Вы находитесь на странице: 1из 2

Naam Ke Adad Nikalna

Naam Adad Ke Adad Nikalna in English


Numbers played a vital role in this universe. Alhamdulillah. They have their own world.
Every letter has its own number in Islam. They have their own effects. We can name a child on
this basis. Obligatory prayers are five in numbers in, in ablution you have to repeat every action
three times and more than three times it becomes detestable. Generally, most of the muslims
know this fact that the total of Bismillah hirRahman nirRaheem is 786. To check you can
calculate from the below chart.
How to calculate the numbers of any name in Islam?

alimranraza
Lets calculate the number of this name1. Firstly we have to check the letters in this name;
2. Alif, Laam, Aiyn, Meem, Rae, Alif, Noon, Rae, Dwaad and Alif;
3. Now check the numbers of individual letters;
4. Alif=1, Laam=30, Aiyn=70, Meem=40, Rae=200, Alif=1, Noon=50,
Rae=200,Dwaad=800, and Alif=1. Total of all alimranraza is 1393
5. So in this way you can calculate the total numbers of your name also.

Benefits of Name Number Calculation

This can be used while you recite any particular wazifa.

For example- If in any particular wazifa, you have been directed that you have to recite the surah
as per your names number. In such cases you have to calculate the total of your names number.

If you have to pay a Zakat before performing any wazifa. You can the total
numbers according to your name and make a grand total and pay that amount as Zakat.

Another form of Zakat is to offer any food to animal to eat. You have to make a balls of
flour and then let the fishes in the pond or river eat them.

Naam Adad Ke Adad Nikalna in Roman English


Adad ki bahot bhi khas jagah hai hamari Islam Inka bhi apni ek alag hi jahan hai. har ek huroof
ka ek alag adad. Inke apne asraat hote hai. Hum hamari aulad ke naam bhi inki madad se rakh
sakte hai Alhamdulillah. Adad jese ke panj waqta namaz mein 5 adad, wudu mein har ek kam

jese hath dhona sab 3 martaba aur agar 3 martaba se zyadah ho jaye to makrooh ho jata hai. Aur
na jane kitne aur kayi masle masaail hai jinme baghair adad ke kuch hasil nahi ho pata. Jab hum
Bismillah hirRahman nirRaheem ke tamam adad ko jode to ata hai 786 jiska ki islam mein
waqayi bahot maqaam hai.
Ap bhi isi tarah se apne naam ke adad nikal sakte hai. Niche diya hua naqsh dekhiye.
Naam Ke Adad Kese Nikalna Hai?
Jese ke naam hai:

alimranraza
Chaliye hum isi naam ke adad ka hisaab lagaye:
1. Sabse pahle hum iske ek-ek huroof nikale;
2. Uske baad hum iske huroof ke alhaida-alhaida adad nikale;
3. Jese ke Alif, Laam, Aiyn, Meem, Rae, Alif, Noon, Rae, Dwaad and Alif;
4. Fir hum inke adad nikale;
5. Alif=1, Laam=30, Aiyn=70, Meem=40, Rae=200, Alif=1, Noon=50,
Rae=200,Dwaad=800, and Alif=1. Kul milakar sab hurooof ke adad hai 1393
6. Isi tarah se apko apne nam ke huroof nikalne hai, uske in huroof ke ek -ek adad nikalne
hai aur fir akhir mein in sabko ek-ek karke jodne hai;
Fawaid Ilm-ul-Adad ke Fawaid:

Adad se hum kya kya fawaid hasil kar sakte hai jo bahot hi aam fawaid hai wo pesh kiye
deta hu insha ALLAH.

Ek Misaal ke Taur par- Agar apko koi surat ya koi bhi dua kisi wazifa mein apne adad ke hisaab
se parhni hai to ap adad apne naam ke nikal sakte hai aur uti martaba parh sakte hai Insha
ALLAH.

Agar kisi wazifa mein apko ye hidayat di gayi hai ke iske karne ke pahle apne nam ke
adad ke hisaab se sadaqah ya zakaat de.

Ek dusri qism ki Zakaat hai jisme ap adad nikal kar janwaro ya fir dariya ki machchliyon
ko aate ki goliya khilate hai. Is tarah ke wazifa mein ap adad nikal kar utni goliya aate ki
banakar janwaro ko khila sakte hai.

Ummed karta hu ke apko isse fawaid hasil honge. Ek behen ki darkhwast par ye publish kiya hai.
Ap tamam logo se dili darkhwast hai ke meherbani karke Facebook, Twitter, Google+, Pinterest
aur baki tamam social networking sites par yaALLAH Dua Wazaif ko like, share and comments
kijiye aur sawaab-e-jariya hasil kijiye. Isse hume dusre aur zyadah logo tak pahuchne mein
madad milegi insha ALLAH.
Jaza kALLAHU khair Wa Ahsanal Jaza

Вам также может понравиться