Вы находитесь на странице: 1из 2

Fateha se Muta’aliq Nazriya-e-Aetedaar

1) Fateha farz hai ya wajib nahi balke mustahab amal hai jo baa’is-e-ajr-o-sawaab aur muajib-e-
rahmat-o-barkat hai
2) Ta’aam,sheerni waghairah jis shai par fatiha padh’hi ja rahi hai uska saamne maujood hona
fatiha ki durustagi ke liye zaroori-o-laazim nahi balke afzaliyat ke taur par hai ke kalaam-e-
paak ki muntakhab suraton kai tilawat aur darood-e-shareef ke sabab yaqeenan is ta’aam ya
sheerni waghairah me barakat nazil hogi
3) Fatiha khani sha’air-e-ahle sunnat yaani ahle sunnat ki alaamat aur nishaaniyon me se nahi
hai lihaza uska ehtemaam na karne wale ko ghair sunni nahi kaha ja sakta albatta fatiha
khani se rokna ya us par beja aiteraazaat karna yeh ghuloo aur ziyaadati hai jisse bachna
laazim hai

Dawat-e-Fikr: Jo hazraath fatiha khani ka ehtemaam nahi karte lekin fatiha ko mustahab jaante hain is
par koi aiteraaz nabhi nahi karte aur kisi ko fatiha khani se rok te bhi nahi unse koi ta’aruz (BAHAS) nahi
albatta jo log awaam-un-naas ko fatiha khani se rokte hain aur fatiha khani ko shirk ya bid;at qarar dete
hain aur fatiha khani ko puja paat se tashbiya dete hain unki khidmat me hamare chand sawalaat hain

1) Qur’aan-e-majeed ke kaee maqaamaat me Allah ka zikr kasrat se karne ka hukm diya


gaya hai aur ahadees-eshareefa se saabit haike Qur’aan-e-majeed ki tilawat aur durood-
e-shareef behtareen zikr-e-khudawandi hai aur fateha khani Durood-e-shareef aur
Qur’aan-e-Azeem ke muntakhab tilawat par hi mushtamil hai jiska fatiha khwan Hazraat
subha-o-shaam ehtemaam karte hain to kya ab fateha khani se rokna zikr-e-khuda se
rokna hoga.
2) Fatehakhani me Qur’aan-e-majeed ki tilawat hoti hai aur durood-e-shareef padh’ha jata
hai, kya tilawat-e-Qur’aan aur durood-e-shareef se rokna kisi momin ka amal ho sakta
hai?
3) Agar koi saada oh musalmaan is amal se rukh jaaye to iska wabaal kiske sar hoga?
4) Fateha se inkaar aur uski mukhalifat haqqaniyat par mabni ya nafsaniyat par?
5) Baghair ilm ke kisi cheez ka hukm bayaan karna yeh kaisa amal hai aur shari’at par
haqeeqat pasandi aura dl-o-insaaf ke saaath ghaur kijiye aur khauf-e-khuda aur roz-
eakhirat ko pesh-enazar rakh kar inka jawaab bataiye. Haq ta’ala se dua hai ke who
hamare mizaaj me adl-o-insaaaf aur haq pasandi , dilon me ikhlaas-o-taqwa aur nigahon
me tasawwur-e-akhirat paida farmaye aur hum sabko nek taufeeq ata farmaye aamieen
bijahi sayyeedil mursaleen Sallallahu alaihi wa aalihi wa ashaabihi ajma’een.
Fajr aur Asr ki farz ke baad fatiha ke ehtemaam:
Fajr aur Asr ki farz namaazon se baad dua me fateha ka ehtemaam kiya jata hai is silsiley me
hazrath Maulana Mufti Abdul Hameed Sahib Alaihirrahmah apni kitab Haqeeqat-e-FAtiha me likhte hain
“Tirmizi Sharef “me Hazrath Abu Umamah Razi Allahu Ta’ala anhu se marvi hai ke Rasool ullah Sallahu
Alahi wasallam se daryaaft kiya gaya ke kansi dua jald qubool ki jaati hai Irshaad Hua “Who dua jo raat
ke aakhri hisse me aur farz namaazon ke baad ki jaati hai” (Tirmizi Vol 1 Pg 187).
In ahadees ke pesh-e-nazar bajamaat namaaz ke baad manqool duaon ke saath aakhir me fatiha ka waqt
muqarrar hua take in mutabarrik wa muhtam bish shaan Aayaat ki tilawat se dafa-muhimmaat , shifa-ul-
amraaz, jismaani-o-roohani ke husool ke alawa inke ajr-o-sawaas se khud bhi behra andoz hon aur
zinda-o-murda musalmanon ko bhi inka ajr-o-sawaab pahunche.
Allah ka naam lo aur apne qareeb se khao pas who khana is qadar ba barkat hua tamaam log shikam sar
ho gaye aur who bilkul kam nahi hua tha. Raavi hazrath anas (RA) kehte hain jab aap (SAWS) ne mujhe
uske uthane ka hukm diyaa to mujhe yeh maloom na ho saka ke who us waqt zyaada tha jab maine usko
rakha tha? Ya jab uthaya the us waqt zyaada tha (Bukhari, Muslim). Is tarha ek aur hadeees me Hazrath
Abu hurairah (RA) se Riwayat hai un hoon ne kaha maine chand khajoor Anhazrath (SAWS) ki khidmat
me pesh kiye aur arz kiya kea e Khuda ke Rasool isme barakat ki dua farmaiye Aap (SAWS) ne in
khajooron ko ekjah kiya phir mere liye inme barkat ki dua farmai aur farmaya isko lelo aur apne
toshedaan me rakho aur jab tum is me se kuch lena chaho to isme haath daal kar lelo aur inko neeche
phaila na do Hazrath Abu Hurairah (RA) kehte hain ke maine is khajoor ke kaee wasa khuda ke raaste me
de diye (Ek WASAQ aajke kam az kam dedh(1.5) kuntal ke barabar hota hai) aur usse khate bhi rahe aur
who hame sha mere saath raha aur jis din Hazrath Usmaan (RA) ki shahadat amal me aai who
(Toshedaan) mujh se katkar kaheen gir pada (Tirmizi.Vol 2 Pg 223)
In ahadees-e-mubarakah se zaahir haike kisi cheez ke roo ba roo rehne me nuzool-e-barkat aur
Qubooliyat ko bada dakhal hai aur in ahadees me ta’aam waghaira ka saamne hona aur hathon ko
uthakar dua karna aur tilawat karna paya jata hai. Lihaza waazih hua ke fatihake waqt ta’aam waghairah
ka saamne hona aur us par Qur’aan-e-majeed aur phir dua sunnat saabit hai.

Вам также может понравиться