Вы находитесь на странице: 1из 55

anaab Raghupati Sahay Firaaq Gorakhpuri ka maine yahan zikr to kiya hai kuch latifon mein lekin aapko

unki shayari se taaruf nahi karvaya hai abhi tak. Yeh meri laparvahi hai aur iske liye aapki mazrat chahunga. Khair, ab is ka kuch kiya jayega, aur aapko Firaaq ke kalaam yahan aksar milenge. Is baar ke liye do ghazalen air kuch ashaar aapke nazar. Yeh pehli ghazal shayad aapne suni ho. Ise ek jaane maane gulkar ne pesh kiya hai, jisko sun ne be baad meri bhi yaadein taza ho gayi. Bahut pahle se un kadmon ki aahaat jaan lete hai Tujhe ai zindagi ham door se pahchaan lete hai Meri nazre bhi aise qaatilon ka jaan-o-imaan hai Nigaahen milte hi jo jaan aur imaan lete hai Tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan raaton mein Ham aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hai Khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahi hota Use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hai Jise soorat bataate hai pata deti hai seerat ka Ibaarat dekh kar jis tarha maanii jaan lete hai Tujhe ghaata na hone denge kaarobaar-e-ulfat mein Ham apne sar tera ae dost har ehsaan lete hai Hamaari har nazar tujhse nayi saugandh khaati hai To teri har nazar se ham naya paigham lete hai Firaq aksar badal kar bhes miltaa hai koi kaafir Kabhi ham jaan lete hain kabhi pehchaan lete hai Aur yeh bhi Shaam-e-gham kuch us nigaah-e-naaz ki baaten karo Bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo Nakhat-e-zulf-e-pareshaan, dastaan-e-shaam-e-gham Subah hone tak isi andaaz ki baaten karo Ye sukut-e-yaas ye dil ki ragon ka tootna Khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo Har rag-e-dil vazd mein aati rahe dukhti rahe Yun hi us ke ja-o-beja naaz ki baaten karo Kuch qafas ki tiliyon se chhan raha hai noor sa Kuch faza kuch hasrat-e-parvaaz ki baaten karo Jis ki furqat ne palat di ishq ki kaaya Firaq Aaj usi Isa-nafas damsaaz ki baatein karo Aur yeh bhi dekh len. Aane waale nasle tum pe rashk karengi ham-aseeron Jab un ko ye dhyan aayega tum ne Firaaq ko dekha tha Ham se kya ho saka mohabbat mein Khair tum ne to bewafai ki Aaj unhen meharbaan pa kar Khush hue aur ji mein dar bhi gaye Tum mukhatib bhi ho qareeb bhi ho Tum ko dekhun ki tum se baat karun Kharab hoke utha hoon teri nigaahon se Main sochta hoon duniya sanvar gai hogi Masoom hai mohabbat lekin isi ke haathon Ai jaan-e-ishq main ne tera buraa bhi chaaha Abhi ke liye yeh hi Firaaq se jald phir mulaqat hogi.

Register Login

FAQ It is currently Thu Feb 16, 2012 6:16 pm Board index Shairy Great Poets and their Poetry All times are UTC

Firaq Gorakhpuri
Moderators: subahh,

Post Reply Page 1 of 2 [ 65 posts ] Print view

Go to page 1, 2 Next Previous topic | Next topic

Author
balvinder Junior Addict Member

Message
Post subject: Firaq Gorakhpuri Posted: Thu Feb 09, 2006 2:59 pm

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indore (india)

firaaq gorkhpuri sahab ke bare men kya batayen unke bare men aap sab jante hi hain unka poora nam raghupati sahay 'firaaq'gorkhpuri tha urdoo adab main unko vahi mukam haasil tha jo mirza ghalib,miir taqi miir, md.iqbal ya faiz sahab ko tha jyada na likhte hue lijiye unki is ghazal ka lutf lein........ ghazal ke saaz uthao barhi

udas hai rat nawa-e-miir sunao,barhi udas hai rat nawa-e-dard mein ik zindgi to hoti hai nawa-e-dard sunao, barhi udas hai rat udasiyon ke jo humraz-ohumnafas the kabhi unhen n dil se bhulao, barhi udas hai rat jo ho sake to idhar ki raah bhool parho sanamqade ki hawao, barhi udas hai rat kahen n tumse to fir aor kisase kahen siyah zulf ke saayo, barhi udas hai rat abhi to zikr-e-sahar dosto hai door ki bat abhi to dekhte jao, barhi udas hai rat diye raho youn hi kuchh der hath men hath abhi n pas se jao, barhi udas hai rat samet lo ki barhe kam ki hai

daulat-e-ghum ise youn hi n ganwao, barhi udas hai rat isi khandahar men kahin kuchh diye hain toote hue inhi se kam chalao, barhi udas hai rat do-aatasha n banaa de oose nawa-e-firaq ye saze-ghum n sunao, barhi udas hai rat

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Thu Feb 09, 2006 10:53 pm


Balvinder Sahib.........shukria! Firaq marhoom ko yehan introduce kerwane ke liye!

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

Leejiye is silsile ko aage badhane ke liye unki aik aur ghazal: ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n

din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat jaao na tum in Khusk aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam mauj-esabaa ke ishaaro.n par Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N jab fitne par tole hai.n in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-eqabaa jab khole hai.n

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"Firaq" ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Fri Feb 10, 2006 9:58 am

shukriya zafar sahab firaq sahab ki ek aor ghazal aap ki nazrr....... ishq ki jab khataa huee mujhase zindagi toot kar mili mujhase nigahe-naaz teri kuchh e dost kah rahi thi abhi-abhi mujhase laakh batain thin kahane karne ki n huee ek baat bhi mujhase aour to aashqi men kya milta apni hasti bhi chhin gayi mujhase kar nazar ki isi tarah takmil kabhi aouron se mil kabhi mujhase n milega tujhe koi mujha-sa hain kahan aaj aadmi mujhase jisko khoone-jigar se paalaa tha chhin gayi kyon vo zindgi

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indore (india)

mujhase raat-din maut ki duaaen hain nibh chuki rasme-dosti mujhase main khud apna hi dost kab hun 'firaq' kya kare koi dosti mujhase

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Fri Feb 10, 2006 6:09 pm

Beautiful..........Leejiye ab aik aur suniye hum se: jab nazar aap kii ho ga_ii hai zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai baarahaa bar-Khilaaf-e-harummiid dostii dushmanii ho ga_ii hai hai vo takamiil purakaariyo.n kii

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

jo merii saadagii ho ga_ii hai terii har pursish-omeharbaanii ab merii bekasii ho ga_ii hai bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Sat Feb 11, 2006 2:33 pm

mazahab vaalon ko ye hasrat kab duniya se koofrr mitega main to bas itna soch rahahoon kab insaan insaan banega yaro naahum gundhe hue hain kaaynat ke bikhare tukade ek phool ki zunbish doge to ik tara kaanp uthega soch rahaa hoon teri yadain kab tak dil ko malaa karengi

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indore (india)

wah bhi din aane wala hai jab yah sab bhool chukega duniya apni musibat men hai ya fir hai wo apni khushi men hum jaison ki ram-kahaani kon sunega kon sunega aane wali naslon ko kuchh naghme dekar uth jaoonga baar-baar gaayenge jee na bharegaa jee na bharegaa khushiaan tum to manaate hoge badli huee duniya men yaaro leki tumko 'firaq-e-hazin' bhi yad aayegaa yaad aayegaa

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sat Feb 11, 2006 6:58 pm

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n merii nazare.n bhii aise

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263

Location: Canada

qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n Khud apanaa faisalaa bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n jise suurat bataate hai.n pataa detii hai siirat kaa ibaarat dekh kar jis tarahaa maanii jaan lete hai.n tujhe ghaaTaa na hone de.nge kaarobaar-e-ulfat me.n ham apane sar teraa ai dost har ehasaan lete hai.n hamaarii har nazar tujhase nayii sauga.ndh khaatii hai to terii har nazar se ham nayaa paiGaam lete hai.n 'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n

ROYALMAN Super Member

Post subject: Posted: Sat Feb 11, 2006 7:37 pm

:D :D :D

Joined: Sat Nov 26, 2005 4:41 pm Posts: 1782

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Sun Feb 12, 2006 1:53 am

sar me.n saudaa bhii nahiinn dil mai tamannaa bhii nahiin lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhii nahiin yuun to hangaame uthaate nahii.n diivaanaa-e-ishq magar ai dost kuchh aison kaa thikaanaa bhii nahii.n muddate.n guzarii.n terii yaad bhii aaii na hame.n aur ham bhuul gae ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n ye bhii sach hai ke mohabbat me.n nahii.n mai.n

majabuur ye bhii sach hai ke teraa husn kuchh aisaa bhii nahii.n dil kii gi.ntii na yagano.n me.n na begaano.n me.n lekin is jalvaagaah-e-naaz se uthataa bhii nahii.n badagumaa.N ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii.n

shikvaa-e-jaur kare kyaa koii us shoKh se jo saaf qaayal bhii nahii.n saaf mukartaa bhii nahii.n meharbaanii ko mohabbat nahii.n kahate ai dost aah mujhase to merii ra.njish-e-bejaa.N bhii nahii.n baat ye hai ki sukuun-e-dil-evahashii kaa maqaam ku.nj-e-zi.ndaa.N bhii nahii.n vusa'at-e-seharaa bhi nahii.n

muu.Nh se ham apane buraa to nahii.n kahate, ke 'Firaq' hai teraa dost magar aadamii achchhaa bhii nahii.n

_________________ Dilruba

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Sun Feb 12, 2006 3:05 pm

bahoot khub dilruba g lijiye ek aour ghazal firaaq sahab ki...... duaa sab karte aaye hain duaa se kuchh huaa bhi ho dukhi duniya men bande unginat, koi khuda bhi ho yahee hai husn ki khoobee yahee hai shaan-e-mahboobee z-sar-taa-paa taghaaful ho koee jaane-wafaa bhi ho kahaan vah khalwten din-raat kee aour ab yah aalam hai ki jab milte hain dil kahataa hai koee teesraa bhi ho to fir kyaa ishq duniya men kaheen ka bhi n rah jaaye

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indore (india)

zamaane s e larhaaee mol lee tujhse buraa bhi ho muhabbat ki nazar chashmocharagh-e- bazm-hastee hai jab itanee soorten hain koee soorat-aashnaa bhi ho 'firaaq' insaan se kyaa faisalaa ho kufrro-eemaan kaa yah hairat-khez-duniya jab khudaa bhi maasivaa bhi ho

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Sun Feb 12, 2006 7:26 pm

shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo ye sukuut-e-yaas ye dil kii

rago.n kaa TuuTanaa Khaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.b karo kuchh qafas kii tiiliyo.n se chhan rahaa hai nuur saa kuchh fazaa kuchh hasarat-eparavaaz ki baate.n karo jis kii furqat ne palaT dii ishq kii kaayaa "Firaq" aaj usii isaa-nafas dam-saaz kii baate.n karo

_________________ Dilruba

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Tue Feb 14, 2006 5:10 am

hokar ayaan vo khud ko chhupaye hue se hain ahale-nazar ye *** bhi khaaye hue se hain vo toor ho ki hashrr-e-dil afsurdgaan-e-ishq

Joined: Sun Jan 29,

2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indore (india)

har anjuman men aag lagaaye hue se hain subahe-azal ko youn hi zaraa mil gayee thi aankh vo aaj tak nigaah churaye- hue se hain hum badghumaan-e-ishq teri bazme-naaz se jaakar bhi tere saamane aaye hue se hain ye kurb-o-bod bhi hain saraasar farebe-husn vo aake bhi 'firaaq' n aaye hue se hain (kurb-o-bod=paas aor door)

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Wed Feb 15, 2006 1:34 am


sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut

a.Ndheraa hai ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-ea.njum naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-ehayaat qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii 'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai

_________________ Dilruba

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Fri Feb 17, 2006 12:31 am

raat bhi neend bhi kahaanee bhi haaye kyaa cheez hai javaanee bhi

dil ko apne bhi gham the duniya men kuchh balaayen theen aasamaanee bhi
Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

khalk kyaa-kyaa mujhe nahin kahatee kuchh sunoo main teree zabaanee bhi apnee masoomiyon ke parde men ho gayee vo nazar siyaanee bhi dil men ik hook bhi uthee e dost yaad aayee teree javaanee bhi paas rahanaa kisee ka raat ki raat mehmaanee bhi mezabaanee bhi zindagee en deed-e-yaar 'firaaq' zindagee hijr ki kahaanee bhi

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Fri Feb 17, 2006 8:45 pm

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the ham us nigaah-e-aashanaa ko kyaa samajh baiThe the ham raftaa raftaa Gair apanii hii nazar me.n ho gaye vaah rii Gaflat tujhe apanaa samajh baiThe the ham hosh kii taufiiq bhii kab ahale-dil ko ho sakii ishq me.n apane ko diivaanaa samajh baiThe the ham beniyaazii ko terii paayaa saraasar soz-o-dard tujh ko ik duniyaa se begaanaa samajh baiThe the ham bhuul baiThii vo nigaah-enaaz ahad-e-dostii us ko bhii apanii tabiiyat kaa samajh baiThe the ham husn ko ik husn kii samajhe nahii.n aur ai 'Firaq' mehar_baa.N naamehar_baa.N kyaa kyaa samajh baiThe the ham

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Sun Feb 19, 2006 11:28 am

ummeed-e-marg kab tak, zindagee kaa dard-e-sar kab tak? ye maanaa sabr karate hain muhabbat men,magar kab tak! diyaarr-e-dost had hotee hai youn bhee dil bahalne kee! na yaad aayen ghareebon ko tere deevar-o-dar kab tak? ye tadbeeren bhee taqdeer-emuhabbat ban naheen sakteen| kisee ko hijr men bhoole rahenge ham magar kab tak? inaayat kee, karam kee,lutf kee aakhir koee had hai! koee kartaa rahegaa chaaraa-ezakhm-e-jigar kab tak? kisee kaa husn ruswaa ho gayaa parde hee parde men| na laaye rang aakhirkaar taaseer-enazar kab tak?

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Sun Feb 19, 2006 5:27 pm

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n Khud apanaa faisalaa bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n jise suurat bataate hai.n pataa detii hai siirat kaa ibaarat dekh kar jis tarahaa

maanii jaan lete hai.n tujhe ghaaTaa na hone de.nge kaarobaar-e-ulfat me.n ham apane sar teraa ai dost har ehasaan lete hai.n hamaarii har nazar tujhase nayii sauga.ndh khaatii hai to terii har nazar se ham nayaa paiGaam lete hai.n 'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n

_________________ Dilruba

nikss

Post subject: Posted: Sun Feb 19, 2006 5:40 pm

nice Dilruba keep it Kabhi Pholoon Main, Kabhi Kaliyon Main Tujh Ko Hi Dhontey Rehna Acha Lagta Hai Meri Zindagi Ki Khushiyan

Tumhee Sey Hain Wabasta Rab Sey Sirf Tumhein Hi Maangna Acha Lagta Hai Hamare Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hai Tumhre Baghir Zindagi Ka Koi Tassavur Nahi Hai Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hai AnMoL Cheen LonGa Tumhein Duniya Ki Rasmon Sey Aey RaHiM, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hai

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Tue Feb 21, 2006 4:57 pm

janaab nikss ji ham aap ki sharing ke liye aap kaa shukriyaa adaa kartain hain lekin ek gujaarish hai ke pahale aap thred dekh liyaa

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

keejiye. ye thred firaaq saahab ke naam hai yahaan aap firaaq saahab kaa hee kalaam post kareinge to navaazish ho gee lijiye ek ghazal firaaq saahab kee aap kee nazrr......... mujhko maaraa hai har ik dard-odavaa se pahale dee sazaa ishq ne har jurm-0khataa se pahale aatish-e-ishq bharhakaatee hai havaa se pahale honth jalte hain muhbbat mein duaa se pahale kitane barpaa hue har gunchaa-esarbastaa se khul gayaa raaz-e-chaman qabaa se pahale chaal hai baadaa-e-hastee kaa chhalktaa huaa jaam ham kahaan the tere naqsh-e-kaf-epaa se pahale ab kamee kyaa hai,tere be-sarosaamanon ko kuchh na thaa teree qasam tark-ofanaa se pahale ishq bebaak ko daave the bahut khilvat mein kho diyaa saaraa bharam sharm-o-

hayaa se pahale maut ke naam se darte the ham, e shuq-e-hayaat toone to maar he daalaa thaa qazaa se pahale be-taqlluf bhee teraa husn khudaaraa thaa kabhee ik adaa aour bhee thee husn-e-adaa se pahale ham unhen paa ke firaaq aour bhee kuchh kho gaye ye taklluf to na thaa ahd-o-vafaa se pahale

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Tue Feb 21, 2006 7:07 pm

Sham-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz ki baten karein Bekhudi badhti chali hai raaz

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

ki batein karein Yeh sukoot-e-naaz yeh dil ki ragon ka tootna Khamshi mai kuchh shakistesaaz ki batein karein Nikhate zulfe pareshan daastane shame gham Subha hone tak isi andaz ki baten karein Har rage dil wajd mai aati rahe dukhti rahe Yun hi ja-o-beja naaz ki batein karein Jo adam ki jaan hai jo hai payame zindgi Us sukoote raaz us awaz ki baten karein Ishq ruswa ho chala bekaif sa bezaar sa Aaj uski nargise ghammaz ki batein karein Jiski furqat ne palat dee ishq ki kaaya Firaq Aaj us Eisa nafas dam saaz ki batein karein

nikss

Post subject: Posted: Wed Feb 22, 2006 2:18 pm

Meri Zindagi Hai Wo...!!! Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi Jaisy woh ajnabi larki Mujh sey pyar karti hai Mujhey chahti hai Akser yunhi chup chup ker Dekhti hai, janey kiya sooch ker Nazrein chura jati hai Kuch ghabra si jati hai Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai Mehsoos mujhey yeh hota hai k Shayad mujhey woh bohat chahti hai Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay Woh mujh sey kuch kehna chahti hai Meray pochnay per kuch sharma si jati hai Kuch ghabra si jati hai

"Suniyey" keh kar bhaag jati hai Ajnabi larki shayad pyaar karti hai MIR sey Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey Dil bhi kitna pagal hai Kiya kiya sochta rehta hai Kuch masoom sey jazbey hain Kuch undekhey sapney hain Mager woh nahin janti MIR...!!! Meri Zindagi Hai Wo

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sat Feb 25, 2006 2:59 am

Pesh hai Firaq Sahab ka yeh kalaam ab: Moti ho k sheesha, jaam k dur Jo toot gaya, so toot gaya Kab aashkoon se jur sakta hai Jo toot gaya so *** gaya Tum naHaq tukray chun chun kar Daman main chupae bhaite

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

ho Sheeshoon ka maseeha koi nahi kya aas lagaye bhaite ho! Phir dunia waloon ne tumse Yeh sagar le kar phor dia Jo maay thi baha di mati main Mehmaan ka shepar tor dia Is maal ki dhun main phirte the Tajir bhi buhat, rehzan bhi kaye Hai chorNagar yaan muflis ki Gar jaan bachi to aan gaye Yeh saagar, sheeshe, lal - o gehar Saalim hoon to qeemat paate hain Yoon tukre tukre hoon to fakat Chubte hain, laho lohaate hain Yaadon k girebano k rafu Par dil ki guzar kab hoti hai Ik bakhiya udhera, ik siya yoon umer basar kab hoti hai Is kar-e-geh hasti main jahan Yeh sagar, sheeshe dahlte hain

Har shay ka badl mil sakta hai Sab daman pur ho sakte hain Jo hath bahre, yawar hai yahan Jo aankh uthe, woo bakhtawar Yaan dhan dolat ka annt nahi hon gaht main daako lakh magar Kab loot jahpat se hasti ki Dokaane kahli hoti hain Yaan parbat parbat heere hain yaan sagar sagar moti hain Kuch log hain jo is dolat par parde latkaye phirte hain har parbat ko, har sagar ko Nilaam charhate phirte hain Kuch woo bhi hain jo lar bhir kar Yeh parde noch girate hain hasti k Uthaie gayhroon ki Har chal uljahe jaate hain!!

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11,

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:03 pm

ye to nahii.n ke Gam nahii.n haa.N merii aa.Nkh nam

2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

nahii.n tum bhii to tum nahii.n ho aaj ham bhii to aaj ham nahii.n ab na Khushii kii hai Khushii Gam kaa bhii ab to Gam nahii.n maut agarche maut hai maut se ziist kam nahii.n

_________________ Dilruba

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:09 pm


jab nazar aap kii ho ga_ii hai zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai baarahaa bar-Khilaaf-e-har-ummiid

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

dostii dushmanii ho ga_ii hai hai vo takamiil purakaariyo.n kii jo merii saadagii ho ga_ii hai terii har pursish-o-meharbaanii ab merii bekasii ho ga_ii hai bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai

bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:29 pm

sitaaro.n se ulajhataa jaa rahaa huu.N shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa huu.N tere Gam ko bhii kuchh bahalaa rahaa huu.N jahaa.N ko bhii samajhaa rahaa huu.N yaqii.n ye hai haqiiqat khul rahii hai gumaa.N ye hai ki dhokhe khaa rahaa huu.N

_________________ Dilruba

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:45 pm

sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm

Posts: 3263 Location: Canada

dayaar-e-Gam me.n dil-ebeqaraar chhuuT gayaa sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai [niim shabii=midnight; chaadar-e-a.njum=sheet of stars] shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai

thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii 'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai

dilruba new bie Joined: Sat Feb 11, 2006 9:48 pm Posts: 43 Location: Pakistan

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:52 pm

mujhako maaraa hai har ek dard-o-davaa se pahale dii sazaa ishq ne har jurm-oKhataa se pahale aatish-e-ishq bha.Dakatii hai havaa se pahale ho.NTh jalate hai.n muhabbat me.n duaa se pahale ab kamii kyaa hai tere be-saro-saamaano.n ko kuchh na thaa terii qasam, tark-o-fanaa se pahale ishq-e-bebaak ko daave the bahut Khalavat me.n kho diyaa saaraa bharam sharm-o-hayaa se pahale maut ke naam se Darate the ham, ai shauq-e-hayaat tuune to maar hii Daalaa thaa qazaa se pahale

ham u.nhe.n paake "Firaq" aur bhii kuchh khoye gaye ye takalluf to na the ahad-evafaa se pahale

_________________ Dilruba

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sun Feb 26, 2006 11:55 pm

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

kuchh ishaare the jinhe.n duniyaa samajh baiThe the ham us nigaah-e-aashanaa ko kyaa samajh baiThe the ham raftaa raftaa Gair apanii hii nazar me.n ho gaye vaah rii Gaflat tujhe apanaa samajh baiThe the ham hosh kii taufiiq bhii kab ahale-dil ko ho sakii ishq me.n apane ko diivaanaa samajh baiThe the ham beniyaazii ko terii paayaa saraasar soz-o-dard tujh ko ik duniyaa se begaanaa samajh baiThe the ham

bhuul baiThii vo nigaah-enaaz ahad-e-dostii us ko bhii apanii tabiiyat kaa samajh baiThe the ham husn ko ik husn kii samajhe nahii.n aur ai 'Firaq' mehar_baa.N naamehar_baa.N kyaa kyaa samajh baiThe the ham

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Mon Feb 27, 2006 3:21 pm

shukriya dilruba ji aour zafar bhai aapkaa bhi shukriya firaaq sahab ko yahaan jindaa rakhane ke liye lijiye ek ghazal hamaari zanib se bhi...... maut ek geet raat gaatee thee zindagee jhoom-jhoom jaatee thee rote jaate the tere hijr-e-naseeb raat furqat kee dhaltee jaatee thee tere unn aansoonon ko yaad aayee zindagee jinmein muskuraatee thee zikr thaa rang-o-boo kaa ao' dil

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

mein teree tasveer utartee jaatee thee dard-e-hastee chamak uthaa jismein vo ham ahle-vafaa kee chhaatee thee zindagee ko vafaa kee raahon mein maut khud raushanee dikhaatee thee saamane tere jaise koee baat yaad aa-aa ke bhool jaatee thee vo teraa gham ho yaa gham-eduniya shammay-see dil mein jhilmilaatee thee zindagee zindagee ko waqte-safar kaaravaan-kaaravaan chhupaatee thee

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Wed Mar 01, 2006 3:40 am

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

ab aksar chup-chup se rahe hain yoon hi kabhoo lab khole hain pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hain din main ham ko dekhane vaalon apani apani hai auqaat jaao na tum in khusk aankhon par ham raaton ko roo ley hain fitarat meri ishq-o-muhabbat qismat meri tanhai kahane ki naubat hi na aye ham bhi kasoo ke ho ley hain baagh main vo Khawab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaron par dalii daalii nauras patte sahas sahaj jab dole hain uf vo labon par mauj-etabassum jaise karavaten len kaunden haay vo aalam jumbish-emizagaan jab fitne par tole hain

in raaton ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadim khalvat main vo narm ungaliyaan band-e-qabaa jab khole hain Gam kaa fasana sunane vaalo aakhir-e-shab aaraam karo kal ye kahanii phir cherenge ham bhi zaraa ab so le hain ham log ab to paraaye se hain kuch to bataao haal-e-"Firaq" ab to tumhin ko pyaar kare hain ab to tumhin se bole hain

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Thu Mar 02, 2006 10:01 am

arey khwaab-e muhabbat kee bhee kyaa taabeer hotee hai khulein aankhein to duniyaa dard kee tasveer hotee hai ummeedein toot jaayein aour fir jeetaa rahe koee na poochh ai dost ! kyaa footee huee taqdeer haotee hai saraapaa dard hokar jo rahaa jeetaa zamaane mein usee kee khaak yaaro ghairate-

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

aqseer haotee hai jalaa jis waqt parvaanaa,nigaahein fer lee.n mujhase bharee mahafil mein dar pardaa meree taa'zeer hotee hai azal aaee badnaame-muhabbat ho ke jaataa hoon vafaa se haath uthaataa hoon barhee taqseer hotee hai kisee kee zindagee ai dost jo dharhkon mein gujaree thee usee kee jhilmilaatee shamm'ay ik tasveer hotee hai 'firaaq'ik shamm'ay sar dhultee hai pichhalee shab jo baaleen par meree jaatee huee duniyaa kee ik tasveer hotee hai

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M.

Post subject:

Posted: Thu Mar 02, 2006 5:45 pm EverGreen Member

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

kabhii paabandiyo.n se chhuuT ke bhii dam ghuTane lagataa hai dar-o-diivaar ho jin me.n vahii zi.ndaa.N nahii.n hotaa hamaaraa ye tajurbaa ki Khush honaa muhabbat me.n kabhii mushkil nahii.n hotaa, kabhii aasaa.N nahii.n hotaa bajaa hai zabt bhii lekin muhabbat me.n kabhii ro le dabaane ke liye har dard o naadaa.N nahii.n hotaa yaqii.n laaye.N to kyaa laaye.N jo shak laaye.N to kyaa laaye.N ki baato.n se trii sach-jhuuTh kaa imkaa.N nahii.n hotaa

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Sat Mar 04, 2006 3:07 pm

jaane kyaa baat hai kiss cheez kee yaad aatee hai shaam ko roz tabiyat meree ghabraatee hai saaf sun lo mere asha'aar ki zer-obam mein

Joined: Sun

Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

dil-e-getee ke dharhakane kee sadaa aatee hai iss hayaa kaa teree ai jaan-e-hayaat kyaa kahanaa ki teree yaad bhee aate hue sharmaatee hai ho bhalaa bekhudee-e-gham kaa ki ab to mujhko muddhaton baad kaheen meree khabar aatee hai kuchh na kuchh waqt bhee kat jaataa hai ro lene se aour yakgunaa tabeeyat bhee sanbhal jaatee hai subah aainaa dikhaatee hai fajaa ko jis waqt saaf isme teree tasveer nazar aatee hai ishq mein kaun thee vo baat mujhe yaad nahin zindagee aaj jise soch ke pachhataatee hai himmat ai ahal-e-watan yaad rahe qaumon kee dekhate-dekhate taqdeer palat jaatee hai zindagee ishq kee kyaa poochhate ho kyaa hai'firaaq'

maut hee maut harek simt nazar aatee hai

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Sat Mar 04, 2006 7:22 pm

na jaane ashk se aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hue guzar gayaa zamaanaa tujhe bhulaaye hue jo manzile.n hai.n to bas raharavaan-e-ishq kii hai.n vo saa.Ns ukha.Dii hu_ii paa.Nv Dag_magaaye hue na rah_zano.n se ruke raaste mohabbat ke vo kaafile nazar aaye luTe luTaaye hue ab is ke baad mujhe kuchh Khabar nahii.n un kii

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

Gam aashanaa hue apane hue paraaye hue ye iztiraab saa kyaa hai ki muddate.n guzarii tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue Poet: Firaq

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Mon Mar 06, 2006 4:28 pm

dekhte dekhte utar bhi gaye un ke teer apna kaam kar bhi gaye husn per bhi kuch aa gaye ilzaam go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

yun bhi kuch ishq nek naam na tha loag badnaam usko kar bhi gaye kuch pareeshaan se the bhi ahl-ejunoon gesoo-e-yaar kuch bikhar bhi gaye aaj unhein meherbaan sa paakar khush hue aur jee mein dar bhi gaye ishq mein roth kar do aalam se laakh aalam mile jidhar bhi gaye

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Wed Mar 08, 2006 9:25 pm

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

ras me.n Duuba huaa laharaataa badan kyaa kahanaa karavaTe.n letii hu_ii subahe-chaman kyaa kahanaa baaG-e-jannat me.n ghaTaa jaise baras ke khul jaaye so.ndhii so.ndhii terii Khushbuu-e-badan kyaa kahanaa jaise laharaaye ko_ii sholaa kamar kii ye lachak sar ba-sar aatish-e-sayyaal badan kyaa kahanaa qaamat-e-naaz lachakatii hu_ii ik qaus-o-e-qazaah zulf-e-shab ra.ng kaa

chhayaa huaa gahan kyaa kahanaa jis tarah jalvaa-e-firdaus havaao.n se chhiine pairaahan me.n tere rangiinii-e-tan kyaa kahanaa jalvaa-o-pardaa kaa ye ra.ng dam-e-nazzaaraa jis tarah adh-khule ghu.NghaT me.n dulhan kyaa kahanaa jagamagaahaT ye jabii.n kii hai ke pau phaTatii hai muskuraahaT hai terii subahe-chaman kyaa kahanaa zulf-e-shab_guu.N kii chamak paikar-e-siime.n kii damak diip maalaa hai sar-e-gang-ojaman kyaa kahanaa

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Fri Mar 10, 2006 6:18 pm

ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai Khilavat-kadaa-e-dil me.n aavaaz hu_ii hai kah de to zaraa sar tere daaman

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

me.n chhipaa luu.N aur yuu.N to muqaddar me.n mere be-vatanii hai vo ra.ng ho yaa buu ho ke baad-esaharii ho ai baaG-e-jahaa.N jo bhii yahaa.N hai safarii hai ye baarish-e-a.nvar ye ra.ngiini-eguftaar gul-baarii-o-gul-sairii-o-gulpairahanii hai ai zi.ndagii-e-ishq me.n samajhaa nahii.n tujh ko jannat bhii jahannum bhii ye kyaa buulajabii hai hai nutq jise chuumane ke vaaste betaab sau baat kii ik baat terii be-sakhunii hai mauje.n hai.n mai-e-surKh kii yaa khaTT-e-dahan hai.n lab hai ki ko_ii sholaa-e-barq-eambii hai jaage hai.n "Firaq" aaj Gam-ehijaraa.N me.n taa-subah aahistaa se aa jaao abhii aa.Nkh lagii hai

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Sun Mar 12, 2006 5:33 pm

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

yuk lakht badalti hui aalum ka samaan chal ik aag lagaayee huee larzaan va tapan chal jaati hui dunia-e-chaman ki nigraan chal aati hui rangeeniyon sey jalwaa fishaan chal ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaaN, baad-e-kHhzaan chal ai baad-e-khizaan chal goonche ko chaman mein jo chatakna ho chatak ley jiss rang ko gulshan mein chamakna ho chamak ley gar husn-e-gulistan ko damakna ho to damak ley kuchh din kamar-e-baad-e-bahaari lachak ley

ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaaN, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal badmastiyon ka daur guzar jaaye, guzar jaaye barg-o-gul va sabzaa ka charhaa nasha utar jaaye yeh bazm-e-chaman soo-e-adam khaaq basar jaaye sheeraazaa-e-gulzaar bikhar jaaye, bikhar jaaye ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal phoolon ke chiraghaan ko bujha dey to bujha dey aatey hi gulistaan mein ik andher machaa dey har phool ko ik nikahate-e-barbaad bana dey gulzaar ka gulzaar lutaa dey to lutaa dey ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-kHizaaN chal arbaab-e-chaman ko kafan-e-khaaq urhaatee baaleedgi har zarrey mein aatee hai chhupaatee

too marg-e-nibataat hai to rooh-enibaatee ya jaan-e-namo mauj-e-fanaa ban ke hai aatee ai baad-e-khizaan, baad-e-khizaan, baad-e-khizaan chal ai baad-e-khizaan chal

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Zafar M. EverGreen Member

Post subject: Posted: Tue Mar 14, 2006 1:23 am

Joined: Sat Jan 28, 2006 11:49 pm Posts: 3263 Location: Canada

ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat jaao na tum in Khusk

aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n uf vo labo.n par mauj-etabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n haay vo aalam jumbish-emizagaa.N jab fitne par tole hai.n in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hai.n Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e"Firaq" ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Fri Mar 24, 2006 3:30 pm

ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat yaad aa rahe hai.n ishq ke TuuTe ta'alluqaat maayuusiyo.n kii god me.n dam to.Dataa hai ishq ab bhii ko_ii banaa le to biga.Dii nahii.n hai baat ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar me.n aise bhii hai.n ke kaT na sakii jin se ek raat ham ahal-e-intazaar ke aahaT pe kaan the Tha.NDii havaa thii Gam thaa teraa Dhal chalii thii raat har saa_i-o-har amal me.n muhabbat kaa haath hai taamiir-e-zi.ndagii ke samajh kuchh

Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

muharakaat ahal-e-razaa me.n shaan-ebaGaavat bhii ho zaraa itanii bhii zi.ndagii na ho paaba.nde-rasmiyaat uTh ba.ndagii se maalik-e-taqadiir ban ke dekh kyaa vasvasaa azaab kaa kyaa kaavish-e-nijaat mujh ko to Gam ne fursat-e-Gam bhii na dii "Firaq" de fursat-e-hayaat na jaise Gam-ehayaat

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

balvinder Junior Addict Member

Post subject: Posted: Mon Mar 27, 2006 3:14 pm

thar-tharii sii hai aasamaano.n me.n zor kuchh to hai naatavaano.n

me.n [thar_tharii = tremors; naatavaa.N = weak]


Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 10401 Location: indo re (india)

kitanaa Khaamosh hai jahaa.N lekin ik sadaa aa rahii hai kaano.n me.n ko_ii soche to farq kitanaa hai husn aur ishq ke fasaano.n me.n [farq = difference] maut ke bhii u.De hai.n aksar hosh zindagii ke sharaab-Khaano.n me.n jin kii taamiir ishq karataa hai kaun rahataa hai un makaano.n me.n [taamiir = construction] inhii.n tinako.n me.n dekh ai bulbul bijaliyaa.N bhii hai.n aashiyaano.n me.n

_________________
mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke

Display posts from previous:

All posts

Sort by
Go

Post time

Ascending

Post Reply Page 1 of 2 [ 65 posts ]

Go to page 1, 2 Next

Board index Shairy Great Poets and their Poetry All times are UTC

Who is online
Users browsing this forum: No registered users and 3 guests

You cannot post new topics in this forum You cannot reply to topics in this forum You cannot edit your posts in this forum You cannot delete your posts in this forum You cannot post attachments in this forum Jump to:
Great Poets and their Poetry

Go

Powered by jungfisch crossmedia berwachungskamera | ip kamera | wlan kamera | Anime Manga Japan Home | Contact | Disclaimer | Imprint | Privacy

Вам также может понравиться