Вы находитесь на странице: 1из 7

Anchoring script for Maheshwari Mahesh Navmi or Mahesh Jayanti

2010 date is on June 20


Theme- FESTIVALS OF INDIA
Swagat hai aapka aaj Mahesh Navmi ki mauke par aap sabhi ka
maheswari samaj welcome karti jaisa ki dosto yah tyohar bhgwan
shiv ko samrpit hai jinaka hi ek aur naam hai mahesh unhi ke
aashirwad se maheshwari samaj ki utpati hui hai to is spl occasion
yani is shubh gadi me main hoon aapke dost and host ………
This festival is dedicated to Lord Shiva as Mahesh
is another name for Lord Shankar. It is believed that
on this day Lord Mahesh was appeared for first time.
Maheshwari community is named after Lord Mahesh
because of their utmost devotion towards the Lord.
On Mahesh Navami day, Maheswari community was
formed in Rajasthan. Lord Mahesh along with his
consort Goddess Parvati is worshipped on this
festival by the business community.
Contribute a better translation
DANCE:
Name Song
Jaisaki Doston Hamare culture me jab koi subh karj karte
hain to hamare vighan harta ganpati Ganesh ko pratham
nimatran dete hai to kyun na aaj ki shaam ka aagaj ganpati
ganesh ke vandna ke saath Karen.
So put your hands together ladies and gentleman first
performance is .
1. Ganesh Vandna
Jaisa ki dosto apna maheshwari samaj shastron ko tyag kar
kalam dawat w taraju dharan kar vaisye hue aur bhagwan
Mahesh ke aashirwad se hum sabhi maheshwari kahlaye ek
baar maheshwari samaj ke liye ek baar mil kar jordar
taliyan….very good.hamre samaj me Mahesh Navmi ka
Jaisa ki aapko malum hi hai Bhagwan Mahesh ke kahne par
jab hathiyaro sahit surajkund me snana karne kaha to sabhi
hathiyar us kund me gal gaye aur hathon me kalam dawat
aagaye aur tabhi bhagwan Mahesh ne kaha tum sabhi jati
par meri chap rahegi aur tabhi se hum log maheshwri
kahlate hain aur aur jis din bhagwan Mahesh ne vardan
diya us din udhisther samvat 9 jaesth shukla navmi thi jise
ab hum log Mahesh navmi ke roop me manate hain.
To aye ab hum sabhi ise khas Mahesh navmi par special
performance dekhte next program ki or enjoy kare next
performance is .
2. MAHESH NAVMI
Ek Festival aisa jo married person ke liye bahut mayne
rakhta hai aur wife apni husband ke liye lambi umar ki
duan karti hai. So let’s enjoy our next performance is .
3.Teej
Waise hamre hindustan me har festival ki alag hi baat hai.
But chote-chote gayen chote choto gwal choto moro madan
gopal..
Yani natkhat nandlal yani kishan ji kahaniyan to aapne hum
sabne suna hai to aisa ho hi nahi sakta ki jab festival ka jikr
ho aur hum sab janmastmi ko miss na kare so aaiye ab aap
ko gokul ki galiyon me liye chalet hain agar aap v chalna
chahte hain to kahiye mere sang Nand ke aanand bhao jao
kanhiya lal ki ….so next performance is .
4. JANMASTMI
To I think ab aap sab bahut enjoy kar rahe honge ek se
badhkar ek paerformance se saath.. waise v hamra samaj
vaisye samaj hai aur aur tabhi socity me samj me hamra
bahut important sthan hai waise dosto ab chaliye aap ko
ganpati ganesh ke janam divas ki aur liye chalet hain yani
gansh chturdasi ki aur joki vinayak chturthi ke roop me v
jana jata hai bhudhi ke devta samrdhi aur sauvgya ke roop
me puja jata hai. Tyohar 10 dino ke liye rahta hai anant
chturdhi par samapt hota hai. Sabhi mere sath bolo ganpati
bappa moriya so let’s enjoy our next performance is
5. Gansh Chuturdashi
The Dandiya Raas dance originated as devotional Garba
dances, which were performed in Goddess Durga’s honor.
This dance form is actually the staging of a mock-fight
between Goddess Durga and Mahishasura, the mighty
demon-king. This dance is also nicknamed ‘The Sword
Dance’. The sticks of the dance represent the sword of
Goddess Durga. Rass Yani Dandia Navratri me ek
mahtvpurna Hissa hai to dandia me masti na ho to maza
kaisa so gyes are u ready for dandia .
6. Dandia
Itne sare Festivals hai hamri jivan me par karwa chuth ek
parmpriktha vibahit mahilayon ka tyohar hai. Married
mahilayen apni husband ke lambe jivan ke fast kar pure din
anusthan kar unke lambi umar ki kamna karti hai.i think
jitney v married log yahn hai unhe iski imprtency malum
hai to kyun na aap v enjoy Karen is bahut hi adhbhoot
performance ka so let’s see
7. Karwa Chauth
Jisa ki dosto har festival ki alag –alag massage hota hamre
samaj ke liyew
S to ab aapko liye chalet hain burai par achhai ki jeet yani
depion ka festival yane devali yah sandesh jan jan tak
pahuchane ab le kar depon ka tyohar laye khusiyan hazar
our next rock and roll performance
8. Diwali
O aagayi Lohri ve…balle-balle jo bloe so nihal sastikal
lohri da maza ab yahi lena chahte ho to sab jor se bolo balle
–balle so ab tushi chalo saddenaal Punjab next performance
is
9. Lohri
Holi is colourful, Diwali is lightful, but MAHESHWARI NAWMI is
wonderful……..so most welcome to one and all in this rocking OCASSION.
Neem ka ped, chandan se kam nahi
Aur hamara ye (……….) kisi London se kam nahi….!
Khusiyo ki raat hogi
Jashn jara datt ke hoga
(Maheshwai Navmi) ka
Aandaj jara hat ke hoga
So lets enjoy with………………………………..
JOKES
10. Holi
Jaisa ki aap sabhi jante hain Rajshthan ka sanskritik aur
nirte geeton ka sabse khaas teohar Gangaur
Bhawre mahane pujan dhao gangaur…..
Gangaur ek aisa teohar hai jise mahilaye bade harsholash
ke saath manati hai. Unmarried gails manbhawan pati
prapti ke liye aur suhagin mahilayen apne pati ki lambe
umar ki apne suhag ko chirkaal tak banaye rakhne ke liye
manati hai aur is teohar ko yaad aaye aur rajshthani geet ki
yaad na aaye aisa kaise ho sakta hai to aap v mera sang
jhoome gayen aur gangaur ki masti me kho jayen next
performance is
11. GANGAUR
------------------------------------------------------------------------
1. Welcome- Holi is colourful, Diwali is lightful, but MAHESHWARI
NAWMI is wonderful……..so most welcome to one and all in this rocking
OCASSION. Neem ka ped, chandan se kam nahi
Aur hamara ye (……….) kisi London se kam nahi….!
Khusiyo ki raat hogi
Jashn jara datt ke hoga
Maheshwai Utasv ka
Aandaj jara hat ke hoga
So lets enjoy with………………………………..
JOKES
Jab dekha unhone tirchi nighao se to hum madhosh ho gaye,
par jab pata laga ki unki najar hi tirchi hai to hum behosh ho gaye
For Enjoy
Marwadi joke- ki khuda kare tujhe aise bimari lage
Ki tu budhape mai bhi kuwari lage
Dazen ho jaye tere bache,
Tu fir bhi mujhko pyari lage….!
Rang tharo amavas jaiso
Par tu lage puranmasi,
Chaal thari bedhangi,
Manne hirni si lagi
Kai dina re baad jab tu (name) Raa byaab m tayaar hui
To kasam su tu do bacha ri ma hota hua bhi manne kavari si lagi
Male ke liye- aise vani boliye ki man ka aapa khoye
Sunne vala saat din tak
Sisak sisak ke roye
Phulo si mushkurahat
Chand sa chehra
Aankhon mai jagmagahat
Mashumiyat ka pahra
Sabke prati itna pyaar
You are (name) my yaar
3
Female host ke liye- kisi pagal kavi ki kalpana hai aap
Kisi shayar ki shayari hai aap
Kisi phool ki khili kali hai aap
Gulab bhi jise dekhkar sharmaye,
Itni hasi hai aap………..!
Kayamat hai aap
Hakikat hai aap
Khubsurat to phool bhi hote hai
Phoolo se jyada khubshurat hai aap
Friends ke liye- karz dosti ka ada karega kaun
Dost na ho to dosti karega kaun
Ae khuda ! in dosto ko salamat rakhna
Varna meri shadi mai dance karega kaun
Sabhi boys ki taraf se sabhi girls ke liye-
Hum aise ashiq hai
Jo gulab ko bhi kamal bana denge
Uski ek aada pe
Koi gajal bana denge
Agar vo aa gayi jindagi mai to kasam se
Is sahar mai bhi ek taajmahal bana denge
Saja milni chahiye un ladkiyo ko jo
Saj savarkar hume tadpati hai
Khud to kuch karti nahi
Hume aur nikamma banati hai
Sabhi girls ki taraf se boys ke liye-
Jiya bekarar hai…chayi bahar hai
Aaja mere balma tera intzaar hai
Jiya bekarar hai chayi bahar hai
Aaja mere balma varana dusra tayaar hai
4
Girls vs Boys-
1 1. Ladka aur Ladki (Boy and Girl)!! Ladki boli: Chandni chaand se
hoti hai, sitaron se nahi, Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi. Ladka bola : Chandni agar
chaand se hogi to sitaron ka kya hoga, Chandni agar chaand se hogi to
sitaron ka kya hoga, Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Comment on gals-
Ladkiya ladko se jyada mahanti hoti hai
Aapko pata hai kaise?? -Nahi pata -Main bata deta hoon aapko -Kyun ki
-100 mein se 10 Larkia’n naturally khoobsurat hoti hai Aur baki Apni
Mehnat se…
Games----
1 Bindi competition on face
2 Eating competition
3 Bring husband shoes on stage
4 Guess money in pocket
5 Sing hindi song in any funny language.
5
For claping-
Vo hoth kya jisme lali nahi
Vo upvan kya jisme mali nahi
Vo saural kya jisme Sali nahi
Vo mahfil kya jisme tali nahi
Lab surkh sarvati ho jaye
Galo pe cha jaye lalia
Jab is dance pe ek baar fir se ho jaye jordar talia
Baharo ki mahfil suhani rahegi
Labo pe khusi ki kahani rahegi
Chamakte rahenge khusiyo ke ye sitare
Agar aapki taliyo ki maharvani rahegi
All the best
With regards-
SANTOSH TANDON
www.ashokastudiowebs.com
www.wix.com/devfilms/artcity

Вам также может понравиться