Вы находитесь на странице: 1из 3

Jaldi Wajan Badhane aur Mota Hone ke 5 Aasan Upay Hindi

Mein
kyakyukaise.com /wajan-badhane-mota-hone-ke-upay-weight-increase-tips-in-hindi/
By Govind
Mota hone ke upay: Lambayi ke hisab se wajan sahi hona physical fitness ke liye jaruri hai. Agar aap ka vajan
lambayi ke hisab se kam hai to aap under weight hai. Aajkal hum apne aas pass bahut se aese log dekhte hai jo ya
to apna motapa kam karne ke ilaj kar rahe hai ya fir apna wajan badhane ke tarike apna rahe hai. Weight ghatana
ho ya increase karna ho aasan koi bhi nahi hai. Wajan kam hona weak immunity ki nishani bhi hai jiska matlab hai ki
aap par bimariyo aur infection ka jaldi asar hota hai. Aaiye jane easy and fast weight gain tips in hindi.
Dosto isse pahle wale lekh mein humne padha tha wajan increase karne ke liye kya khaye(diet plan), wajan
badhane ke liye yoga aasan kon se kare aur jin logo ko bhukh kam lagti hai vo mota hone ke liye apni hunger
ko kaise badhaye. Is article mein hum padhenge jaldi mota hone ke gharelu upay aur ayurvedic nuskhe kon se hai.
Jane Bhukh Kaise Badhaye
Jane Dublapan Bhagane ke Gharelu Tips

Weight kam hone ke kya karan hai


Weight badhane se pahle kam hone ke karno ka pta hona bhi jaruri hai taki hum samasya ko jad se khatam karne
ke liye un karano ka bhi ilaj kar sake.
1. Body ka digestion kamjor hone ke karan vyakti dubla patla ho sakta hai.
2. Sharir mein khoon ki kami hone par bhi wajan kam hota hai.
3. Kisi tarah ke mansik ya bhavnatmak tanav ki wajah se bhi shareer mein dublapan aane lagta hai.
4. Jada vyayam ya jada physical work karna.
5. Genetic aur hyper thyroid ki wajah se bhi vajan kam hota hai.

1/3

Mota Hone ke Upay : Wajan badhane ke Ayurvedic Nuskhe

1. Anjeer aur Kishmish ka Paryog


25 se 30 graam kishmish aur 6 sukhi anjeer sham ko paani mein bhigo kar rakhe aur agle din 2 baar ise khaye. Is
upay se aapka vajan teji se badhega.

2. Ashwgandha se Weight Kaise Badhaye


Ek gilass halke garam doodh mein 2 chote chammach ashawgandha ka churan aur makhan mila kar raat ko sone
se pahle piye. Is nuskhe ko rojana karne par kuch dino mein aapko badlaav mehsoos hoga. Ashwgandha churan
aap Baba Ramdev ki patanjali shop ya fir kisi pansari ki shop se le sakte hai. Ashwgandha height badhane mein bhi
kafi asardar hai.

3. Mulethi aur Shatavari se Mota Hone ke Upay


Jin logo ka immune system kamjor hai unhe weight gain karne mein kaafi pareshani hoti hai. Ye ayurvedic dwa
immunity ko badhati hai aur sharir ko swasth rakhti hai. Agar immunity weak hone ke karan aap mota nahi ho rahe
to mulethi ka paryog ek utam upchar hai.
Jaldi wajan badhane mein shatavari ka isteemal karna bhi utam hai. Ye shareer mein pachan tantar ko strong karta
hai.

4. Doodh aur Aam se Mota Hone ke Tips


1 gilass doodh ke sath 1 aam khaye. Ye desi ilaj din mein 2 se 3 baar ek mahina lagatar kare, aap ka vajan badhne
lagega.

5. Chyawanprash se Weight Increase Kaise Kare


Iska sevan sirf wajan increase mein hi nahi balki pure sharir ke liye faydemand hai. Rojana 2 chammach
chyawanprash khane se rogo se ladne ki shamta badhti hai, aur sharir mein takat aati hai. Ise kisi bhi umar ki
mahila aur purush kha sakte hai.
Jane Mota Hone ke liye Kya Khaye

Bina Pet Badhye Wajan Badhane ka Tarika


Aksar humne dekha hai ki kuch log dubale patle hote hai, vo mota hone ke liye din raat mehnat karte hai aur apne
pryaaso mein safal bhi ho jate hai par unka pet bahar nikalne lagta hai fir unhe pet kam karne ke upay karne padte
hai.
Aesa isliye hota hai kyuki weight gain karne ke liye hum aesi cheeje khate hai jisse sharir mein adhik fat banta hai

2/3

par hamari kuch galtiyo ki wajah se jadatar fat pet ke aaspass hi jama hone lagta hai. Isliye jaruri hai ki mota hone
ke upay karne ke sath sath yoga aur exercises par bhi dhyan de taki pure shareer ka wajan badhe na ki pet ki
charbi.
Exercises kabhi khali pet na kare, exercises karne ke kuch der pahle fruits, dry fruit aur shake piye, isse haddiya
majboot hongi aur pet ki charbi bhi nahi badhegi.
Jane Mota Hone ke Baba Ramdev Yoga Tips

Weight Gain Tips in Hindi


Mota hone ke liye apni lifestyle mein ye aadte jarur apnaye.
Jada calorie wali cheeje khaye.
Chay coffee ki bajay fruit juice, lassi aur shake ka sevan kare.
Rojana yoga aur exercises kare.
Tension kam le aur adhik neend le.
Doodh ke sath kela khaye ya banana shake bana kar piye.
Paani adhik piye aur fruits khane ki aadat dale.
Doodh mein khajur, anjir aur badam ubaal kar khaye.
Fast food khane se parhej kare.
Vajan badhane ki medicines se door rahe.

Mota hone ke liye diet badhana padega par iska ek sahi tarike hona chahiye. Ek sath pet bhar khana
khane ki bajay thode thode samay baad jada calorie wali diet lena jada behtar hai. Har 2 se 3 ghante
baad aesi chejo ka sevan kare jinme protein aur carbohydrates ki matra adhik ho.

Dosto mota hone ke upay, easy and fast weight gain (increase) tips in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga comment
kar ke bataye aur agar aapke pass wajan badhane aur dublapan door karne ke gharelu aur ayurvedic nuskhe
hai to hamare sath share kare.

3/3

Вам также может понравиться