Вы находитесь на странице: 1из 4

10/2/2018 “Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein | Radd-e-Ghairmuqallidiyat

Radd-e-Ghairmuqallidiyat
Ghair-Muqallidiyat Ka Doosra Naam
"Na-wāqfiyat, Zidd wa Jihālat"

“Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein


Posted on November 16, 2013 by Al-Islam

Bismillahir Rahmanir Raheem

1. Imam Ahmed Bin Hambal (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed se riwayet na lee jaye.” [Meezanul Aitdal lil
Zahbi – Jild 4: Safa 440, Raqamul Tarjuma: 9754]

2. Allama Ibne Taymyiah (Rahimahullah) likhte hain “Imam Ahmad Bin Hambal (Rahimahullah) se poocha gaya
ki kya aap Yazeed Bin Muawiya se hadees likhenge? Inhone jawab diya ki nahi iski koi wuq’at nahi. Kya ye wahi
shakhs nahi ki jisne Ahle Madina ke sath itna zulm kiya jo bayan se bahar hai”. [Majmua Al-Fatawa lil Ibne
Taymiyah – Jild 3: Safa 223]

3. Imam Abu Bakr Al-Jasas Al-Hanafi (Rahimahullah) farmate hain “Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba
Khulafa-e-Arba’a ke baad fisaq Umra ke sath milkar Jihad karte rahe, Abu Ayyub Ansari ne Yazeed La’een ke sath
milkar Jihad kiya”. [Alquranul Jasas – Jild 3: Safa 178]

4. Allama Ibne Taimiyah Al-Harani (Rahimahullah) ne likha “Jo ALLAH aur akhirat ke din par Imaan rakhta ho
wo ye nahi chahega ki Yazeed aur iske jaise doosre mal’ook ke sath rahe jo AADIL nahi the”. [Fatawa Ibne
Taimiyah – Jild 4: Safa 251-252]

5. Moarrikh-e-Islam Hafiz Shamsuddin Zahbi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed bin Muawiya Nasibi, sangdil,
badzaban ghaleez jafaar ka, sharabkhor aur badkar tha. Isne apni hukumat ka iftitah Hazrat Hussain Shaheed
(Radiallahu Anhu) ke qatal se kiya aur ikhtitam waqiyah harrah ke qatal-e-aam par kiya, isliye logo ne is par
phitkar bheji aur iski umar mein barkat na ho saki Hazrat Hussain (Radiallahu Anhu) ke bad bahut se Sahaba
(Radiallahu Anhum) ne iske khilaf ALLAH ki raza ke liye khurooj kiya”. [Al-Rauz Al-Basim – Jild 2: Safa 36]

6. Hafiz Imaduddin Ibne Kaseer Al-Damishqi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed ka shahwaat ki taraf mailaan
tha aur ba’az auqat Namaz chhod deta tha aur basa Namaze waqt-e-qaza par padhta tha”. [Al-Bidaya wa Al-
Nihaya – Jild 8: Safa 230]

7. Allama Kamaluddin Al-Dameeri (Rahimahullah) likhte hain “Alkiya Alharasi jo Shafayi faqeeh hain, inse
poocha gaya ki Yazeed bin Muawiyah Sahabi hai ya nahi? Aur kya isko La’an Ta’an karna shaheeh hai ya nahi? To
inhone jawab diya wo Sahabi nahi hai, kyunki wo Daur-e-Usman mein paida hua tha, aur Salaf mein se Imam Abu
Hanifa (Rahimahullah), Imam Ahmad bin Hambal (Rahimahullah) aur Imam Malik (Rahimahullah) ke is bare
mein 2 qaul hain ek mein tasreeh hai aur ek mein talweeh. Hamare liye to tasreeh ka he qaul hai aur kyun na ho
jab ki wo cheete ka shikar karne wala, nard khelne wala aur dayemi sharabi tha”. [Hayatul Haiwan Al-
Dameeri – Jild
Privacy & Cookies: 2:uses
This site Safa 84]
cookies. By continuing to use this website, you agree to their use.
To find out more, including how to control cookies, see here: Cookie Policy

8. Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Rahimahullah) farmate hain “Musnad mein iski koi riwayet mazkoor nahi sirf
Close and accept
Yazeed ka zikr aya hai. [Ta’ajeel Al-Manfa’ala ibne Hajar – Jild 2: Safa 373, Raqamul Tarjuma 1189]
https://raddeghairmuqallidiyat.wordpress.com/2013/11/16/yazeed-aslaf-e-ummat-wa-akabireen-ahle-sunnat-wal-jamat-ki-nazar-mein/ 1/4
10/2/2018 “Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein | Radd-e-Ghairmuqallidiyat

9. Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Rahimahullah) ne mazeed tashreeh kar di hai “Yazeed ki koi bhi aisi riwayat nahi jo
qabil-e-aetmad ho”. [Tahzeeb Al-Tahzeeb Ibne Hajar – Jild 7 : Safa 185]

Mazeed likha hai ki “Yazeed ki jo mukhalifat Sahaba (Radiallahu Anhum) ne ki thi wo iske zalim aur fasiq hone ki
wajah se ki thi.

10. Fakhr-e-Muhadiseen Imam Jalaluddin Suyuti (Rahimahullah) farmate hai: Aap (Hazrat Hussain Radiallahu
Anhu) Ko Saheed kia gaya aur Aap (Radiallahu Anhu) ka sir Mubarak Ibn Ziyad ke pas ek tastari mai laya gaya.
Allah ki La’nat ho usper jisne Aap (Radiallahu Anhu) ko qatl kia, Ibn Ziyad aur Yazeed per bhi. [Tarikh ul
Khulafa: Safa 165]

11. Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed (12) barah Khulafa ke
darmiyan se saqit hai, isliye ki arsa tak iski saltanat mazboot na hui thi aur ek wajah ye bhi thi ki wo buri seerat ka
malik tha. [Qurrah Al-Aiynain – Safa 241]

12. Hazrat Maulana Muhammad Qasim Nanautvi (Rahimahullah) farmate hain ki “Ameer Muawiyah (Radiallahu
Anhu) ne jab Yazeed paleed ko apna wali ahed muqarrar kiya tha iska fisq zahir na tha agar kuch kiya hoga to dar-
parda jiski khabar Hazrat Ameer Muawiyah (Radiallahu Anhu) ko na thi. [Maktoobat Sheikhul Islam – Jild 1
: Safa 272]

13. Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed ko kafir kahne se aehtiyat ki
jaye magar wo Fasiq beshak tha”. [Fatawa Rasheedia – Safa 49]

14. Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Muhammad Ashraf Ali Thanvi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed fasiq
tha aur fasiq ki wilayet mukhtalif feeh hai”. [Imdadul Fatawa – Jild 4: Safa 565]

15. Hazrat Maulana Sayyed Hussain Ahmad Madni (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed, Ameer Muawiya
(Radiallahu Anhu) ki wafat ke bad khullam khulla fisq wa fujoor mein mubtila ho chuka tha”. [Maktoobat
Sheikhul Islam – Jild 1: Safa 266]

In Akabireen-e-Ummat ki maktoobat se ye saf zahir hota hai ki Yazeed Sahabi bhi nahi tha, na he ek acha
Musalman tha, na acha badsha tha aur na ek acha insan tha, us par sitam ye ki Ahle Bayt (Radiallahu Anhum) wa
Sahaba (Radiallahu Anhum) ke khoon se iske hath bhi sane.

ALLAH TA’LA humein aise FASIQ wa FAJIR shakhs ki himayat karne aur tareef bayan karne se bachaye. Ameen.

Is Hawale Se Chand Kutoob pesh Khidmat hai:

1. Shahadat-e-Hussain (Radiallahu Anhu) Wa Kirdar-e-Yazeed (2.3 MB)

Read Online

Download
Privacy & Cookies: This site uses cookies. By continuing to use this website, you agree to their use.
2.
To Shaheed-e-Karbala Aur
find out more, including how to control Yazeed
cookies, see here:(5 MB)
Cookie Policy

Close and accept


Read Online
https://raddeghairmuqallidiyat.wordpress.com/2013/11/16/yazeed-aslaf-e-ummat-wa-akabireen-ahle-sunnat-wal-jamat-ki-nazar-mein/ 2/4
10/2/2018 “Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein | Radd-e-Ghairmuqallidiyat

Download

3 . Yazeed Ki Shakhsiyat Ahle Sunnat Ki Nazar Mein (12 MB)

Read Online

Download

Min-Jaanib: Abdullah Islam

Tinyurl.com/raddgm

Advertisements

Report this ad Report this ad

Share this:

 Print  Email  Facebook 9  Twitter  Google

Like
Be the first to like this.

Related

MAIN AHLE HADEES (GAIR MUQALLID) Shab-e-Baraat: Ek Mukhtasar Aadelana wa Aasaar-e-Taaba'een Se Naaf Ke Neechay
KYUN NAHI BANA Tehqeeqi Jaiza Haath Baandhna
In "Bad-Diyaanat Be-Naqab" In "Shab-e-Baraat" In "Haath Bandhna"

This entry was posted in General and tagged Imam Hussain (Radiallahu Anhu), Karbala, Shaheed-e-Karbala, Yazeed, Yazid. Bookmark the permalink.

6 Responses to “Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein

waqas inayat says:


November 27, 2013 at 11:53 pm

mujha ek bt pchni thi iman abu hanifa ny jo yazeed k barha mai kaha tha vo likh dy yaha plzzzzzz

Privacy & Cookies: This site uses cookies. By continuing to use this website, you agree to their use.
To find out more, including how to control cookies, see here: Cookie Policy
Al-Islam says:
November 29, 2013 at 8:51 pm Close and accept

https://raddeghairmuqallidiyat.wordpress.com/2013/11/16/yazeed-aslaf-e-ummat-wa-akabireen-ahle-sunnat-wal-jamat-ki-nazar-mein/ 3/4
10/2/2018 “Yazeed” Aslaf-e-Ummat Wa Akabireen Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Nazar Mein | Radd-e-Ghairmuqallidiyat

Bhai Yazeed ke silsile se Imam Abu Hanifa (rah) koi qaul mere nazar se nahi guzra. Wallahu Alam.

waqas inayat says:


November 29, 2013 at 10:53 pm

Bhai magr mai ny suna hai k Iman Abu Hanifa (rah) ny 5 Logo k barha mai chup rhny ka kaha hai un mai yazeed ka nam b
hai yah bt sahi hai kya.? agr sahi hai to ks waja se kahi hai….

Al-Islam says:
November 30, 2013 at 2:15 pm

Mujhe nahi maloom bhai ke uhone kab aisa kaha. Wallahu Alam.

waqas inayat says:


November 29, 2013 at 10:54 pm

OR ASALAM O ALAIKUM

Al-Islam says:
November 30, 2013 at 2:14 pm

Wasalamu’alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh

Radd-e-Ghairmuqallidiyat
Blog at WordPress.com.

Privacy & Cookies: This site uses cookies. By continuing to use this website, you agree to their use.
To find out more, including how to control cookies, see here: Cookie Policy

Close and accept

https://raddeghairmuqallidiyat.wordpress.com/2013/11/16/yazeed-aslaf-e-ummat-wa-akabireen-ahle-sunnat-wal-jamat-ki-nazar-mein/ 4/4

Вам также может понравиться