Вы находитесь на странице: 1из 1

hasin palo ko phir se abaad kar rahe the,

chand se aapki baat kar rahe the.


dil ko bada sukun mila jaankar,
k aap bhi hamein hi yaad kar rahe the.

manzilein bhi uski thi..rasta bhi uska tha...


ek mein hi tanha tha....kaafila bhi uska tha...
phir saath saath chalne ki soch bhi uski thi..
phir raasta badalne ka faisala bhi uska tha...
aaj kyu hu mein akela dil ro kar savaal karta hai..
log to uske the..par kya khuda bhi uska tha...????

khushiyon se naraaz hai ye zindagi....


pyar ki mohtaaz hai ye zindagi...
has lete hai logo ko dikhane k liye...
varna dard ki kitaab hai zindagi... sep 13 abhimanyu..a�hi.

yaad aaye to aankhen band na karna,


hum chale bhi jaaye to gum na karna.
yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna. sep 13 abhimanyu..a�hi.

ishq ke bhi kuch andaz hote hain,


jagti ankhon mein bhi khawab hote hain,
zaroori nahi ke gam mein ansu nikle,
muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain

har taraf khamoshi ka saya hai


zindagi mein pyar kisne paaya hai
hum tho jhomthe hain yaadon mein
aur log kehthe hain aaj phir peeke aaya hai.... sep 14 abhimanyu..a�hi.

bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,


jaam dusro se cheenkar hum piya nahi karte.
unhe mohhobat hai to aake ezhaar kare,
warna picha hum bhi kisi ka kiya nahi karte sep 14 abhimanyu..a�hi.

kaash banane wale ne hume aansu banaya hota,


aur mehboob ki aankh mein basaya hota,
jab girte unki aankh se unki godh mein,
thoda marne ka maza bhi aaya hota..!! sep 14 abhimanyu..a�hi.

nasha hum kiya karte hai,


ilzam sharaab ko diya karte hai,
kasur sharaab ka nahi unka hai,
jinka chehra hum har jaam mein
talaash kiya karte hai..!! sep 14 abhimanyu..a�hi.
dil dhadkta hai to awaz nahi aati,har kisi ko mohabbat raas nahi aati.
yeh to apne apne naseeb ki baat hai,koi bhulta nahi kisi ko yaad nahi aati

Вам также может понравиться