Вы находитесь на странице: 1из 7

One Sided Love in Hindi: Jane

Pyar Pane ke Tarike

HRELATE.COM

Har kisi ko apne jeevan mai kisi khas vyakti se pyar avshya hota hai, bhale hi
use khud us baat ki jankari ho ya na ho. Shuruwat mai hum us vyakti se apne
pyar aur bhawnao ko vyakt nahi kar pate hai, magar samay ke sath sath
hamari ummeed badhne lagti hai.
Jab vyakti ek-tarfa pyar mai hota hai aur use samne wale se koi response
nahi milta tab uske andar nakaratmak urja ka vikas hone lagta hai aur use
hasil karne ke liye wah charam seema tak pahuch jata hai, jisse uske vyaktitv
aur mansik sthiti par dushprabhav padhne lagta hai.
Pyar na hasil hone par aksar log galat kadam bhi utha lete hai, jiski wajah se
unhe kabhi kabhi zindagi bhar ke liye nuksan jhelna padhta hai. Yahi nahi,
aamtour par yuva ladke aur ladkiya jab ek-tarafa pyar mai hote hai, tab pyar
na hasil hone ke gam mai aatm-hatya jaise bada kadam bhi utha lete hai.
Agar aapko kisi se ek-tarafa pyar ho jaye, to samnewale ki ruchi janne ki
koshish kare aur use pane ke liye har sambhav aur sahi kadam uthaye.
Parantu, aap samne wale se bina uski rajamandi ke jabardasti nahi kar sakte
hai. Isliye, ant me hone wale parinam ke liye taiyar rahe. Aaiye vistar se jante
hainOne Sided Love in Hindi.
hrelate.com

One Sided Love in Hindi: Jane Pyar Pane ke


Tarike

Agar aap one sided love mai pad gaye hai aur asamnjas mai
hai ki aage kya Kare, to jane ise deal karne ke liye tips:hrelate.com

Impress Kare
Agar aap ek tarfa pyar mai hai to use pane ke liye shuruwati taur par
usse milne ke bahane dhunde aur jitna ho sake use lagatar milte rahe aur
yadi aap dur rahte hai to phone, chat aursocial networking siteski
madad se uske contact mai bane rahe. Dosti ko badhaye, unki chhoti se
chhoti baato ka dhyan rakhe. Kehne ka matlab yeh hai ki use impress
karne ke liye har sambhav prayas kare.
Dikhave se Bache (Dont be Fake)
Aap jaise bhi hai aur jaise bhi aapki personality ho, aap waise hi rahe.
Banawati banne ya dikhawa karne ki koshish na kare. Aksar kuch log
apne aap ko achha dikhane aur dusro se alag dikhane ke liye jhutha
dikhava karte hai, jo ki bilkul galat hai. Sochiye, jisse aap pyar karte hai,
use jab aapki sachhayi ka pata chalega to kya hoga? Isliye, apne pyar ke
prati sachhe aur imandar rahe.

hrelate.com

Pasand-Napasand ko Jane
One Sided Relationships Adviceke anusar aap jise ek tarfa pyar karte hai,
uski pasand-napasand ko janne ki koshish kare. Jayaz si bat hai ki aap jitna unki
pasand ke topics pa baat karenge, wo aapki bate sunne mai utna hi interest
lega ya legi. Iss tarah unki chhoti chhoti baato ka khyal rakh kar aap unhe gifts
dete rahe aur unhe pure tarah se janne ki koshish kare.
Ijhar Kare
Aksar pyar ho jane ke bad ek badi mushkil yeh hoti hai ki iska ijhar kab aur
kaise kiya jaaye. Kayi cases mai log sankoch ke karan pyar ka ijhaar nahi kar
pate. Aur kuch log ye sochte hai ki samne wala jab pahal karega tab koi step
aage lenge. Esa na kare. Jab aap ko lage ki aap ki samne wale ke sath achhi
bonding ya dosti ho gyi hai, tab sahi samay dekh kar use propose kar de.

hrelate.com

How to Overcome One-Sided Love Khud Par


Kaise Paye Kabu
Aga aap kisise pyar karte hai, wah aapse pyar nahi karta hai, to aese mai Pain
ofOne Sided Loveko overcome karne ke liye inn tariko ko ajmaye.
Jane De (Move on)
Pyar ko bhulkar life mai aage badhna sabse mushkil kadam hota hai. Yaha tak
ki ek bahut hi sahsi aur bahadur vyakti bhi aesi sthiti mai ladkhadane lagta hai.
Pyar se dur jana aur fir ise swikar karna ki aapka pyar safal nahi ho sakta, yeh
jeevan ka behad hi kathin samay hota hai. Magar, Kahte hai na ki kabhi kabhi
surango ke andhero se hokar hi ek chamakdar roshni ka rasta jata hai. Isliye
khud ko samay de aur jeevan mai aage badhe.
Maaf Karo aur Bhul Jao (Forgive and Forget)
Jab aap ek tarfa pyar mai hote hai tab aap samne wale vyakti se milne ka aur
use apni feeling share karne ka prayas karte hai, fir agar samne wala aapko
mana kar de tab aapke man mai uske prati galat aur bure vichar aane lagte hai.
Yeh
ek galat bhawna hai, agar aapka pyar vakai mai sachha aur pavitra hai, to
hrelate.com
aap use maaf karke aage bade aur ho sake to bhulne ki koshish kare.

Parivartan Par Dhyan De


Yeh ek aesa samay hota hai jab jeevan mai badlaav laane ki sabse jyada jarurat
hoti hai.Pyarna paane ke dukh mai yadi apaka vyavhar badal gaya hai, to yeh
samay hai ki aap ek nayi shuruwat kare, jaise ki aapka naya janam hua hai. Iss
tarah jeevan mai aane wale naye avsaro aur mauke ka swagat kare.

Depression se Bache
Pyar na milne par insaan nirash ho jata hai aur khud ko hara hua mehsoos
karne lagta hai. Aese mai depression hone ki sambhavna bahut badh jati hai.
Agar aap iss sthiti se gujar rahe hai, to isse chhutkara pane ke liye akela rahna
chhod de aur apna adhiktar samay dosto ya pariwar walo ke sath bitaye aur
jitna ho sake khud ko vyast rakhe. Aur, apne career par dhyan de.

Upar apne janaOne Sided Love in Hindi. Ek tarfa pyar ko pane ki koshish mai
agar aapko nirasha hath lagti hai to udas na ho balki khud ko sambhale. Samay
ke sath sath sab thik ho jayega.
hrelate.com

Вам также может понравиться