Вы находитесь на странице: 1из 5

WUZU KAY FARAAEIZ: (yani woh baatein jin kay baghair wuzu hota hi nahi)

Wuzu mein 4 farz hai :


1. payshaani kay baalon say thudi kay nichay tak aur ek kaan say dusaray kaan tak muuh
dhoona
2. doono haaton ko khuniyon samait dhoona
3. chauthaie (1/4) sar ka masah karna
4. doono paaon takhno samait dhoona.
________________________________________________________________________________
WAZU KI SUNNATEIN : (yani woh kaam jin kay baghair wazu to hojata hai magar naqis aur
na mukammal rahta hai)
WAZU KI 13 SUNNATIEN :
1. niyyat karna
2. bismillaah padhna
3. pahlay teen baar doono haat gattoon tak dhoona
4. miswaak karna
5. teen baar kulli karna
6. teen baar naak mein paani daalna
7. daari (beard) ka khilaal karna
8. haat paaon ki ungliyoon ka khilaal karna
9. har azoo ko teen baar dhoona
10. ek baar tamaam sar ka masah karna , yaani bheega hua haat sar par phairna
11. doono kaano ka masah karna
12. tarteeb say wazu karna
13. musalsal wazu karna , yaani ek a’zoo khuskh na honay paaye kay dusara a’zoo dhooye
___________________________________________________________________________________
GUSL KAY FARAAEIZ: (woh baatein jin kay baghair gusl hota hi nahi)
Gusl mein 3 farz hai:
1. kulli karna
2. naak mein paani daalna
3. tamaam badan paani bahaana – is tarah kay baal barabar jagah sukhi na rahay.
GUSL KI SUNNATIEN : GUSL MEIN 5 SUNNATIEN HAI
1. doono haat gattoon tak dhoona
2. na paaki door karnay ki niyyat karna
3. jis jagah badan par najasat (na paaki) lagi ho ussay dhoona
4. pahlay wazu karna
5. tamaam badan par teen baar paani bahaana
NAWAQIZ E WAZU : ( jin chezoon say wazu toot jata hai unhain nawaqiz e wazu kahtay hai
aur woh 8 hai)
1. pakhaana , peshaab karna , ya un doono raston say kisi aur cheez ka nikalna
2. reeh yaani hawa ka peechay say nikalna
3. badan kay kisi muqaam say khoon ya peep ka nikal kar beh jaana
4. mooh bhar kar qhai (vomiting) karna
5. late kar ya take laga kar soona
6. bimari ya kisi wajah say bay hoosh ho jaana
7. majnoon yaani deewana ho jana
8. namaz (ruku aur sajday waali) mein qaiqah maar kar hasna

4 - ASMAANI KITABEIN : KHULAFA E RASHIDEEN KAY NAAM : 4- MASHOOR FARISTON


KAY NAAM
1. touraat 1. hazrat Abu Bakar Sid’deeq (R.A.) 1. hazrat Jibraeel (A.S.)
2. zaboor 2. hazrat Umar Farooq (R.A.) 2. hazrat Meeka’eel (A.S.)
3. injeel 3. hazrat Usmaan Ghani (R.A.) 3. hazrat Isra’feel (A.S.)
4. quraan e majeed 4. hazrat Ali Murtuza (R.A.) 4. hazrat Izra’eel (A.S.)
KHANAY KAY ADAAB:
1. doono haath gattoon tak dhona aur na poonchna
2. dastar khwaan bichana
3. bismillaah padhna ( bismil laahi wa a’laa bara-katil’laah )
4. daaien (right) haat say khana ( baaien (left) haat say hargiz na khana )
5. apnay samnay say khana, agar tashtiri mein ka’yee qism ki chezien ho to jo pasand ho
woh khayein , kisi ka haat badh raha ho to apnay haat ko rook lein
6. teen ungaliyoon say khana
7. piyala tashtiri ko neez ungliyoon ko chaat kar saaf karna
8. agar luqma gir jaye to utha kar khalayna
9. khanay mein aieb na lagaana
10. take laga kar na khana
11. khanay kay baad ki dua padhna (Alhamdu lil laahil lazee at amanaa wasa qaanaa waja
a’lanaa minal muslimeen. )
12. pahlay dastar khwaan uthana phir khud uthna aur dastar khwaan uthanay ki dua padhna
(Al hamdu lil laahi hamdan kaseeran tay’yibam mubarakan feehi ghaira makfi iw walaa
muwad’da iw walaa mustagh nan anhu rab’banaa.)
13. kulli karna
14. haat dhona

SOONAY KAY ADAAB:


1. jald soonay ki fikr karein , duniya ki baatein na karein
2. ba wazu sooye (wazu kar kay soona)
3. teen martaba bistar jhaard kar sooye
4. teen silaaye surma laga kar sooye
5. kalimay shareef padh kar sooye (Awwal kalima)
6. tasbeeh fatimah padh kar sooye (33 martaba- subhaan allaah, 33 martaba- alhamdulil laah,
34 martaba - allaahu akbar)
7. teeno ‘Qul’ padh kar haaton par phoonk kar saaray badan par phairlay (para no.30)
8. ‘suray mulk’ aur ‘alif laam meem’ sajdah padh kar sooye (para no.29 & para no.21)
9. dhaahini (right) karwat late kar haat rukhsaar kay nichay rakhay
10. dua padh kar sooye ( Allahum’ma bismika amootu wa ah-yaa )
11. agar needh na aaye to yeh dua padhay ( a’oozu bikali maatil laahit taam mati min ghaza
bihee wa e’qaabihee wa shar’ri ibaadihee wa min hama zaatish shayaa teeni wa ien
yahzuroon )
12. agar bura quwaab dekhay to yeh dua padh kar baaien (left) janib thutkaar dein ( a’oozu bil
laahi minash shaitaani wa shar’ri haazi hir ru’yaa (3- baar)

SHARAIT E NAMAAZ ( yaani jin kaamo kay FARAEIZ E NAMAAZ: ( woh baatein jin kay
bagair namaaz shuru hi nahi hoti ) bagair namaaz hoti hi nahi )
1. badan ka paak hona 1. takbeer e tahreema kehna
2. kapadon ka paak hona 2. qiyaam yaani khada hona
3. jagah ka paak hona 3. qiraat yaani quraan padhna
4. satar ka chipana 4. ruku karna
5. namaaz ka waqt hona 5. doono sajday karna
6. qiblah ki taraf muh karna 6. qaiday akhirah yaani namaaz kay aakhir mein
7. niyyat karna attahiyaat padhnay ki miqdaar baithna
JOOTA PAHENNAY KAY AADAAB:
1. ek joota pahen kar chalna mamnoo (mana) hai
2. joota pahlay daahenay (right) pair mein pahnay aur utartay waqt pahlay baaien (left)
pair say utaarein
3. jahaan joota chori honay ka andeshaa ho wahaan na rakhein , apnay
paas rakhein (magar masjid mein layjaanay say pahlay jootay ki gard wa ghubaar
jhatakdein)
BAITUL KHALAA JAANAY KI SUNNATIEN:
1. sar dhaank kar aur joota ya chapel pahen kar baitul khalaa mein jaana
2. dua padh kar jaana ( Allahum’ma in’nee a’oo zubika minal qubusi wal qabaa is )
3. pahlay baaya (left) pair andar rakhna
4. baitul khalaa mein qibla ki taraf na chehra karein aur na peeth karein
5. faraaghat kay waqt baaein (left) pair par wazan daal kar baithaien
6. baitul khalaa mein baith kar bila shadeed zaroorat kay baat na karein aur ussi tarah Allah
ka zikr bhi na karein
7. faraaghat kay waqt aazoo e khas ko daahinay haat na lagayein balkay baaya haat lagayein
8. peshaab karnay kay waqt narm jagah talaash karein
9. baith kar peshaab karein – khaday ho kar na karein
10. peshaab kay chitoon say bahot bachay kyunkay aksar azaab e qabar us say na bachanay
ki wajeh say hota hai
11. anghothi ya kisi cheez par quraan shareef ki ayat ya Huzoor (Sallal lahu alihi wa sallam) ka
naam mubarak likha hua ho to ussay apnay paas na rakhein
12. faraaghat kay baad pahlay choota istenjaa dhooen phir bada istenjaa dhooen
13. phir daahina (right) kadam bahar nikaal lay
14. baitul khalaa say nikal nay ki dua padhay. (Ghufraa naka alhamdu lil laahil lazee azhaba an-
nil azaa wa aa faanee)
___________________________________________________________________________________
PAANI PEENAY KI SUNNATEIN:
1. Paani baith kar peena
2. paani dekh kar peena
3. paani peenay say pahlay ‘bismillaah’ kahna
4. daahinay (right) haat say peena
5. teen saans mein peena
6. peenay kay baad ‘alhamdulillaah’ kahna
___________________________________________________________________________________
ARKAAN E ISLAAM : (islaam kay 5 arkaan hai)
1. kalimay tayyiba
2. namaaz
3. roza
4. zakaat
5. hajj
EK MUSALMAAN PAR DUSERAY MUSALMAAN KAY HUQOOQ:
1. salaam ka jawaab dayna
2. mareez ki mizaaz pursi karna
3. janazay kay saath jaana
4. daawat qubool karna
5. cheenk ka jawaab dayna (yar hamu kal laah) kehna
___________________________________________________________________________________
MASJID MEIN DAKHIL HONAY AUR NIKALNAY KI SUNNATEIN
1. Masjid dakhil hotay waqt seedha pair (right leg) pahlay masjid mein rakhna
2. Dua padhna ( Allahum maf tahlee ab waaba rahmatik )
3. Aetekaaf ki niyyat karna
4. Masjid say nikal tay waqt bayaa pair (left leg) pahlay nikaalna
5. Nikaltay waqt dua padhna ( Allahum’ma innee as aluka min fazlik )

EK SUNNAT PAR AMAL KARNAY PAR 100 SHADEEDO KA SAWAAB HAI – (HADEES-MISHKAAT)
AMAAL E JUMA:
Yani juma kay woh amaal jin ko hadees e paak mein khaas fazeelat aaye hai aur in par amal
karnay say har har qadam par ek saal nafil namaz aur ek saal nafil rozay ka sawaab milta hai
( Tirmizi, Abo Daud, Nasai, Ibn Maja) – woh 6 amaal yeh hai :
1. Ghusl karna
2. Masjid jaldi jaana
3. Paidal jaana
4. Imaam kay qareeb baithnay ki koshish karna
5. Koi laghoo kaam na karna
6. Khutbah ghour say sunna
In kay alawah aur bhi chand amaal hai jin ka juma kay rooz khaas ahtemaam karna chahiye
1. Suray Khaf ki tilawat ( para no. 15 , total ayats -110 )
2. Durood e shareef ki kasrat, kum say kum 300 baar
3. Salaat tul tasbeeh padhna
4. Dono khutbo kay darmiyaan jab imaam mimbar par baithay to dil hi dil mein dua karein
5. Ghuruub e aaftaab (maghrib) say pahlay dua karna kay us waqt dua qubool hoti hai
____________________________________________
KHUTBAY KAY WAQT MAKROOH AMAAL:
1.Khutbay kay waqt baat karna
2.Namaz padhna
3.Dua karna
4.Quran ki tilawat karna
5.Durood e shareef padhna
6.Zikr karna
7.Tasbeeh karna ya koi bhi aysa kaam karna jis ki wajah say khutbah tawajjuh kay saath na
sun sakay makrooh hai
___________________________________________________________________________________
DUA KAY AADAAB:
1. paak wa saaf ba wazu qibla-roo hokar dua karna
2. doono haath seenay kay saamnay rakhna
3. doono haath kay darmiyaan thoda faasla rakhna
4. ikhlaas aur tawaj’juh kay saath chupkay-chupkay dua karna
5. dil mein yeh yaqeen rakhna kay insha-allaah hamari dua zaroor qubool hogi
6. dua kay awwal wa aakhir mein hamd wa sanaa aur durood e sharif ka ahtemaam rakhna
7. dua kay baad doono haath chehray par phairna

WAALIDAIN ( MAA – BAAP ) KAY HUQOOQ AUR ADAAB AUR UN KAY FAZAAIL :
1. maa kay qadmo kay nichay jannat hai
2. baap jannat kay darwazon mein say beech ka darwaza hai
3. waalidain ki khoob khidmat karein , ussay rizq aur umar mein barkat hoti hai
4. waalidain ka aur unkay rishtay daar , dost ahbaab aur mutalliqeen ka ikraam wa ihteraam
karein
5. agar waalidain nichay baithay hoto unchi jagah par na baithay aur na unchi awaaz mein
baat karein
6. agar waalidain kisi kaam say rookein to ussi mein bhalayi samajh kar ruk jaaye
7. waalidain bhoodhay ho jaaye to unki har tarah say khidmat karein
8. aisa koi kaam na karein jissay waalidain naaraaz ho
9. waalidain ki har baat maanay , agar khilaaf e sharah(islam kay khilaaf) hoto usay baaton
mein taal day
10. waalidain ki riza(khushi) mein Allah ki riza hai aur unki naaraazgi mein Allah ki naraazgi hai
11. waalidain ki agar zindagi bhar bhi khidmat ki jaaye to unkay ek ahsaan ka badla bhi nahi
chukaya jasakta
( SOURCE : AASAAN DEENIYAAT )

Вам также может понравиться