Вы находитесь на странице: 1из 3

Energy aur Stamina Badhane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

kyakyukaise.com /energy-stamina-kaise-badhaye-gharelu-upay-tarike-hindi-tips/
By Govind
Office mein kam karne wala vyakti ho, koi businessman ya fir koi sports khelne wala vyakti ho har kaam mein body
ko energy ki jarurat hoti hai. Aajkal hamara khan paan kaam ka stress aur daily routine aesa ho gya hai ki hum
bahut jaldi thakan aur aalas mehsus karne lagte hai. Aksar hum sharir mein urga banaye rakhne aur power boost
karne ke liye kai parkar ke energy drinks ya kuch multivitamin medicine ka sevan karte hai, ye energy drink ek bar
to body ko fresh kar dete hai par inka paryog hamari sehat ke liye nuksandey hai. Hum apni diet mein kuch aese
foods shamil kar sakte hai jo body ki strength boost karne ke sath sath hame healthy aur fit banaye rakhte hai. Is
lekh mein hum janenge stamina kaise badhaye, energy fitness and stamina increase tips in hindi.
Jane Swasth aur Sehatmand Rehne ka Raj

Stamina Kaise Badhaye : Stamina


Increase Tips in Hindi
Stamina badhana matlab sharir ki shamta badhana
jisse aap apni shamta se adhik kaam kar sake.
Stemina increase karne ke liye vitamin C,
carbohydrates, iron aur protein jese poshak tatav
khane mein lena jaruri hai.
1. Chakundar ka juice pine se muscles majboot
hoti hai isse stamina badhta hai.
2. Apni diet mein vitamin C aur vitamin B wale food shamil kare.
3. Moong ki daal khane se bhi kafi fayda milta hai. Moong ki daal ko ubaal kar ya ankureet (sprouts) kar ke le
sakte hai.
4. Kale channe raat ko bhigo kar rakhe aur subh khali pet khaye.
5. Achi diet ke sath halka fulka vyayam aur exercises karne se bhi body ki power badhti hai.
6. Stamina badhane ke liye jaruri hai ki aap heart ko healthy rakhne wale vyayam kare jese running, swimming,
rope skipping.
7. Smoking, tambacoo, sharab aur khane pine ki buri aadto se door rahe, ye cheeje body ka stamina kam karti
hai.
8. Jitna jaruri vyayam hai utna hi jaruri aaram bhi hai islite muscles ko relax karne ke liye sharir ko aaram bhi de.
9. Apni height ke according apna weight maintain rakhna bhi jaruri hai. Wajan kam ya jada hone se bhi energy
level effect karta hai.
10. Body ka stemina increase karne mein protein ka sevan aham hai, ande ka safed hissa, machli, daale, doodh
aur doodh se bani cheejo ko apne diet mein shamil kare.
Agar aap ne abhi stamina badhane ke tarike karne shuru kiye hai to ek dum se jada thaka dene wali activity na
kare, aap chote chote target banaye aur aage badhe.

1/3

Energy Badhane ke Liye Kya Khaye


1. Daliya (oats) khane se body ko jaruri nutritions milte hai, daliya mein antioxidents bharpur matra mein hota hai jo
body se jeharile padartho ko bahar nikalne aur body ko active rakhne mein madad karta hai. Daliya mein
carbohydrates hone se body mein power din bhar bani rehti hai.
2. Shakargandi (sweet patato) mein vitamin D, carbohydrates paya jata hai jo sharir mein rog pratirodhak shamta ko
badhata hai aur energy boost karta hai.
3. Badam mein calcium, protein, magnesium aur potassium bharpur hota hai. Rojana badam khane se dimag tej
hota hai, concentration badhti hai aur body energetic rehti hai.
4. Seb (apple) mein vitamin, fiber, minerals aur antioxidents hote hai jo sharir mein immunity badhate hai aur
energetic banaye rakhte hai.
5. Palak mein kai parkar ke poshak tatav hote hai jo body ko active aur fit rakhte hai, palak ka sevan sabji aur soup
ke roop mein kiya ja sakta hai.
6. Energy boost karne ke liye jaruri hai ki sharir mein paani ki kami na ho, aksar kaam mein busy hone ki wajah se
hum jarurat ke mutabik pani nahi pite jisse jaldi thakan hone lagti hai. Body mein energy banaye rakhne ke liye
paani adhik matra mein piye.
7. Kela (banana) khane se thakan aur susti dur hoti hai.
8. Agar aap thakan mehsus kar rhe hai aur body ko energy chahiye to adarak ka ek tukda khaye, isse aapki thakan
door hogi.

Apne kaam se beech mein break le kar kuch der music sune ya apni pasand ka kuch kaam kare, isse aapka mood
fresh hoga, thakan door hogi aur sharir mein energy aayegi. Agar aap ek jagah baith kar kaam karte hai to break le
kar thoda walk kare. Bina hile dule ek hi jagah ghanto baithe rehne se kai parkar ki sharirik pareshaniya ho sakti
hai.

Stamina Badhane ke Upay : Yoga Tips


1. Dhanurasana: Is yogasan se fefdo mein oxygen ka parwah thik hota hai, pachan tantar majbut hota hai aur
blood circulation improve hota hai jisse body mein energy bani rehti hai aur stemina badhta hai.
2. Bhujangasana: Is aasan ke niyamit abhyas se haath, kandhe aur body ka upper part majbut hota hai jisse sharir
ko fit rakhne aur fitness badhne mein madad milti hai.
3. Pachimottasana: Is aasan se digestion system darust rehta hai aur body flexible banti hai. Rojana is aasan ko
karne se pet ki charbi bhi kam hoti hai.

In aasan ko karne se pahle inhe karne ki sahi parkirya sikhe, iske liye aap kisi yog guru ki kadad le
sakte hai ya fir ghar par baba ramdev ki videos dekh kar sikh sakte hai. Yoga ke ilava aap morning
evening walk aur running ke liye bhi samay nikale. Agar aap kisi sharirik bimari se parbhavit hai to

2/3

kisi yoga expert ki salah se hi in yogasan ko kare.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Best 5 Health Tips in Hindi
Rajiv Dixit ke Ayurvedic Tarike
Dosto Stamina Kaise Badhaye, Energy and Stamina Increase Tips in Hindi ka ye article aapko kaisa laga hame
comment kar ke bataye aur agar aap ke pass stamina badhane ke gharelu upay hai to hamare sath bhi share
kare.

3/3

Вам также может понравиться