Вы находитесь на странице: 1из 1

Halqe (Groups/Circles) - - bY Tanzil Rahman, Facebook Mere atraaf har su qahqahe bikhre pade haiN Ra anayiyaaN haiN Fatah

ka jashn badpa hai Sunahri roshniyoN meiN chamakte log Jaam hathoN meiN uthaye kaamrani ka Machalte phirte haiN apne halqoN meiN Thirakte, raqs karte Gaa rahe haiN geet Mustaqbil ka Jo is pal say bhi zyada khoobsoorat hai Inhi halqoN ki sarhad par kahiN main bhi khada huN magar kya baat hai ke dil mera gahri udasi meiN ghida hai main rang-o-bu ke is toofaN meiN tishna-lab kisi deewar ke saaye meiN hooN shayd jahaN se woh sunahri dhoop dikhti hai magar us tak pahuNchne ki abhi khahish nahi dil meiN Main mehfil meiN to huN lekin maiN halqe meiN nahiN shayd hazaroN haiN yahaN halqe magar maiN aage badhkar unmeiN milne se jhjijakta hooN mujhe lagta hai koyi aage aakar apne halqe meiN bula lega magar woh bhi nahi hota laboN par ek begaani haNsi le kar maiN in halqoN ki sarhad par khada huN aur dil meiN ek gahree udaasi hai Glossary: Halqa: group/circle, Atraaf: around, har su: everywhere, Qahqahe: Laughter, Ra anayiyaaN : Glitz/sparkle Fatah: victory, jashn: celebrations Jaam: drink, kaamrani: success Sarhad:border, raqs: dance Mustaqbil: future, sarhad: border Rang-o-bu: colors and fragrances Tishna-lab: unfulfilled

Вам также может понравиться