Вы находитесь на странице: 1из 8

ISLAM KI RAH

TAHAJJUD KI NAMAZ PADHNAY KA SAHEEH TARIKA

Sajad Bakshi

3 years ago

Advertisements

NAMAZ-E TAHAJJUD:

———————————————

Is Ko Raat Ki Namaz Bhi Kehtay Hain. Mahi Ramazan Me Ye Namaz Taraweeh Kai Naam Se Jaani Jati Hai.
Darasal Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain.
Ye Namaz Agarchi Nafil Hai Lekin Fazilat Kai Aaitibar Se Is Kai Padhnay Me Kafi Sawaab Hai.

TAHAJJUD KI FAZILAT:

———————————————

Hazrat Abu Umama (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:

“Tahajjud Zarur Padha Karo, Kyunki Woh Tumse Pehlay Nek Logon Ka Tarika Hai, Aur Tumharay Liye
Allah Kai Kareeb Ka Sabab Hai, Burayon Se Door Honay Ka Zariya Hai Aur Gunahon Se Baaz Rakhnay
Wala Amal Hai.”

Hazrat Bilal (R.A) Se Bhi Isi M’ana Me Hadees Marvi Hai.

(Ibn Khuzaymah, Hadees: 1135)

(Tirmizi, Hadees: 3549)

(Bayhaqi, 2/502)

Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya Allah Ta’ala Raat Kai Pichlay Pehar (Yaani Eak Tihaayi Raat Ko) Aasman-
e Duniya Par Tashreef Latay Hain Aur Farmatay Hain Ki:

“Me Badsha Hu’n Jo Mujhay Pukaray Ga Me Is Ki Dua Qabool Karunga, Jo Mugh Se Maangay Ga Me Isay
Ata Karunga, Jo Mugh Se Bakshish Talab Karega Me Isay Baksh Dunga Aur Allah Ta’ala Fajr Roshan
Honay Tak Isi Tarah Rehtay Hain.”
(Bukhari, Hadees: 1145)

(Muslim, Hadees: 758)

(Abu Da’wud, Hadees: 1315)

Hazrat Abu Hurairah (R.A) Kehtay Hain Me Ne Rasoolullah (S.A.W) Se Suna Aap (S.A.W) Farmatay Thay:

“Farz Namaz Kai Baad Sab Namazon Se Afzal, Tahajjud Ki Namaz Hai.”

(Muslim, Hadees: 1163)

NAMAZ-E TAHAJJUD KAI LIYE NIYYAT:

———————————————

Rasoolullah (S.A.W) Farmatay Hain:

{Inna Mal-A’maalu Bin-Niyyaati}

“Amalo’n Ka Daromadar Niyyaton Par Hai.”

(Bukhari, Hadees: 1, 54, 2529, 3898, 5070, 2520, 6689, 6953)

(Muslim, Hadees: 1907)

Wazu Kartay Waqt Dil Me Ye Niyyat Karen Ki Allah Kai Huzoor (Namaz Me) Hazir Honay Kai Liye Taharat
(Wazu) Karnay Laga Hu’n Aur Phir Jab Namaz Padhnay Lagain To Dil Me Ye Qasad Aur Niyyat Karen Ki
Sirf Allah Hi Ki Khushnoodi Kai Liye Us Ka Hukum Baja Lata Hu’n.

Niyyat Chunki Dil Se Taaluq Rakhti Hai Is Liye Zuban Se Ada Karnay Ki Koi Zarurat Nahe Aur Niyyat Ka
Zuban Se Ada Karna Rasoolullah (S.A.W) Ki Sunnat Aur Sahaba (R.A) Kai Amal Se Sabit Nahe Hai.

NEEND SE JAAGTAY WAQT PADHAIN:

———————————————

Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Jab Raat Ko (Bistar Se Tahajjud Kai Liye) Uthtay
To (Ye) Padhtay:
“Allahu Akbaru” Dus Baar (10), “Alhamdulilahi” Dus Baar, “Subhanallahi Wa Bihamdihi” Dus Baar,
“Subhan-al Malikil Quddoosi” Dus Baar, “Astagfirullaha” Dus Baar, “La Ilaha Illallahu” Dus Baar, Aur Phir
“Allahumma Auzubika Min Deeqid Dunya Wa Deeqi Yaumil Qiyamati” Dus Baar. Phir Kehhtay “Allahum
Magfirli Wahdini Warzukni Wa Aafini” Phir (Wazu Wagaira Karkay) Tahajjud Shuru Kartay.

TARJUMA (Translation):

“Allah Sab Se Bada Hai, Sari Tareef Allah Kai Liye Hai, Allah Apni Tareef Samait (Har Aib Se) Pak Hai, Me
Nihayat Hi Pakeeza Badsha Ki Paki Bayan Karta Hu’n, Me Allah Se Bakshish Talab Karta Hu’n, Allah Kai
Siwa Koi (Sacha) Mabood Nahe, Aay Allah! Me Duniya Wa Aakhirat Ki Tanghiyon Se Teri Panah Maangta
Hu’n. Aay Allah! Mujhay Muaf Farma, Mujhay Hidayat Ata Kar, Mujhay Rizq De Aur Aafiyat Se Nawaaz.”

(Abu Da’wud, Hadees: 5085, 766)

(Ibn Hibban, Hadees: 649)

RASOOLULLAH (S.A.W) KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT:

———————————————

Hazrat Huzaifa (R.A) Ne Nabi (S.A.W) Ko Tahajjud Padhtay Dekha. Wo Kehtay Hain Surah Fatiha Kai Baad
Aap (S.A.W) Ne Surah Baqara Padhi. Phir Roku Kiya. Aap (S.A.W) Ka Roku Aap (S.A.W) Kai Qiyam Ki
Manind Tha. (Yaani Qiyam Ki Tarah Roku Bhi Kafi Taveel Kiya). Phir Aap (S.A.W) Ne Roku Se Sar Uthaya.
Aap (S.A.W) Ka Qoma Aap (S.A.W) Kai Roku Ki Manind Tha (Yaani Roku Ki Tarah Qoma Bhi Kafi Lamba
Kiya) Aap (S.A.W) Ka Sajdah Aap (S.A.W) Kai Qomay Ki Manind Tha (Yaani Qomay Ki Tarah Sajdah Bhi
Kafi Lamba Kiya). Aap (S.A.W) Dono Sajdo Kai Darmiyan (Jalsa Me) Aapnay Sajde Ki Manind Baithay Thay
(Yaani Sajde Ki Tarah Jalsa Me Bhi Der Lagai Aur Khub Itminan Kiya). Pas Aap (S.A.W) Ne Char (4)
Rakaton Me Surah Baqara, Surah Aal-E-Imran, Surah Nisa Aur Surah Maeda Padhain.

(Abu Da’wud, Hadees: 874)

Nabi (S.A.W) Ne Farmaya:

“Jo Shakhs Raat Kai Nawafil Me Do Sou (200) Aayaat Tilawat Karta Hai Wo Ita’at Guzaar Mukhlis Logon
Me Shumar Hota Hai.”

(Sunan Darmi, Hadees: 3451)

Nabi (S.A.W), Sari Raat Nafil Nahen Padhtay Thay.

(Muslim, Hadees: 746)


TAHAJJUD ME KIS TARAH SE QIRAAT KARAY:

———————————————

Rasoolullah (S.A.W) Raat Kai Nawafil Me Kabhi Siri (Aahista) Aur Kabhi Jehri (Buland Aawaz Se) Qiraat
Farmatay.

(Tirmizi, Hadees: 449)

(Ibn Majah, Hadees: 1354)

Dono Tarah Nabi (S.A.W) Se Sabit Hai. Jaisa Ki Eak Riwayat Me Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki:

“Baaz Auqaat Aap (S.A.W) Siri Qiraat Farmatay Aur Baaz Auqaat Jehri Qiraat Farmatay.”

(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1274)

(Tirmizi, Hadees: 2924)

(Nasa’i: 1/99)

TAHAJJUD PADHNAY KA WAQT:

———————————————

Tahajjud Ka Waqt Isha Kai Baad Se Fajr Tak Hai.

(Bukhari, Hadees: 626)

(Muslim, Hadees: 736)

Albatta Afzal Raat Ka Aakhri Waqt Hai Jaisa Ki Hazrat Jabir (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne
Farmaya:

“Bilashuba Raat Kai Aakri Hissay Ki Namaz Me (Farishton Ko) Hazir Kiya Jata Hai Aur Wahi Afzal Hai.”

(Muslim, Hadees: 755)

(Tirmizi, Hadees: 455)

(Ibn Majah, Hadees: 1187)


TAHAJJUD KI NAMAZ KA TARIKA:

———————————————

Sahi Muslim Ki Riwayat Me Hai Ki:

“Aap (S.A.W) Tahajjud Padhtay Huway Har Do (2) Rakaton Me Salaam Phairtay Thay.”

(Muslim, Hadees: 736)

Hazrat Ibn Umar (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:

“Raat Ki Namaz Do (2) Do (2) Rakat Ki Surat Me Padhi Jaye.”

(Bukhari, Hadees: 990)

(Muslim, Hadees: 749)

(Abu Da’wud, Hadees: 1326)

Aap (S.A.W) Qiyamul Lail Me Gyarah (11) Rakatain Padhtay Aur In Me Aath (8) Rakatain Tahajjud Hoti
Aur Teen (3) Rakatain Witr Hoti Thi Aur Kabhi Terah (13) Rakatain Bhi Padhtay Aur In Me Aath (8)
Rakatain Tahajjud Hoti Aur Panch (5) Rakatain Witr Hoti Jaisa Ki Hadees Se Sabit Hai.

Rasoolullah (S.A.W) Ka Bil Amoom Witr Padhnay Ka Tarika, Hazrat Aaisha (R.A) Yu’n Bayan Farmati Hain
Ki:

“Nabi (S.A.W) Namaz-e Isha Se Fajr Tak Gyarah (11) Rakatain Padhtay. Har Do (2) Rakaton Kai Par Salaam
Phairtay Aur Eak Rakat Witr Padhtay.”

(Muslim, Hadees: 736)

Hazrat Ibn Umar (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Witr Ki Do (2) Aur Eak (1) Rakat Me
Salaam Se Fasl Kartay.

(Ibn Hibban, Hadees: 678)

Yaani Teen (3) Witr Is Tarah Padhtay Ki Do (2) Rakaat Padh Kar Salaam Phairtay Aur Phir Uthkar Teesri
(3) Rakaat Alag Padhtay.
Hazrat Aaisha (R.A) Se Marvi Hai Ki:

“Rasoolullah (S.A.W) Raat Ko Terah (13) Rakaat Namaz Ada Farmatay In Me Panch (5) Witr Hotay Thay
Aur In Pancho (5) Witron Me Tashahud Kai Liye Sirf Aakhri Rakaat Me Baithtay.”

(Muslim, Hadees: 737)

(Abu Da’wud, Hadees: 1338)

(Tirmizi, Hadees: 459)

Aksar Auqaat Aap (S.A.W) Gyarah (11) Rakaat Qiyamul Lail Ada Farmatay Balki Aksar Auqaat Aap (S.A.W)
Ka Yahi Mamool Tha.

Hazrat Aaisha Siddiqa (R.A) Se Marvi Hai Ki:

“Ramazan Aur Ghair Ramazan Me Nabi (S.A.W Raat Ki Namaz) Gyarah (11) Rakaton Se Zyada Nahe
Padhtay Thay.”

(Bukhari, Hadees: 1147)

(Muslim, Hadees: 738)

(Abu Da’wud, Hadees: 1341)

‫ کتاب التہجد باب قیام النبّی باللیل فی رمضان وغیرہ‬3/33 ‫فتح الباری‬

Is Hadees Se Ye Maloom Hua Ki Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai
Mukhtalif Naam Hain.

Hazrat Umar (R.A) Ne Ubay Bin Ka’ab Aur Hazrat Tamim Dari (R.A) Ko Mahi Ramazan Me Gyarah (11)
Rakaat Hi Padhnay Ka Hukum Kiya.

‫ باب ماجاء فی قیام رمضان‬-100‫موطا امام مالک ص‬

Isi Tarah Ibn Imam Khuzaymah (Rahimahullah) Ne Hazrat Jabir (R.A) Ki Riwayat Se Hadees Layi Hai Ki
Nabi-e Kareem (S.A.W) Ne Ham Ko Mahi Ramazan Me Aath (8) Rakaat Padhaye Phir Witr Padhi.

‫ باب ذکر دلیل بان الوتر لیس بفرض‬2/138 ‫صحیح ابن خزیمہ‬
Namaz-e Tahajjud Padhnay Wala, Witr Ki Namaz Muakhar Karay Aur Tahajjud Ada Karnay Kai Baad Hi
Padhay.

Namaz-e Witr Darasal Raat Ki Namaz Hai Jo Tahajjud Kai Sath Milakar Padhi Jati Hai. Jo Loog Raat Ko
Uthnay Kai Aadi Na Ho’n Wo Witr Bhi Isha Namaz Kai Sath Hi Padh Saktay Hain.

Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:

“Jisay Khatra Ho Ki Raat Kai Aakhri Hissay Me Nahe Uth Sakay Ga Wo Aw’wal Shab Hi Witr Padh Lay.”

(Muslim, Hadees: 755)

Namaz-e Witr Se Mutaliq Mazeed Tafsilaat Kai Liye Aap Website Par Namaz-e Witr Se Mutaliq Mauzu’n
(Topic) Ko Bhi Zaroor Padhay.

WITR KI NAMAZ PADNAY KA SAHEEH TARIKA

POSTED BY: SAJAD BAKSHI

———————————————

Advertisements

Categories: NAMAZ KI KITAAB

Tags: NAMAZ-E TAHAJJUD KA BAYAN, TAHAJJUD KI NAMAZ PADHNAY KA SAHEEH TARIKA

ISLAM KI RAH

Blog at WordPress.com.

Back to top

Advertisements

Вам также может понравиться