Вы находитесь на странице: 1из 4

Hath Pairo Mein Dard Sujan aur Jalan ka Upchar ke 5 Aasan

Upay
kyakyukaise.com /hath-pair-mein-dard-sujan-jalan-ka-ilaj-ke-gharelu-nuskhe-hindi/
By Govind
Agar aapke hath pair mein dard hota hai aur aap us dard se chutkara pane ke liye painkiller medicines ka sahara
lete hai to aap is lekh ko dhyan se padhe kyuki pain killers ke paryog se dard to kam ho jata hai par ye hamari
kidney par bura asar dalti hai. Kya kyu kaise ke is article mein hum aese gharelu upay aur desi nuskhe padhenge
jinke paryog se hatho aur pairo ke dard, jalan, sujan aur sunpan (numbness) se rahat pane mein madad milegi.
Aaiye jane home remedies tips for hand and leg pain treatment in hindi.
Jane Sawth aur Sehtamand Rehne ke Tarike

Hath aur Pairon Mein Dard ke Karan : Causes


Legs mein pain fingers, talvo aur takhne ya fir pindiyon par kisi bhi jagah ho sakta hai aur is dard ke kai karan ho
sakte hai.
Umar ka badhna
Jada der tak chalna
Lambe samay tak khada rehna.
Body mein nutritions ki kami hona.
Sugar (diabetes) ka rog hona ya fir koi aur health problem hona.
Jo log sports khelte hai ya gym jate hai unhe bhi aksar pain se jujhna padta hai.

Cervical problem hone se bhi garden, hatho aur kandho mein dard aur sunn (numb) ki shikayat hoti
hai aur disc problem se kulho aur pairo mein dard hone lagta hai jisse uthne baithne aur chalne mein
kafi pareshani hoti hai. Cervical aur disc reedh ki haddi (spinal cord) ke kuch manke hai jinme nas

1/4

dabne se dard hone lagta hai. Agar aap bhi isi wajah se pareshan hai to doctor se consult kare.

Hath Pair Mein Dard ka ilaj ke Gharelu Nuskhe


Home Remedies for Hand Legs Pain Treatment in Hindi

1. Laung ka Tel
Sharir mein kahi bhi jodo par dard ho ya fir dant mein dard ho to laung ke tel se malish kare, isse body muscles
relax hoti hai aur pain mein relief milta hai.

2. Garam aur Thanda Pani


1 bade bartan mein thanda paani bhare aur ek bartan mein gunguna paani. Ab apne pairon ko 2 se 3 minute ke liye
gungune pane mein daal kar rakhe aur uske ke baad 10 se 15 seconds ke liye thande paani mein dale. Is kriya ko 2
se 3 baar kare aur iski shuruat hamesha gungune pani se kare aur khatam thande paani par kare. Is kriya ko cold
and hot water therapy ke naam se bhi jante hai jo hands aur legs pain ke upchar ka acha gharelu tarika hai.
Jane Neck Pain ka ilaj ke Gharelu Tips

3. Ice Therapy
Dard aur sujan (swelling) ka ilaj ke liye ice therapy ka paryog kafi asardar upay hai. Ek plastic ka bag le usme
burf ke tukde dale aur dard wali jagah par isse massage kare. Ice pack ko ek bar mein 10 minute tak hi
paryog kare.
Pairo ki naso mein sujan aayi ho to burf ka paryog suji hui naso par kare isse sujan utarne lagegi.

4. Sendha Namak
Haath pair ke dard se jaldi relief pane ke liye ek baalti mein garam pani daal kar isme 2 se 3 chammach sendha
namak milaye aur is paani mein 10 minute ke liye apne pair rakhe.

5. Sarso ke Beej (Mustard Seeds)


Sarson ke beejo ko pees kar unhe garam paani mein mila kar kisi balti ya bade se bartan mein dale aur is paani se
10 15 minute tak apne pairon ki sikayi kare. Is upay se khoon ke parvah mein sudhar aata hai aur dhere dhere
swelling kam hoti hai aur dard bhi door hota hai.

Hand aur Leg Pain ka Upchar ke liye Baba Ramdev Yoga

2/4

Hath pair mein dard se chutkara pane mein yoga karna best solution hai. Yoga mein kandharasana karne se hath
paon ke dard ke sath sath kandho, kamar aur ghutno ke dard se bhi rahat milti hai.
Kandhrasan yoga mein aap ko jameen par shavasan ki mudra mein leet kar pahle apne dono ghutne modne hai aur
pairo ke panjo ko jameen se lagaye rakhna hai iske bad aapko bina apni gardan aur sir ko hilaya kamar ko upar ki
aur uthana hai aur apne hatho se pairo ke tankhno (ankles) ko pakadna hai. Is aasan ko karne se pahle ise puri
tarah sikhe iske liye aap baba ramdev ki videos dekh sakte hai ya kisi yoga guru se mil kar sikh sakte hai.
Jane Gathiya ka ilaj ke Gharelu Upay
Jane Uric Acid Control Karne ke Desi Nuskhe

Hath Pair Mein Jalan ka ilaj Kaise Kare : Burning Sensation


Pairo mein jalan tab hoti hai jab legs mein blood circulation slow ho jaye ya fir pairo ki manspeshiya kamjor ho gyi
ho. Ye pareshani sugar ke patients aur bade budho mein adhik hoti hai. Iske ilava kisi dawa (medicine) ke side
effects, blood pressure aur vitamin ki kami se bhi talve mein jalan ho sakti hai.
Burning feet problem se rahat pane ke liye aese foods khaye jinme vitamin B3 bharpur matra mein ho.
Jaitun ya fir nariyal ke tel mein thoda adrak ka ras mila kar ise halka gunguna karke pairo ke talvo aur aediyo
par 5 se 10 minute ke liye malish kare.
Lauki ka ek tukda kaat kar pairon par male isse pairon ko thandak milegi.
Blood ka circulation badhane ke liye adarak ka ek tukda bhi chba sakte hai, is upay se pair ke dard ke sath
sath puri body ko aaram milega.

Hands aur feets mein jalan kisi bhi umar mein ho sakti hai, vese to ye jalan kabhi kabhi hoti hai par
agar ye aapko har samay hoti hai to doctor se salah le.

Hath Pair Sunn ka Upchar ke Gharelu Tarike


Hath paon so jana ya sunn hone ki samasya normal hi hai aur hum sab kabhi na kabhi isse rubru ho chuke hai.
Galat posture mein baithne aur letne se kai bar hamare haith paon numb ho jate hai aur inme jhanjhanahat, kamjori
mehsus hoti hai.
1. Hath pair sunn pad jaye to ise thik karne ke liye massage karna sabse aasan ilaj hai, isse blood circulation
badhta hai aur sunpan dhere dhere kam hone lagta hai.
2. Jis hath ya pair mein sunpan aaya ho uski exercises kare isse bhi dhere dhere sunpan khatam ho jayegi.
3. Ek glass gungune doodh mein aadha chaamach haldi aur thoda shahad mila kar pine se bhi blood circulation
mein sudhar aata hai.

Nas Par Nas Chadhna (Muscular pain)

3/4

Nas par nas chadhna jesi samasya hone par jis pair ki nas chadh gayi ho us side ke hath ki beech wali ungali
ke nakhun ke neeche wale hisse ko dabaye aur chode.
Jis hath ya pair ki nas chadh gyi ho us par thandi paani ki sikayi karne se bhi aaram milta hai.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit Ayurvedic Tips in Hindi
Dosto Hath Pair Mein Dard Jalan Sujan ka ilaj, Hands and Legs Pain Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga
hame comment kake bataye aur agar aapke pass hatho aur pairo ke dard ka upchar ke tarike , gharelu upay ya
desi nuskhe desi upay hai to hamare sath share kare.

4/4

Вам также может понравиться