Академический Документы
Профессиональный Документы
Культура Документы
Hindi
kyakyukaise.com /urine-infection-ka-ilaj-gharelu-upay-uti-treatment-tips-hindi/
By Govind
Urine Infection Treatment Tips in Hindi: Jis tarah ruke hue paani mein bacteria jama hone lagta hai usi tarah peshab
rokne par bladder mein bacteria jama hone lagte hai jisse infection hone ki aashanka badh jati hai. Boys ki bajay
girls mein urine mein infection ka khatra adhik hota hai. Peshab mein sankraman ko urine tract infection (UTI) bhi
kehte hai aur UTI hone par sahi samay par iska treatment karna jaruri hai. Is article mein hum janenge Urine
Infection ka ilaj ke gharelu nuskhe aur upay se kaise kare.
Peshab mein kisi bhi parkar ka infection sidha kidney par asar karta hai jisse kidney failure tak bhi ho sakta hai.
Kidney fail hone ka matlab hai ki sharir mein maujood hanikark chemicals bahar na nikalne ki bajay body mein hi
ghulne lagenge. Agar aap kaafi der tak urine rok kar rakhte hai to aapne dekha hoga ki peshab ka rang gehra hota
hai, iska matlab ye hai ki aap ki body ko infection ka khatra hai aur agar jada pressure ke baad bhi urine pass na
kiya jaye to ye wapis gurde ki taraf jane lagta hai jise retention of kidney kehte hai.
Pursho ke mukable mahilao ka mutra marg chota hota hai, males ka mutar marg 7 cm ka aur females ka 4 cm aur
yahi karna hai ki mahilao mein urine ka infection pursho ke mukable adhik hota hai. UTI ke samay agar sambhog
kirya karni ho to condom ka paryog jarur kare, nahi to ye problem aur bhi gambhir ho sakti hai.
Jane Achi Sehat Banane ka Raj
1/4
Sugar ke patient ko bhi urine mein infection hone ki aashanka adhik hoti hai.
Mahilao ko Pregnancy aur periods ke samay UTI hone ki sambhawna adhik hoti hai.
Spinal cord injury ke patient ko bhi urine tract infection hone ka khatra adhik hota hai.
Allopathy ki bajay agar UTI ke upchar ke liye natural gharelu nuskhe apnaye to infection door karne ke sath sath is
samasya se bachav bhi kar sakte hai.
2/4
4. Cranberry Juice
Peshab mein sankraman ko rokne ke liye aur iske treatment ke liye cranberry juice pina acha upay hai, agar aap se
ye nahi piya jaye to ise seb ke juice mein mila kar bhi pi sakte hai.
Urine mein infection ka upchar aananas se bhi kiya ja sakta hai. Ananas guptang ke bacteria ko khatam karne mein
asardar hai. Isse aap aese hi kha sakte hai aur juice bhi pi sakte hai.
5. Lassi (Buttermilk)
Lassi ko hum chaach bhi kehte hai, UTI hone par lassi piye, ye bladder se bacteria ko bahar nikalta hai. Iske ilava
peshab mein hone wali jalan se bhi chutkara dilata hai.
UTI ke samay dahi khana ek utam upay hai, dahi khane se body mein ache bacteria bante hai.
Bladder mein infection ke samay pyaaj ka sevan bhi utam hai, pyaaj body se toxins ko bahar nikalne mein madad
karta hai.
Jane Peshab mein Jalan aur Dard ke Upay
3/4
Dosto Urine Infection ka ilaj ke Gharelu Upay, UTI Treatment Home Remedies Tips in Hind i ka ye lekh aap ko kaisa
laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass peshab aur bladder infection ke upchar ke desi nuskhe
hai to hamare sath bhi share kare.
4/4