Вы находитесь на странице: 1из 4

Om

Audio Pilot

[Sound of whistling & clapping as crowd going frenzy while shouting…]

Crowd
Shaahid…Shaahid…Shaahid…Shaahid….

[And voice of anouncer can be heard through this cheering crowd…]

Anouncer
Meharbaan…Kadardaan…Sahebaan…Bas apna dil thaam kar rakhiye…Thoda intezaar aur fir
aapke saamne aane wale hain…Humare dilon ke sartaaz…Young, dynamic & sensational
Prince of Bhangra pop !!...One & only one Shaahid Dhawan !!

[Loud and roaring music of gitar & drums…And then v/o takes over…]

[V/O] Ye jawan dilon ka shor hai; Dilli ke Jawahar Lal Nehru Stadium ka…Jahan aaj Common
Wealth Games ki opening ki jagmagati shaam hai…Lekin ye josh, ye junoon sirf stadium tak hi
nahi hai…Balki ye paagalpan Punjab ke Amritsar ke paas base ek chhote se shahar Batala me
bhi hai jahan Money Singh ke ghar me TV ke samne bheed jama ho rakhi hai…

Tony
Chalo Waahe Guru di mehar…Money Singh tere ghar me TV hai…Warna to by God ki saun,
Amritsar jaana padta Shaahid Paaji ka programme dekhne !!

Money Singh
Oye Tony mere yaar…Sirf rookha sookha Programme nahi…sath mein chicken, paneer, beer
bhee hai… …abbey money singh kaa ghar hai yeh….

[All friends cheer all togather…And the v/o takes over]

[V/O] Money Singh…Ameer dil ka gareeb shahzada…Use khushiyan baantne,


muskarahtein batorne me bahut maza aata hai… Mohalley wale Kehte hain ki Money
Singh ka naam Money Singh aise hi nahi pada kyonki Money Singh ke paas paisa kahan se aata
hai, ye ya to Money Singh jaanta hai ya fir uski Maa… Kissey mashhoor hain kee Money Singh
ka Baap bachpan mein unhe chhod kar chala gaya tha par aaj voh bahut badaa aadmi hai aur
wahi unhe kharche paani ke paise bhijwata rahta hai jisse unka ghar chalta hai. Money Singh
ko ye bilkul pasand nahi par uski Maa use humesha samjha le jaati hai...Lekin Money Singh
apne Baap ka naam kabhi apni honthon pe nahi laata kyonki anath hone ka dard sirf wahi
mehsoos kar sakta hai…

[Song “Tujhse naraaz nahi zindagi hairan hu…plays in the b/g…]

[And then same noise of cheering, whistling & clapping again in the b/g…V/O takes over
again…]
[V/O] To ye ho gaya introduction humare Money Singh ka…Chaliye ab aapko wapas liye
chalte hain stadium ki gahma-gahmi me jahan stage pe kuchh halchal hui hai…Aur usi ke
sath ab tak shant pada josh aur junoon wapas se jaag pada hai…[Sound of cheering &
cheering intensifies]
Aur dhamake ke sath Shaahid ki stage pe entry hoti hai…[Sound effects of loud music &
thunderous cheering]… Lekin stage ke peechhe make up room me nazara kuchh aur hi hai…

Mr Dhawan
[Angrily]
Suhana dammit !! Shaahid is drunk…Maine strictly warn kiya tha ki performance ke time use
nashe se door rakho…

Suhana
Sir, He is your son… voh aapka beta hai…..Jab vo aapki nahi sunta to humari kahan se
sunega ??

Mr Dhawan
Oh God…Ab pata nahi kaun sa kaand karega vo ??

[Heavy sound of falling something…& breaking…Screams of crowd & stampede like


situations…]
Mr Dhawan
Lo jee… fail gayaa raayta….!!!

[V/O] Shahid…Superstar Shaahid…Bhangra Pop ka prince Shaahid…Laakhon dilon ki dhadkan


Shaahid…Ab vo ek monster ban chuka hai…Success ne use aise paagal kiya hai ki vo apne hi
programme ko barbad kar deta hai… sharaab peekar aata hai… nashaa karta hai……kisi ko
kuchh nahi samjhta...!! aaj bhee usne wahi kiya hai!!!

Mr Dhawan
Shaahid enough !!... Tumne poora programme chaupat kar daala…

Shaahid
[Puts an act like small kid who gets scared at mention of his father]
Ale Dad gussa hain?...ab to mujhe daant palegi…maal bhi khani palegi…maine shaitani jo ki
hai…
[And then he laughs out loud at his own act]
Aapko kya lagta hai main chhota bachcha hu…aapse darta hu…Shaahid kisi se nahi
darta, apne Baap se bhi nahi… Fees badhaani hai mujhe….. Suhana tum manager ho
meri…. Mere baap kee mat suno…. 21 din baad hone wali Common Wealth Games ki
closing ceremony me gaane ke liye mujhe 5 guna fees chahiye….

Suhana
Par shaahid tumne contract sign kiya hai…. Agle 2 saal tak hum paise nahin badhaa sakte….

Shaahid
Fair enough… aaj tak main apne gaane khudh likhta, compose karta aur gaata thaa….. aaj
ke baad sirf gaaongaa…. Naa likhoongaa naa compose karoonga….. Contract gaane kaa hai
naa… Jaao pehle gaane leker aaoo…. Agar pasand aayega toh gaa doonga…

VO :Mr Dhawan aur Suhana ko uski manmarzi ke samne jhukna padta hai. Aur ab unke liye
sabse badi mushkil ye ki gaana likhne wala kahan se dhoodhe?

[Voice of Money Singh humming some lines of poem…]

Money Singh
Na Waade karaan
Na kasmaan khanwaan
Je tere bina jyon di main sochan
…Te marjawan !!

Money Singh’s Mother


Money tu bas aise gaane likh likh ke diary bharte rahna aur yehin Batala me zindagi barbad
kar lena… Are aaj stage pe tujhe hona chahiye tha na ki tere sautele Bhai Shaahid ko…Lekin
tera Baap to hume chhod kar chala gaya aur bana diya apnee doosree aulaad ko superstar !!

Money Singh
Maa, Papa ne use superstar isliye banaaya kyonki vo iske laayak hai…main sirf Gaana likh
sakta hu…uski tarah gaana gaa nahi sakta !!

Mother
Gaa nahi sakta ya fir gaana nahi chahta ??

[V/O] Maa ke sawal ko Money Singh taal gaya…Vo gaata to achcha tha lekin usme confidence
nahi tha. Aur waise bhi apne shahar ko chhod kar jaane ka na uska koi sapna tha aur na uski
koi chaahat…Lekin fir kismat Money Singh ke darwaje pe knock karti hai. Mr Dhawan ab tak
apne chhote bete Shaahid ki success ki chaka-chaundh me aise khoye the ki unhe apne bade
bete Money Singh ka talent kabhi dikha hi nahi…Lekin fir jab unki nazar Money Singh ke likhe
gaanon pe padti hai, unhe Shaahid ko control karne ka rasta mil jaata hai…Vo Suhana ko
Money Singh se milne bhejta hai…. Suhana money se milne uske ghar pahunchti hai par pataa
chaltaa hai kee money apne dost Tony kee shaadi mein gayaa hai…. Suhana Tony kee shaadi
mein pahunchtee hai aur Money kaa asli hunar tab dekhti hai jab voh ussey gaana gaate
dekhti hai…..

Money singing : Ek Kudee…. Jidda naam mohabbat…. Gum hai…!!!

[V/O] Money Singh ke songs ke sath sath uski awaj me bhi ek kashish hai…ek innocence
hai…ek originality hai…Uska confidence low hai lekin vo jab gaata hai to awaj dil se nikalti
hai…Suhana ko Shaahid ka vikalp mil jaata hai. Vo Money Singh ko gaana likhne ka offer deti
hai. Maa bhi use push karti hai lekin Money Singh samjh nahi paa raha ki vo kya kare? Vo apna
shahar, apne log chhod kar jaana nahi chahta… khaas karke uss baap ke paas jisne sirf kuch
paise har mahine bhejh kar ussey aur uskee maa se picha chudhaa liyaa thaa…. Par Money
haan keh deta hai….. Ananya ke liye…. Ananya Sehgal… Money kee zindagi kaa pehla
pyaar…. Voh ladkee jo 5 saal pehle delhi shift ho gayee thee aur aaj Shahid ke musical group
mein dancer hai…. Money ko lagtaa hai shaayad yehi mauka hai ek baar fir Ananya ke kareeb
pahunchne kaa…. Ussey apne dil kee baat kehne kaa….

[V/O] And iss tereh it’s start of a war…Do Bhai maidan me ek doosre ke aamne samne…Aur
unhe wahan lekar aata hai, khud unka Baap; Mr Dhawan…Unke liye relationships, emotions
kuchh matter nahi karta, agar kuchh matter karta hai to vo hai power…apne bete ko mutthi
me rakhne ki power…Lekin Shaahid apne Baap ki chalaaki samjhta hai ki vo kis maksad se do
sautele Bhaiyon ko aamne samne khada kar raha hai. Isliye vo pehle din se Money Singh ka
jeena haraam kar deta hai. Vo uske likhe har gaane ko faad deta hai… uskee beizzati karta
hai….. Vo kuchh bhi karke use bhagaana chahta hai…Lekin Money Singh uski har badtameeji
ke samne tika rahta hai…Aur fir Games ki closing ceremony wali raat Shaahid finally gaane se
mana kar deta hai. Shaahid ko lagta hai ki ye daanv usne khela tha lekin use ye pata nahi ki vo
Suhana thi jo use khel rahi thi…Suhana chaahtee thee kee shahid badtameezi kare….. gaane
se mana kare…Shaahid ne use vo mauka de diya thaa aur vo iss mauke ke liye pehle se taiyar
thee. Vo Money Singh ke ander confidence paida karti hai ki Shaahid ki jagah Money perform
karne jaaye…

VO : Bas yehi se Game badal jaata hai…… ye mauka Money Singh ko raaton raat us aasman
me pahucha deta hai jahan pehle Shaahid tha...Shaahid ko apni galti ka ehsaas hota hai lekin
tab tak der ho chuki hai…Shaahid aur Money ke liye duniya badal chuki hoti hai lekin Mr
Dhawan ke liye kuchh nahi badlta…Vo kal bhi star father the, vo aaj bhi star father hain…

[V/O] Lekin ye ghatna Shaahid ko tod kar rakh deti hai...5 Saal ki umar se vo apne jis Baap ke
liye jagraate me gaane gaaya karta tha, aaj usne ek jhatke me anath kar diya…Ek Baap ne apni
ambition ke liye do Bhayiyon me nafrat ka zahar ghol diya. Aur anjaane me sahi Suhana ne
bhi isme sath diya… Shahid decide kar leta hai kee voh Money ko barbaad kar degaa…. Apne
sautele bhai se vog sab kuch cheen lega jo uska thaa….

VO : Kehte hain music dilon ko jodta hai…pyar baantata hai…Aur Money apne usi pyar Ananya
ki talaash me yahan aaya tha…Vo use collage ke dinon se chahta tha…lekin ananya sapnon ki
talaash me uske pyar ko thukra kar yahan chali aayi thi…Aur aaj success ke is mukaam pe
Ananya fir use wapas mili thi…

[V/O] Love…Hatred…and Music ke stage pe do Bhai aaj ek doosre ke aamne samne hai...Aur
ek dangerous game…jisme pyar ke samne dhokha hai…rishte ke samne fareb…Money ko nahi
pata vo jis Ananya ko apna pyar samjh raha hai, vo Shaahid ka plant kiya hua vo mohra hai jo
ussey success aur paise ki chamak me fansa kar barbad karne aayi hai… Idhar Suhana jisne har
level par Money kaa saath diya ussey shaahid ke saamne Star banaaya, voh bhee Money se
pyar karne lagtee hai… Aise me Money uske sachche pyar ko samjhega ya fir Ananya ke fareb
me fansa apni barbadi ki oar jaayega ?... “Deewana Dil” Kahaani hai ambition kee… Junoon
kee… 1 baap ke apne hee beton ke khilaaf shadyantra kee… 2 bhaiyon ke nafrat kee aur in
sabke beech panapti ek prem kahaani kee….

Вам также может понравиться