mark taaki aapka chehra jyada nikhra hua aur natural dikhe.
Yadi aap chahte hai ki aapke chehre se kale nishan, birth mark chhup
jaye to aiseFace Concealerko chune jo tinted hara ya pile rang ka ho,
kyoki yeh chehre par lal aur gehre rang ke dhabbo ko chhupane ka kaam
karta hai.
Yadi aap kale ghere, daag ko chhupana chahte hai to skin tone se 1 ya 2
halka shade ka chunav kare tatha iske alawa muhaso ko chupane ke liye
pencil concealer ka istemal kare. Dhyaan rakhe jab bhi aap testing kar
rahe chehre par makeup na ho aur ye bhi yaad rakhe ki hatho par testing
karke kabhi concealer na kharide.

hrelate.com

Sabse Pehle Chehre Ko Saaf Kare


Jab bhi aap concealer ko chehre par lagate hai sabse pehle mild face wash se
chehre ko dho le aur moisturize lagaye. Aankho ke niche kajal ya mascara
lagane se kalapan jam jata hai Isse makeup remover se hataye.

Kale Ghere Par Lagaye


Sabse pehle concealer ko ungli ya fir brush ki sahayta se aankho ke niche kale
ghere par thapthapate huye lagaye aur ise naak tatha aankho ke aaspas lagana
shuru kare de. Concealer ko acche se aankho ke aaspas ke area mai faila de.
Yaad rakhe ise lagate samay aankho par jor se rub na kare. Kyoki aisa karne se
aankho ko hani pahuch sakti hai.
Yadi concealar ko chehre par lagate samay aankhon ke aaspas acche se na
lagaya jaye to aankhe soi soi si lagti hai. Concealer ko lash line ke base par
lagate huye sidhe water line ke base tak lagaye.

hrelate.com

Kale Nishan aur Muhaso Par Lagane Ka Tarika


Chehre par kisi bhi tarah ke kale nishan, sun spot, birth mark ko chupane ke
liye inn par concealer ko acche se twacha ke bahar ki taraf mix karte huye
lagaye. Yadi aap cracked on look se bachna chahte hai to concealer ki patli patli
parat chehre par lagaye.
Yad rakhe ki muhase par concealar lagane ke liye brush ka istemal kare kyuki
ungliyo se lagane par bacteria failenge aur chehre par muhanse badne
lagenge.

Concealer Ka Base Jamaye


Ab aapne chehre ke daag dhabbe aur muhaso ko acche se chhipa liya hai aur
pure chehre par ek jaise mix kar liya hai. Isse pure chehre par base dene ke liye
face powder ka istemal kare taaki yeh pure chehre par acche se set ho jaye. Jis
bhi jagah par jyada concealer lagaya hai waha thoda extra powder ka istemal
kare jisse concealer pure din tika rahe.
Use of Concealerto aapne jaan liya Iske alawa yeh bhi dhyan rakhe ki yadi
aapki
twacha rukhi hai to liquid concealer tatha teliya twacha ke liye powder
hrelate.com
base concealer ka upyog karna accha hoga.

Kuch Khas Baato Ka Dhyaan Rakhe


Jab bhi aap chehre par makeup lagate hai to sone jane se pehle makeup ko
homemade makeup removerse saaf kar le. Kyoki makeup ke sath sone se
aapki twacha ke romchhidra band ho jate hai aur wo khulkar saans nahi le pati
hai.
Concealer ko hamesha twacha ke anusar chhune warna chehre par orange rang
ke dhabbe dikhai dene lagenge jo aapke makeup ko khrab kar sakta hai.
Kai company muft mai makeover karti hai uska fyada jarru le aur makeup karne
ki janakari sahi tarike se prapt kare.
Kale ghere ko hatane ke liye nind puri kar aur sahi samay par aur uthe taaki
kale ghere khatam ho jaye. Sath hi Aise makeup ka istemal kare jo oil free aur
muhaso ko rokne ka kaam kare.
Yadi aapki twacha sensitive hai to concealer ko khridne se pehle usse halka sa
laga kar dekhe yadi twacha mai jalan ho to usse na kharide.
Makeup hatane ke liye makeup wipe ka istemal bhi kar sakte hai kyuki
concealer
acche se saaf na hone par samasya uttpan ho sakti hai.
hrelate.com

Вам также может понравиться