Вы находитесь на странице: 1из 1

Kitni Khamosh Nigahon Ne Bulaya Mujhko,

Kitni Magroor Adaon Ne Lubaya Mujhko,


Kitne Dil The Jo Mere Vaste Betaab Rahe,
Kitni Ankhon Ne Mere Pyaar Ke Sapne Dekhe!

Naaznino Ne Mere Pyaar Mein Marna Seekha,


Kitni Zulfon Ne Mere Ghum Mein Bikharna Seekha,
Har Taraf Mere Liye Husun Ke Nazaare The,
Mere Humraah Kabhi Chand Kabhi Taare The!

Fir Bhi Tukhraah Di Tere Vaaste Duniya Maine,


Kisi Jalwe Ki Taraf Mudh Ke Na Dekha Maine,
Main To Bas Teri Nigahon Ka Tamanaahi Tha,
Teri Zulfon Ki Ghani Chawn Ka Shedhaai Tha!

Mere Ankhon Mein Tere Husun Ki Ranai Thi,


Mere Dil Mein Teri Tasveer Ubhar Aayi Thi,
Mere Hoton Mein Machalte The Taraane Tere,
Meri Ankhon Se Chalakte The Fasaane Tere!

Main Hamesha Teri Zulfon Ka Giraftaar Raha,


Lab-O-Ruksaar Ki Jannat Ka Parastaar Raha,
Maine Shadaab Kiye Teri Muhabbat Ke Kaunwal,
Mera Dil Tha Ki Teri Yaad Ka Tasveer-E-Mahal!

Aur Tune Bhi Mohabbat Ka Chalan Chod Diya,


Meri Ummeed Ka Har Taj Mahal Todh Diya,
Cheen Ke Chain Mera, Todh Ke Pehmaana-E-Dil,
Karke Barbaad Mere Pyaar Ki Rangi Mehfil!

Ab Kisi Aur Ki Mehfil Ko Sajaane Ke Liye,


Tune Zulfon Ko Sanwara Hain Zamaane Ke Liye,
Meri Ankhon Main Tere Ghum Ki Nami Aaj Bhi Hain,
Kal Bhi Thi Teri Kami, Teri Kami Aaj Bhi Hain!

Aaj Bhi Main Hun, Teri Yaad Hain, Tanhaai Hain,


Vahi Ghum Hain, Vahi Dhadkan, Vahi Rusvaai Hain,
Kya Kabhar Thi Ki Tu Is Tarah Badhal Jaayegi,
Meri Duniya Se Dabe Paun Nikhal Jaayegi!

Sochta Hun Ki Zamaane Se Kinara Kar Lun,


Aur Ab Iske Siva Dusra Chaara Bhi Nahin,
Kya Karun Ji Ke Zamaane Se Ab Tere Baghair,
Ek Nakaam-E-Mohabbat Ka Guzaara Bhi Nahin !

Вам также может понравиться