Вы находитесь на странице: 1из 3

Dadhi aur Munch ke Safed Baalo ka Upchar 7 Gharelu

Nuskhe
kyakyukaise.com /dadhi-aur-munch-safed-baal-upay-white-beard-mustache-tips-hindi/
By Govind
Umar badhne ke sath sath sir, dadhi aur munch ke baal safed hone lagte hai par aajkal hum dekhte hai ki bahut
se nojawano ko kam umar mein hi mooch aur dadhi ke hair white hone ki samasya se jujhana pad rha hai, jis wajah
se vo choti age mein hi mature aur jada umar ke dikhne lagte hai. Shave ke baal chupaye nahi ja sakte hai isliye ya
to inhe kale karne ke nuskhe karne hoge ya fir inhe hatane ke upay karne honge. Kuch log dye aur color ka paryog
kar ke baal black kar lete hai, jiske side effects bhi ho sakte hai. Is lekh mein hum janenge natural tarike se munch
aur dadhi ke baal kale kaise kare, home remedies for white beard and mustache treatment in hindi .
Jane Baal Sundar Kaise Banaye

Mooch aur Dadhi ke Baal Safed Hone ke Karan


Jada mansik tanav lena aur bahut jada sochna.
Smoking karna aur sharab pina.
Aesi cheeje adhik khana jo body mein jada garmi banate hai.
Kuch logo ko ye samasya genetic karno se bhi hoti hai.

Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay


White Beard and Mustache Treatment in Hindi

1. Kadi Patte ka Pani


Kadi patta aapke ghar ki rasoi mein mil jayega. 100 se 150 ml paani mein thode kadi patte dal kar ubaal le aur jab

1/3

pani aadha reh jaye tab ise thanda hone par piye. Har roj is ilaj ko karne se shave ke baal kale hone lagenge.

2. Pudine ki Chai
Pudine ki chai mein dadhi ke baalo ko natural dikhane aur khoi hui rangat wapis lane ke sabhi gun maujood hote
hai, ache results ke liye iska sevan rojana kare.
Jane Pudine ki Chai Kaise Banaye

3. Nariyal ka Tel aur Kadi Patta


Nariyal ke tel (coconut oil) mein thode kadi patte daal kar ubaal le aur thanda hone par is tel se munch aur dadhi ki
massage kare. Rojana is upchar ko karne se dadhi ke baal kuch dino mein kale hone lagenge. Is tel ka paryog aap
sir ke white hairs ko black karne ke liye bhi kar sakte hai.

4. Aawle ka Ras
Agar aapki dadhi pak rahi hai to har roj aawle ke ras ka sevan kare. Iske ilava kadhi patte ke paani mein
thoda aawla powder daal kar bhi iska sevan kar sakte hai.
25 graam nariyal ke tel mein 20 se 25 graam aawla powder mila kar garam kar le aur thanda hone par dadhi
ki malish kare. Is gharelu upay ko sir ke baalo par bhi paryog kar sakte hai.

5. Gaay ka Makhan
Har roj gaay (cow) ke makhan se agar munch aur shave ke baalo ki malish ki jaye to white baalo ki pareshani se
chutkara milega.
Jane Sir ke Safed Baal Kale Kaise Kare

6. Aalu aur Daal ka Paste


Aaloo mein natural bleaching ke gun hote hai. Daal ke paste mein aaloo ka paste mix kar ke mooch aur dadhi par
paryog karne se aapko shave ka natural color dikhne lagega.

7. Fitkari aur Gulab Jal


Fitkari ko barike pees kar powder bna le aur har roj isme thoda gulab jal mila kar apni dadhi aur munch par lagaye
aur 15 se 20 minute ke baad chehre ko dho le. Ek mahina lagatar is upay ko karne se munch aur dadhi ke baal
naturally kale ho jayenge.
Jane Chehre se Pimples Kaise Hataye

2/3

Safed Munch aur Dadhi se Kaise Bache


Agar aap kam umar mein white beard aur mustache ki problem se bachna chahte hai to aap ko kuch baato ka
dhyan rakhna jaruri hai.
1. Dadhi aur mooch ki is samasya se bachne ke liye khane mein hari patedar sabjiyan, fruits, daal aur protein
se bharpur foods ka sevan kare.
2. Kuch log baalo ko kala karne ke liye dye aur color ka istemal bhi karte hai. Dosto agar aap aesa karte hai to
isse bache kyuki dye aur cosmetic colors mein chemical hhote hai jo ek baar to baal kale kar dete hai par
uske bad baal jada safed aane lagte hai.
3. Fast food, sharab, smoking, chai ke sevan se parhej kare.

Dadi Maa ke Nuskhe


Best Hair Care Tips in Hindi
Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar
Dosto Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay, White Beard and Mustache Treatment in Hindi ka ye
article kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass hairs black karne ke gharelu nuskhe hai to
hamare sath share kare.

3/3

Вам также может понравиться