Вы находитесь на странице: 1из 2

Gar aye daur muskil ka, to dil me ek hausala rakhana-2 Rukh mod sakte ho dariya ka tum, khud pe bas

yakeen rakhana . Bure daur me to, apna saya bhi sath nahi deta,-2 Fir tum kisi aur sahare ki, na kabhi ummed rakhana. Jo jindagi ki jung me, himmat se kam lete hi,-2 Aise hi log yeha, Sher e dil Janbaz kahe jate hi. Jo bina lade hi, yuddha se dar jate hi,-2 Aise log yehan kayar aur bujdil kahe jate hi. Is jaha me lakhon roj, ate hi chale jate hi,-2 Kuch hi yugpurush hote hi, jo apne nisan chor jate hi. Ye zindagi kuch bhi nahi , bus ek moh maya hi,-2 Yehan na koi apna hi, na koi paraya hi. Chahoge jise dil se, ek din wahi tume rulayega,-2 Samjhate ho jise apna, ek din o bhi chor chala jayega. Na tu kar gum kisi ka, nahi to pachhatayega,-2 Kya lekar aya tha yehan, jo tu lekar waha jayega. Ye duniyadari kya hi, bus zindagi ka ek Afsana hi-2 Chale jana hi sabko yehan se, maut to ek bahana hi. Yehan to bus usi ne kuch kamaya hi,-2 Jo sabki bhalai ke liye, ye zindagi ganvaya hi. Gamo me rone wale insan to, bahut se hote hi-2 Dukho me musuranewale log to, kuch virle hi hote hi.

Zindagi jeene wale to, sare log hi hote-2 Zindadili se rahne wale to, kuch ek hi milte hi. Milti hi zindagi ek bar, sau bar nahi,-2 Deti hi kuch kar DIkhane ka mauka, ek bar, har bar nahi. Zindagi kab sath chore de, iska aitbar nahi-2 Utho tum age bado, ab karo aur intzar nahi. Ye zindagi ek jung hi, bus tum ye jan lo,-2 Zeetani hi jung ye, Dil me ye tum than lo. Har ho ya jeet ho, na is soch me pado,-2 Tum veer ho, tum dheer ho, ab chal age bado. Wo zindagi kya zindagi hi, jo khud ke liye jiye,-2 O maut bhi kya maut hi, jo kuch kiye bina mare. Chor do ye moh maya, chalo ab ye jung lado,-2 Tum veer ho, tum dheer ho, age bado bus age bado, 2

Brijesh Brijesh Singh Yadav brijeshbioinfo@gmail.com

Вам также может понравиться