Вы находитесь на странице: 1из 3

Bina Taar Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Aasan Upay

Hindi Mein
kyakyukaise.com /tedhe-medhe-dant-teeth-sidhe-karne-ke-upay-tips-hindi/
By Govind
Hamari smile chehre ki khubsurati badhane ke sath hamare andar aatam vishwas (confidence) bhi lati hai, hanste
muskurate samay hamare teeth dikhte hai aur aese mein agar dant tedhe medhe (croocked teeth) hai ya fir danto
par pilapan aaya hua hai to hum khul kar muskrane se darte hai ki kahi koi hame tok na de aur hame sharminda na
hona pade. Dosto isse pahle humne jana ki gharelu nuskhe apna kar peele danto ka upchar kese kare aur aaj kya
kyu kaise ke is lekh mein hum janenge ki tedhe medhe dant ko sidhe karne ke upay kya kare.
Kuch logo ke dant teedhe hone ki wajah se muh se bahar nikal aate hai jo bhade lagte hai aur kuch chote bacho ke
danto mein gap aane lagta hai. Aese teeths hone par kai bar bolte aur kuch chabate waqt dard hone lagta hai aur vo
words bolne mein bhi pareshani hoti hai jinhe bolne ke liye danto ki jarurat padti hai. In sabke ilava tedhe medhe
teeths ko brush karne mein bhi pareshani hoti hai aur thik se safayi na hone par dant kharab hone lagte hai, isliye
jaruri hai ki samay rehte hi is samasya se chutkara paya jaye. Aaiye padhe teeth straightening tips in hindi.
Jane Peele Dant Safed Karne ke Gharelu Upay

Dentist Tedhe Medhe Teeth ko Kaise Sidha Karte Hai


Danto ko sidha karne ke liye in par dabav ka istemal kiya jata hai. Dentist danto ki shape thik karne ke liye plastic
ya kisi dhatu ki taar ka sahara lete hai jise hum braces ya clip bhi kehte hai, is process mein danto ko ek taar ki help
se bandha jata hai taki danto par dabav aa sake.
Braces danto ko dhere dhere sidha karte hai, isliye kai bar logo ko inhe salo tak lgana padta hai. Braces lagane se
kafi pareshani to hoti hi hai sath hi ye dikhne mein bhi ache nahi lagte.
Danto par 2 type ke braces lgaye jate hai temporary aur permanent. Permananent braces lagane par danto
par nirantar dabav padta hai jisse dant dabav ke anusar chalna shuru karte hai aur sahi jagah par aa jate hai.
Agar danto ke beech mein khali jagah (space/gap) ho to vo bhi is treatment se thik ho jata hai.
Kuch logo mein aksar dekha gya hai ki 1 dant ke piche 1 aur dant nikal aata hai, iske ilaj ke liye dentist

1/3

operate kar ke pichle dant ko nikal dete hai, ya fir orthodontics se consult karne ke salah dete hai.

Agar aap ne doctor se apne teeths ka treatment karwaya hai to kuch banto ka dhyan rakhna bahut
jaruri hai. Treatment ke baad danto ke teedhe hone ke chances bane rehte hai isliye jaruri hai ki
doctor se regular checkup karwate rahe.

Tedhe Medhe Dant Sidhe aur Andar Karne ke Tarike

Is lekh mein abhi tak humne jana ki braces se teeth ko andar aur sidha kaise kare , dosto dentist dawara kiye jane
wale is ilaj mein kafi paise kharch karne padte hai ab hum kuch upay janenge jinse hum ghar par hi bina koi taar
lagwaye dant seedhe kar sakenge.
Aese bahut se log hai jo danto par taar nahi lagwana chahte agar aap bhi bina taar ke dant sidha karne ke tarike
janna chahte hai to niche bataye hue upay dhyan se padhe.
Dosto upar humne janna ki danto ko andar karne ke liye unpar dabav dalna padta hai, aap ye dabav apni
jeebh (toung) se bhi bana sakte hai par jeebh se aapko danto par lagatar pressure banana hoga. Is kirya se
dant sidhe hone mein samay adhik lagta hai isliye jaruri hai ki aap dharay banaye rakhe.
Jeebh ke ilava aap apni ungali se bhi danto par dabav daal sakte hai.
Aajkal braces ki jagah plastic cover/cap lagane ki technique bhi aa gyi hai, ye cover transparent hote hai aur
inhe istemal karna bhi aasan hota hai, inke paryog ke liye dentist se mile.
Danto par kisi bhi tarike se dabav dalne se pahle ye dhyan rahe ki jada pressure se bhi kuch pareshaniya ho sakti
hai jese masudho mein dard aur danto ka dhela panda isliye jaruri hai ki in upayo ko sahi se apnaye. Agar in tips ko
follow karne se aapko koi benefit nahi mil raha to dentist se mile aur salah le.
Jane Dant Dard ka Ilaj ke Desi Nuskhe
Jane Masudho ki Sujan aur Payriya ke Upay

Chote Bacho ke Tedhe Danto ka Upchar


Vese to kisi bhi umar ka vyakti apne tedhe danto ka upchar kar sakta hai par agar ye ilaj choti umar mein hi kar liya
jaye to behtar hai. Chote bacho ke jabde soft hote hai isliye tedhe medhe dant sidhe karne mein kam samay lagta
hai.
1. Agar aapke bache ko angutha chusne, danto se hoth katne, jeebh se danto ko upar dhakelne jesi aadten hai
to unhe har 6 mahine mein dentist ke pass le jaye taki bacho ki un aadto ko chudwaya ja sake jinse dant
tedhe hone lagte hai.
2. Agar bache ke doodh wale dant nahi gire aur uske pass dusri jagah par pakke dant nikalne lage hai to bache
ko dentist ke pass le jaye aur unki salah se doodh wale dant nikalwaye taki galat jagah par pakke dant na
aaye.

2/3

3. Kuch bacho ko muh se saans leni ki aadat hoti hai, is aadat se bacho ke upar wale dant bahar ki taraf aane
lagte hai isliye samay rehte hi is aadat ko sudharna jaruri hai.

Agar aapne orthodontics se tedhe medhe teeths ka treatment liya hai to jada thandi cheeje khane
se parhej kare aur toffi, chocolate, chiwngum ke sevan se bhi bache.

Muh ki Badboo Dur Karne ke Upay


Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
Rajiv Dixit Ayurvedic Tips in Hindi
Dosto Tedhe Medhe Dant Sidhe Karne ke Upay, teeth straightening tips in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame
comment karke bataye aur agar aapke pass chote bacho aur bado ke dant andar karne ke tarike hai to hamare
sath bhi share kare.

3/3

Вам также может понравиться