Вы находитесь на странице: 1из 10

Safety For PC Hacking

NAJAM UL HASANSUNDAY, DECEMBER 6, 2015

Assalam u Alaikum, Aj me Apko ye Batane ki Koshish Karonga


1.

PC ko Hack Hone se Kese Bachaen.

2.

Kese Pata karen k PC Hack Hogya ha.

3.

PC hack Hone k baad Kia karen.

4.

Kuch Eham Baaten.

1. PC ko Hack Hone se Kese Bachaen :PC yani Computer Hack Hona ID ya Internet Hack Hone se Bohat Mukhtalif ha,
ID Hack Hoto Sirf Apka us ID ya us ID se Munsalik kisi or Cheez ka Nuqsan hota
ha, Per Agar Apka Computer Hack Hojae to Apki Poori Internet Life or Computer
ka Sara Data Khatre me Parh Sakta ha.
PC hack ka ap mre Pichle Note me Parh Chuke honge k RATs ( Remote Access
Trojan or Remote Administration Tool) ,

Keyloggers, or is Trah k Or Softwares use

Hote han. Hacker in Softwares ki madad se Files Banata ha or phr Apne Victim
ko Deta ha or Jab Victim us File ko Apne Computer pe Run karne ki Koshish
karta ha to Apna PC Hack karwa Bethta ha. In Softwares se Banai Gain Files
Ziada Tar .exe k Extension ki hoti han, per Ache Hackers .jpeg or .doc me b ye
File Bana k use karte han jinse Man in The Middle Attack Kia Jaskta ha. Files ka
ab Apko Andaza Hogya hoga Thora Bohat, Hacking se Bachne k lie kisi
Unverified Source yani kisi Anjan Jaga se Cheezen Download karne se Gurez
karen, agr karni hi ha to Online usko Scan karlen jis k lie ap VirusTotal use kar
skte han ye 55 Antiviruses se apki Files ko Scan karega or Apko Btadega k Kia

Mamla ha File ka.(Note: Kuch Files ko Bht se Antivirus Virus Mante han Jab k wo Virus
ni Hote, Jese Software Crackers, TeamViewer,Ammy etc to islie is baat ko Dhyan me
Rakhte hue Files ko Scan karen) Files

ki Size ko b Dhayan me Rakha karen, Mostly

esi Files Kbs me hoti han, to agr koi esy freebalance.exe etc de to zaroor Scan
karlen, Agar Ap k Paas Antivirus bhi ha to bhi VirusTotal ye esi kisi Site se Check
karlen, q k Hackers in Files ko Undedectable b bana Skte han Jisse Shaed Apka
Antivirus na Pakar Ske, per 55 me se koi na koi Zaroor Pakarlega.

ScreenShot of VirusTotal

2. Kese Pata Karen k PC Hack Hogya :Ziada tar logo ko Hacking k baare me or Hacking se Safety k baare me Nahi Pata,
Bus Antivirus Daal k Sukoon se Beth Jate han, Per Antivirus k Hote we Bhi Apka
PC Hack Hoskta ha or Hoskta ha Abhi b Hack PC pe Ap is Note ko Parh Rahe Ho.
Me Ye Recommend karta hun k Antivirus ya Jitni Bhi Safety Rakhi Ho Apne mre
Neeche Batae Gae Steps Week me ek baar Zaroor Follow Karlia
Karen, isse Apko pta Lag jaega k Ap ka PC kahi Hack to Nahi Hogya, ya Ap k
Bhai ne, Ap k BoyFriend ne Ap k PC pe kuch Download kar lia ho Jisme Virus Ho,
ya Apne hi Parh k ya kisi k Kehne pe k ye Antivirus isko VIrus Show karega usko
Stop kar k Chalana ye Software Kuch Chaladia ho.

Sbse Pehle TaskManager ko Har Roz ya Hafte me ek Baar Zaroor Chanti


Kia Karen, Jo Jo Applications Run Horai han wo Run mene Ki bhi han ya Khud
Ba Khud Hogain. Ziada Tar Virus Administrator Account ya Jo Account Ap Use
kar rae hon usse Run Horae Hote han.Kuch Apko lagega k Files Microsoft k name
Jesi han Jese Svchost Explorer etc lekin ye Administrator k Account se Run Horai
hongi or Aksar ye CAPITAL WORDS me hongi. agar koi File Apko lagta
haVirus ha or Apne Run Nahi Ki to Uspe Right Click kar Open File Location pe
Click karen or Uski Jaga Dekhn wo Kaha pe ha or Agr 2 Files ek Jese Name ki han
to Real File ki Location Janne k lie Google me Search karen or Apne Virus ki File
ki Location se Match karen Apko pta Lag Jaega Virus ha k System File hi ha is k
ilawa System File ko Agr Ap Delete karenge to wo TrustedInstaller name k User
ki Permission Mangega Jab k Virus File Delete karne pe ya To PC Restart kardega,
ya phr Administrator ya SYSTEM ki Pemission mangega. isse Apko pta Lagjaega k
Virus ha k nahi.

Dusra Tareeka or ye Tab Bohat Karamad Ata ha jab Apne koi File Kholni
ho or Apko 50 50 lagta ho k isme Hacker ne Virus dala ha, us k lie Ap TCPView
Download karen, ye Software Microsoft ka ha or ye Ap k PC se Ane or Jane wale
Tamam Internet Connections k baare me Btata ha, koi b File Kholne se Pehle

TCPView ko Chaladen phr File Run karen, agr to isme Connection Show karta
ha to mtlb k Virus ha or Agr Show ni krta mtlb Clean ha. iska ek Faida ye Bhi ha k
Ap Agar koi Bari Hasti han jinki Complain pe koi Sunne wala ha to Ap isse
Connection se Milne wali IP ki Complain b kar Skte han, or FIA Prevention
ofElectronic Crimes Act k Aane k baad us IP k User k Khilaaf Action leskti ha or
Jail or Fine b kar Skti ha.

TCPView Screenshot

3. PC hack Hone k baad Kia karen :

Apne Pehle Precautions nahi Lie or Baad me Apko Pta chala k apka PC
Hack hogya ha, ya Suddenly apki Screen pe koi MSG likhdeta ha, to PANIC hone
ki koi Zaroorat nahi ha, jo Hona tha wo Hogya, ab apne sabse pehle apna Net
Disconnect karna ha, PC band karne ka Faida nahi Aksar Log Bokhlahat pe PC ki
wire Nikal Dete han esa karne ki zaroorat nahi, sabse Pehle Apne Net ki Wire
Nikalen ya Net Disconnect karden.

Net Disconnect karne k baad Apne ye Dekhna ha Konsi File ha Jis ki waja
se Ap Hack Hue han yani is Note ka Step 2 karna ha, File Apko Mil gai Delete
hogi nahi, Ap Ziada tar log New Windows karne ko Tarjeeh dete han, lekin sb k
paas itna Time nahi hota ya phr Important Data Rakha Hota ha PC me Jo Khona
Nahi Chahte, to is k lie ek Cheez istemal ki Jaati ha Jisey Rescue Disk kehte
han, Rescue Disk Disk ki Shakal me CD DVD ki Shakal me b ati ha or ISO yani
Image File ki Shakal me b ati ha jo k phr kisi Data Storage Device me daal k
Bootable Bana k use ki jaskti ha.

Rescue Disk Bohat sari han Market me b Available hoti han Online b
Purchase ki Jaskti han or agr Ap Free Fund wale han to Torrent se ISO b
Download ki Jaskti ha.

agar to Apne CD khareedi ha Shop se ya Online CD Purchase ki ha tab to


ise Skip karden, agr ISO yani Rescue Disk ki Image File Download ki ha to isko
aage Parhen. ISO ek hi File hogi Jo resuce_disk.iso kar k hogi, q k hamari
HardDisk me Virus ha islie wo usi HardDisk se Boot karte we Delete ni hoskta, to
us k lie Apko koi USB, koi External Drive ya Memory Card ( Card Reader k Through
)

me ye ISO dalni hogi, us k baad kisi b Software ya Manually us Device ko

Bootable Banana Hoga, Bootable Banane k lie Asan or mra Azmaya hua Tareeka
UltraISO ha isme Ap rescue_disk.iso ko Kholen, phr Upper Bootable pe Click
karen > Write Disk Image or phr Apni Device ( Memory Card ya USB ya External
Drive) ko Select kar k Write pe Click karden, Device Apki Pehle ye Format karega
Jisse Sara Data Remove Hojaega islie is Device me Data Mat rakhen, us k baad
jab ye Setup Complete Hojae to us Device ko Nikal len, or ye sab Kaam Apne
Hack Hone se Pehle yani Abi kar k Rakhlena ha Taa k Ainda kabi Hack hon to
Direct Bootable Device lagaen or Kaam karlen.

Open ISO File With UltraISO then Click on Bootable>Write Disk Image

Choose Your Device And Click or Write

ab Bootable CD ya phr Apni Khud ki Create ki hui Device ap k paas Hogi,


ab jab b Apka PC hack hua Apne File Dekhni ha konsi ha jisse Hack hue han,
Task Manager ka Setup Dekhna ha, phr PC ko ShutDown karna ha, phr ye CD ya
Bootable Device PC me Plugin karni ha, phr PC On karna ha or Jese hi PC ka
name Ata ha Dell ya Intel wagera us me sbse Neeche Keys Likhi hoti han or us k
aage un k Functions Likhe hote han, usme se Boot Menu ki Key Press karni ha.
Ziada Tar PC me F12 se Boot Menu ata ha, us k baad Ap ki Agar CD ha to Boot
From CD karna ha or Agr Memory

Card ha to Boot From USB Device Select karna ha,

us k baad wo Boot karega, phr ap k paas Rescue Disk khuljaegi, usme Bht Se

Option honge, Jese HardDrive Repair, Boot Repair, BootLoader Repair etc
(Depending on Which Rescue Device You are using).

Example of BootMenu

Currently me Hiren ki Rescue Disk use kar raha hun, Jisme Portable
Windows 7 And Windows XP han jo Directly Run Hojati han, Apne Portable
Windows 7 Select karni ha, Loading hogi or Windows Khuljaegi, Apne Usme Apni
Internal Main Hard Disk Kholni ha My Computer k Through, phr TaskManager
me jo Files apko Mili thin 2nd Step me, unko Dhoondna ha or Delete karna ha, ab
Files Aram se Delete Hojaengin, ab Ap Apni Rescue Disk Nikalden or PC ko
Normal Restart karen, Apki Windows Khuljaegi or isse Pehle Apna Net Nikale hi
Rakhen Taa k koi or Virus abi Baaki na ho, Phr TaskManager Khol k Dekhlen k
ab to Kuch Run Nahi Horaha, agar Horaha ha to usko isi Poore Tareeqe se Delete
karden or Nahi Horaha to TaskManager ko Band karden or Jisne wo File Di ha
phr usko Galian Den ya Jo kehna ha kahen :D

Screen Shot of Hiren's Boot CD

Mostly Hacker Files Friend k Zarye Bhejte han taa k Agle Bande ko
Bharosa ho or wo Khol le, iska ye mtlb ni k usi Friend ne apko Hack kara ha,
Mostly me b esy Tareeqe use karta hun :D k Jisko Hack karna ho pehle us k 3 4
Friends ki IDs Hack karlo phr unse File Bhejo :D

Rescue Disks k baare me Ap yaha pe Jaan Sakte han.

4. Kuch Eham Baaten :ek baat ka Dhayan Rakhen k ye Files b 2 Trah ki Hoti han,

1.

ek to wo Jo PC me Jese hi Chalai Jaen wo Ap k PC k Browser me Mojood


ID and Pass ko Hacker ko Bhej k Khud hi Delete Hojati han.

2.

Dusri wo Jo PC me jab Chalai Jaen to System k Andr Tak Ghus Jati han
phr is PC se Hone wali Tamam Activites ko Store karti Rehti han or Jese Hi Net
se PC ko Connect ki jata ha wo Data Transfer kardeti han.
Pehle wali Files Khatarnaak hoti han Agr Ap Daily ya Weekly Apne Browsers ka
Cache Saaf Nahi karte ya Apne Apne Browser me Password Save Kie we han.or In
Files ka Precautions k ialwa kuch nahi kia Jaskta, ek baar Run hojaen or Ap net
se Connected hon to Sara Password usi waqt Hacker k Pass Chale jate han. Dusri
wali Files 2 Tareeke ki Hoti han ek KeyLoggers or ek RATs. KeyLogger Hacker ko
Victim k PC ka Control Nahi Dete Albatta Ap jo Likhte han ya Dekhte han usko
Screen Shots or Text File ki Shakal me Net se Connect hone k baad Waqfe Waqfe
se Hacker ko Bhejte Rehte han. or Dusra RATs ye Hacker ko System ka Poora
Control Dedete han, Hacker Apka Mic se Kuch b Sun Sakta ha, Apka Agr Camera
ha PC ya laptop se Attached to use kabi b Khol skta ha, apki HardDrive Access
karskta ha or usme Kuch B Delete karskta ha, Ap k Computer se Online DDos
Attack kar skta ha or Bohat Kuch. is k lie Precautions k lie ye baat b Dhayan me
Rakhen k Apne Camera or Mic ko Band rakha karen ya unpe kuch esa Dalden
Kapra wagera jisse wo Karamad na Rahen or jab Apko use karna ho tab wo
Hataen or use karlen or mic ki Wire Nikal k Rakhden.

Ikhtitamia Kalmaat :abhi k lie itna hi, koi Sawal ya Suggestion Ap Comments me ya Muje MSG kar k
Puch Skte han. Shukriya or Allah Hafiz/

Вам также может понравиться