Вы находитесь на странице: 1из 8

Datri Drama script

(Surat ek sundar sa shahar, Jo diamond city se pahechana


jata hai, yaha ke logo ka to kya kahena !! Isi shaharka ek
hasta khelta Modiji ka parivaar. EK suhani subhah Modiji
angan me beth ke akhbar padh rahe the tabhi Modiji ki
patni geeta aati hai aur kehti hai.)

Geeta : Eeji sunte ho! Kabse chai nashta rakhke gai thi abhi tak nai kiya,
Pehle keh dete freez me thanda karke deti na.
Modiji : Are bhagyavan, gussa kyu kar rahi ho, mujhe to esa tha tum
apne hatho se nashta karvaogi isi liye raah dekh ke betha tha, lo bas abhi
tumhare samne kar leta hu.
Geeta : Kar lo chuchap jaldi meto chali apke ladle ka nashta taiyar
karne. Aur kam pe jate vakht Nirali ki davaiya lana mat bhulna.
(Ab aap soch rahe honge ye nirali kon hai. Nirali iss jode ki masum
chhoti ladki. Itna nahi Iss jode ko ek Preet nam ka nanha sa shaitan bhi
hai. Nirali.. iss nanhi si jaan ko kuch samay se behat bukhar rehne laga
ussi ki diway Modiji ko lani thi.)
Modiji : Thik hai me mangu ko bol eta hu. Mangu are e Mangu Yaha to
aana zara.
(Mangu siti marta marta ata hai)
Mangu : ji Saheb! Apne bulaya?
Modiji : Nahi to aur kon hai yaha ? Sun ab, Mene jo davai lane ke liye
kaha tha vo laya ki fir bhul gaya?
Mangu : JI sahib! Vo to .. voto me bhul gaya. Bas abhi jake turant leke
ata hu.
(Mangu 1 ghante bad davai leke ata hai.. aur fir apna kam karne lag jata
hai)
( Aur kuch gante bad geeta aati hai, tab Modiji taiyar ho rahe hote hai
dukan jane ke liye)
Geeta : Sunye ji, me abhi aaa. Are vaah! Kiski Shadi me jaa rahe hai.
Modiji : Are meri hi to shadi hai tumhe card nai mila!
Geeta : Ha karlo meto bach jaugi. Ab sun bhi lo me ati hu preet ko
leke uski school bus ane ka time ho gaya hai.
(Geeta aur preet kavita gungunate ate hai jo preet ne aaj hi school me
sikhi hoti hai..)
Geeta & preet : Twinkle twinkle little star. Johny Johny yes papa
Preet : Papa! Aaj mene nayi poem sikhi aur sub ke samne stage pe
perform bhi ki.
Modiji : Are vaah! Hum bhi to sune kya sikha hai humare raja bete ne..
Preet : Twinkle twikle little star(sing complete poem)
Modiji : mangu! Are e mangu!mere jute polish kiye?
Mangu : ha sahib, apke jute nikalke hi rakhe hai. Basss polish karna baki
hai.
(Aur kuch din bad achnak nirali khelte khelte gir jati hai.. Aur yeh dekh
kar geeta chillati hai aur dod kar ati hai)
Geeta : Nirali! Nirali! Sunye. Are suniye yeh dekhiye nirali ko kya
hua!
(Modiji Gabhrate hue dod ke ate hai)
Modiji : Geeta kya hua? kya hua nirali ko?
Geeta : (rote hue)pata nahi dekhiye na behosh ho gai hai pata nahi kya
hua isse.
Modiji : Sun mangu! Me aur geeta abhi hospital jake ate hai. Preet ko
school se lana bhulna mat!! -----------------------------------
(Modiji aur geeta nirali ko hospital le jate hai)
Doctor : Modiji, hame kuchh samaj nahi aa raha he, kuchh blood test
likh diya hai, report kisi bade doctor ko dikhate hai.
Modiji : me report karvake aata hu aap kisi doctor se baat kar lijiye.
Doctor : haa me Dr. Bose. se baat karta hu jo yahi ki helath care hospital
me milege.
Modiji : apka bahot bahot shukriya..
(Modiji aur geeta nirali ko lekar turant hi dr.Bose ko milne nikal padte
he)
(Modiji recepitionist ko sari bat samjate he aur emergency ke bare me
batate he )
Receptionist : ji sir ,me apki bat samaj gayi, me abhi Dr. Bose se phone
par bat kar leti hu
(Dr.Bose se call par bat karne ke bad receprtionist Modiji ko dr.
Bose se milne ke liye bhejti heDr. Bose nirali ke case ki information
Modiji ke pass se lete huve reports dekhate hai. )
(Report Dekhne ke bad Doctor Dono ko kehte hai..)
Doctor : Are bhabhiji, rone ki koi bat nahi hai apki itni pyari si beti hai
ise kya ho sakta ha! Are Modiji yaha to ayiye me apko davai likh ke de
deta hu.
(Itna bolke Modiji ko doctor side pe le jake kehte hai.)
Doctor : Sunie Modiji gabhrane ki bat to nai hai par
Modiji : Par kya Doctor!!!
Doctor : nahi koi serious binmari nahi hai, jese TB, Polio aur dursi
bimari o ka ilaj hai waise hi is bimari ka bhi ilag hai.
Modiji : haa par bimari kya hai.
Doctor bose : reports par se lag raha hai ki Nirali ko blood cancer hai aur
ye bimari blood stem cell ya bone marrow transplant se thik ho sakti hai.
baccho ke case me 80 % tak recovery hoti hai.
Modiji : aap batao kya kare.
Doctor Bose : hame kisi genetical match blood stem cell donors se blood
stem cells transplant karvana hoga. aap apne ghare ke sabhi sadasyo ka
HLA typing test karvaye. Use pata chalega ki kon sahi match hai.
( Modiji ne ghar ke sabhi sadashyo ka HLA report karvya par koi match
nahi tha. baad me ristedaro se aur mitro se bhi baat ki. Par kahi se koi
match nahi mil raha tha. din par din Nirali ki halt bigti jaa rahi thi. Nirali
ka school choot gaya, 1500 se jyada antibiotics uske sarir me jaa chuki
thi, 90+ chemotherapy ke injection lag chuke the, 8 se jyada baar
emergency room ka visit ho gaya, 48 din se jyada hospital me admit hai.
Aaj Nirali kuch aisi dikh rahi hai, uske sarir par bal nahi hai, skin kali ho
chuki hai, ek samay par hasti khelti nirali ek bed pe chup chap bethi hai
and jingdi ke din gin rahi hai ) --- slide with patients pic
Modiji : Dr. bose aap bata rahe the iss bimari ka ilaj hai par abhi tak koi
aasha nahi dikh rahi. lakho karch ho gaye match dundhte huve par abhi
tak koi match nahi mil raha.
Dr. Bose: Modiji, himmat mat hariye, Nirali ke liye aap aur hospital ka
pura staff ji jaan se mahenat kar raha hai. Me ek kam karta hu Nirali ka
report Datri sanstha ko bhej deta hu. Unke pass 2.75 lakhs donors hai jo
apne blood stem cells donate karne ke liye registered huve hai. Muje
puri ummed hai hame vaha se koi donor mil jayega.
(aab aap soch rahe ki ye Datri kya hai? Datri ek asi sanstha hai jo blood
cancer aur aisi 100+ bimario ke marijo ko bachane ke kaam me madad
karti hai. Datri volunteers blood stem cells donors ko registered karke
blood stem cells donation ki prakriya ko facilitate karke marijo ko jine
ka moka pradan karti hai. Registration ka process kafi simple hai jisme
registered donor ko sirf apna buccul swab yani ki dono gal ke bhitar se
cells collect kar ke dena hota hai aur registration form bharna raheta hai.
Dr. Bose report bhejte hai and pata chalta hai ki Nirali ke liye ek perfect
match hai.)
Dr. Bose : (Phone pe) Modiji, chaliye ek khush khabri suniye, Datri se
email aaya hai aur ek donor hai unke paas.
Modiji : Ye to achhi khabar hai par dr. aap bata rahe thai Nirali ka
transplant ise mahine karna hai, vo kese possible hoga?
Dr. Bose: Modiji mene Datri ko case ki urgency ke bare me bataya hai
aur vo log donor se baat kar rahe hai.
( Datri representative : donor se baat karte hai. Nikhil Patel. Datri ke
representative Donor Nikhil ko puri baat batate hai and unko yaad bhi
dilvate hai ke kaise unhone apna registration 2 saal pahele apne ek
paarivarik samelan me kiya tha. Nikhil unki baat sunte hai aur batate hai
ki muje thoda samay chaiye aur apne parivar se bhi baat karni hai. Datri
ke representative unko fir se case ki urgency batate hai aur kahte hai ki
aapna jawab jaldi de. Vaha Nirali ki halat bigad rahi thi. 5 din ho gaye
par Donor se koi jawab nahi mil raha. donor ke parivar vale man nahi
rahe, donor ne phone receive karna bandh kar diya hai, donor milne ke
liye bhi mana kar rahe hai, donor ke community ke pramukh ne bhi
samjane ki koshis ki par kuch nahi ho raha tha)
Geetaben : Suniye na, doctor ne kaha tha donor hai to itna samay kyu lag
raha hai? Doctor se puchiye naa, puchiye naa, puchiye naa aur rone lagti
hai. (Preet usi samay kahta hai mama didi kab hospital se ayegi, mujhe
uske saath khelna hai, school me bhi sabhi koi puch rahe hai.

Datri ke representative Donor ki Ek doctor ke saath baat karvate hai


Dr. Buch : Hello Nikhil, congratulations, mujhe pata chala ki tum kisi
patient ke liye perfact match ho. tum to bahut hi bhagyasali ho. Mene
Datri me 4 saal se registration karvaya hai aur rah dekh raha hu kub me
apne blood stem cells donate kar pau.
Nikhil : Ohh doctor sahib, aap bhi registered ho kya??? Dar nahi lagta,
donation me kuch problem nahi hoga kya?
Dr. Buch: Nikhil tumne blood donation kiya hai kabhi, yaa kabhi
platelets donate kiya hai kya?
Nikhil : Haa mene blood donation kafi baar kiya hai aur pichle saal hi
meri choti bahen ko dengue huva tha tha tab kisi donor ne usko platlets
donate kiya. Aaj usi ke vajah se meri choti bahen jinda hai.
Dr. Buch : blood stem cells donation, platlets donation jesi hi prakriya
hai, kafi kam logo ko iske bare me jankari hai. Jankari kam hone ki
vajah se hum kafi saare marijo ko bachha nahi paa rahe. Sath hi me
match bahut hi muskil se milta hai. 10000 logo me se ek ka hi match
milta hai aur use samay pe donor hi jivan data hai.
Nikhil: iska matlab me agar apne blood stem cell donate karu to mere
sharir me koi dikkat nahi hogi.
Dr. Buch : Nahi bilkul nahi, aap aaram se donation kar sakte ho. Aap ko
Ishu yaad hai? Vahi baccha jo 6 saal ka tha aur usko leaukemia tha. Ishu
ke liye koi match nahi mil raha tha. Donor family ke bahar se match
huve. Use donor ko donation ke liye baat ki par donor donation ke liye
bahut der se mane. Tab tak hum Ishu ko kho chuke the. Ek baat yaad
rakhana humare paas sochne ke liye sayad samay kafi hai par patient ke
paas kuch hi din hote hai. Agar samay par unko donation nahi mila to
hame unko khona hota hai. aaj aap hi use patient ke liye jivandata ho,
bhagwan ho, aur iss me kuch bhi sawal ho to mujhe kabhi bhi mil sakte
ho ya phone kar sakte ho.
Modiji : (doctor bose ko puchte hai), doctor bose Datri se koi jawab
aaya kya. Dr. Bose batate hai ki donor convince nahi ho rahe hai Datri
aapni aur se puri koshis kar rahi hai. (Modiji, Geeta, and hospital staff
nirash ho jate hai. aur bhagawan se prathana karte hai, transplant ko aab
sirf 15 din baki hai).
kafi jhemat ke baat akhir me Donor finally donation ke liye agree ho jate
hai aur donation karte hai. yaha pe donor blood stem donate karte hai
aur donation ke din hi blood stem cell Nirali ke paas hospital me
pahuchaya jata hai.
Dr. Bose : Modiji, Samay rahete hamne transplant kar diya hai, is puri
prakiya ka shrey donor ko jata hai. Me sirf illaj kar sakta hu agar donor
donate nahi karte to me bhi kuchh nahi kar pata. Datri ne hame sahi
samay pe achha support kiya.
Aaj Nirali ke transplant ko ek saal ho chukka hai. Nirali aab puri tarike
se thik hai. Ek saal ke baad Nirali apne Jivan Data Nikhil se paheli baar
mil rahi hai. Nirali ki family ki aakho me aasu hai aur donor Nikhil bhi
Nirali ko dekh kar bahut khush hai.
Nirali ki jaan bachi hai, par aaj bhi 1340 patients aise hai jinko aapna
match nahi mila. ye bhi bach sakte hai aur hum unhe bacha sakte hai.
Jivan bachane ke is mission me hum jude hai aur aap ka saath
chahiye.

Вам также может понравиться