Вы находитесь на странице: 1из 7

Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.

com/2120-2/

taweeztalisman.com

Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The


Taweez Encyclopedia
admin
7-9 minutes

Tareeqa e Zakaat Mashaikh e Qadria Barkatiya Razviya

E’tesaam

Nad e Ali Shareef

Ekhtetaam

Ahbaab ki farmaish par nad e ali shareef ki zakaat ka asaan


tareeqa naqal karta ho is tareeqe se zakaat ada karne par aamil
mustajaab ud dawaat hoga aur har jayez maqsadke liye jab bhi
padhega baab e istejabaat ko khula payega har qism ka jadu seher
sifli wa alvi ka ilaaj karsakega, kisi aadi mushkil mein wird karega
toh mushkil khud mushkil mein padhjayegi, hajatmando ko is ka
naqsh jis maqsad keliye likh kar dega ineh kamiyaabi milegi,

1 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

jismani amraaz walo ko shifa milegi dardmando ko dawa milegi,


nad e ali Shareef ka aamil apni qismat par naaz karega isey kisi
mahaaz par nakamiyo ka munh nahi dekhna padhega, is ke
dushman zaleel o khwar honge jaadu toney seher se hifazat rahegi,
har haajat ghaib se poori hojaya karegi, nad e ali Shareef ki zakaat
ka yeh tareeqa darmiyana hai lekin mubtdai hazraat ke liye umda
aur asaan yeh tareeqa hamare mashaikh qadriya barkatiya
razvaiya kemamoolat mein raha awwal ijaazat kisi saheb e majaz
se haasil kare phir tarke jamaali ke saath budh ya jumerat se shuru
kare baad namaz e fajar ka waqt munasib hai chahaar qul wa ayat
al kursi padh kar apna hisaar kare 3 din 4000 martaba nisaab ki
niyat se padhe yeh kul 12000 baar huye aur is ki nisaab hamare
mashaikh ne itni hi muqarrar farmayi, phir zakaat ki niyat se
chauthe aur paanchve din 3000 martaba padhe yeh nisaab ka nisf
hua aur iski zakaat itni hi tehri ab chatey aur aakhri din qufl ki niyat
se 1500 martaba padh kar khatam kare rozana Nad e Ali shareef
se qabl 110 martaba durood e ghousia aur 10 martaba etesaam
padhkar nad e ali shuru kare tadaad mukammal hone par 10
martaba ekhtetaam aur 110 martaba durood e ghousia padhna hai,
chatey din hasb e taufeeq niyaaz Maula e Kayenaat Hazrat Ali Sher
e Khuda karam allahu wajhul kareem ki dila kar bacho mein
taqseem kare, ab aamil Nad e Ali Shareef ke hogaye isey baaqi
rakhne ke liye, balke is mein mazeed tarqi ke liye 110 martaba ma’a
etesaam o ekhtetaam rozana padhte rahe madawamat ke liye ab 3
martaba durood e ghousia aur ek martaba etesaam 110 martaba
nad e ali martaba ek martaba ekhtetaam aur 3 martaba durood e
ghousia padha kare, dauraan e zakaat parhez e jalali jamali lazmi
hai aur jo tadaat zakaat ki mazkoor huyi asaani ke liye isey tarteeb
waar likh deta hu.

2 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

Tadaad e Nisaab o Zakaat Nad e Ali Shareef

Pehle din ———— 4000 martaba

Dusre Din ————-4000 martaba

Teesre Din ————- 4000 martaba

Chauthe Din ———– 3000 martaba

Paanchve Din ———— 3000 martaba

Chatey Din ————- 1500 martaba

Ahbab is zakaat ki adayegi se qabl ijazat zaroor hasil kare takey


aap ki mehnat rayega na jaye aur kisi qism ka zarar na pahunche
aamil banne ke baad aap rad e seher, dafa e aaseb ke liye
mareezo ko Naqsh e Saifi likh kar desakte hai, is naqsh ko mazeed
qawi ul asar banane ke liye iski zakaat bhi ada karle toh behtar hai,
yeh naqsh sainkado masayil mein tanha kaafi hai faqeer ne issye
beshumar kaam liye aur ahbaab ko bhi issey kaam lene ke
mukhtalif tareeqe naqal karwaye yaha nad e ali shareef ka naqsh e
musallas aur murabba haazir karta ho ineh mamool banaya jaye
musallas rad e seher waghaira mein jalane ke liye istemaal karaye,
barbaadi e dushman ke liye qabar mein dafan karwaye aur deegar
maqasid mein apne sawabdeed par likh karde aur murabba hifazat
az dushmanaan o nazr e bad ke liye likh de seher zada ko peene
ke liye diya kare is ke saath mansab aayat ka bhi izafa karsakte
hai.

Naqsh e Musallas Nad e Ali ka yeh hai

3 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

Naqsh e Murabba Nad e Ali ka yeh hai

Mashoor e Zamana Naqsh e Saifi yeh hai

Tareeqa e Zakaat Nad e Ali deegar

Nad e ali Shareef ki zakat ka ek dusra tareeqa yeh hai ke isey 40


dino mein 1.25 lakh martaba padh kar khatam kare is mein parhez
e jamali kare rozana 3125 martaba isi sabeqa tareeqa se padhna
hai is zakaat ko ada karne ke baad agar kabhi khuda na khwasta
chand dino ke liye madawamat tark hojaye jab bhi amal qayam
rehta hai albatta bila waja aur shadeed harj ke madawamat tark
karna mehroomi ka sabab ban sakta hai.

4 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

Tareeqa e Zakaat nad e ali Shareef deegar

Yeh zakaat 1.25 lakh zakaat se umada aur meri pasand deeda
zakaat hai is zakaat mein ziyarat e Maula e Kayenaat Hazrat Ali
Sher e Khuda karam allahu wajhul kareem ki batareeq manaam
hojaati hai is ka yeh ma’ney na liya jaye ke pichli do zakato mein
ziyarat nahi hosakti. Dauraan e zakaat aamil ko khwab mein
basharatien hoti hai aur sache khwab dekhte hai mein samajhta ho
agar kisi ne is amal ko paar lagaliya toh isey rad e seher waghaira
ke liye kisi dusre amal ki zaruat pesh nahi aayegi aur saari
zaruration ghaib se poori hoti rahegi is zakaat ke usool wahi hai jo
pehle mazkoor huye yaani parhez e jamali waghaira bas is mein
itna izaafa agar hosake toh kare ke dauran e chilla mukammal
khamooshi ekhtiyaar kare aur likh kar ya ishare se baat kare awwal
toh baat karni ki naubat hi nahi aayegi kyun ke jo dil mein khwahish
karega woh chand lamho mein apne samne payega ya is cheez ke
muhiya hone mein itna hi waqt lagega jitna ke darkaar hai, agar
khamoosh rehna msuhkil ho toh kam az kam zarurat ke mutabiq
baat kare yaani kuch mangaana ho ya kisi ko bulana ho waghaira.
Yeh zakaat kibreet e ahmar hai jis ne isey paar lagaliya woh
kamiyaab o kamraan hua aur rozana ki tadaad 5184 martaba 40
dino mein aamil hojayega aur yeh amal ta umr qayam rahega
Inshaa Allah.

Tareeqa e Zakaat Nad e Ali Shareef deegar

Is zakaat mein parhez kuch nahi aur yeh zakaat shaadi shuda
aamileen afraad ke liye bahut umda hai kyun ke shaadi shuda
afraad ko tark e haiwanaat bahut mushkil hota hai isliye apne
ahbaab se kehta hu jawani aur tajarrud ke aala mein jitni riyazat
chaho karlo warna baad ko bahut mushkil hota hai, yeh zakaat 110
dino mein mukammal hoti hai rozna 1100 martaba ki tadaad mein

5 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

Nad e Ali Shareef padha jayega padhne ka tareeqa wahi sabeqa


dauraan e zakat agar safar darpesh ho toh is ka intezaam pehle se
kare shuru din se hi ek musalla is amal ke liye khaas rakhe aur isi
par rozana wazeefa kare jab safar mein jana ho musalla saath le
jaye baad 110 din ke aamil hojayenge phir jisey chahe naqsh likh
kar de paani par dam kare taseer biznillah payenge amal qayam
rakhne ke liye 110 martaba rozana wird mein rakhe ma’a etesaam
o ekhtetaam o durood e ghousia.

Nad e Ali Shareef bataur e wazeefa

Har maqsad mein kamiyaabi, shifaye bimariya chahe kaisa marz


ho, maghloobi e dushman, muqadmaat mein kamiyabi, seher jadu
se hifazat, imtehaan mein kamiyaabi, election mein kamiyabi, jah o
chashmath ka husool, dushman ki zabaan bandi, nazr e bad se
hifazat, qaid se rihayi, dafa e bala, husool e ilm e ladunni gharz ke
kisi bhi nek maqsad o khwahish ke liye bila zakat bhi is ka wird
karne wala na muraad nahi rehta lehaza chahiye ke kisi saheb e
majaaz se ijazat lekar rozana 110 martaba bataur e wazeefa Nad e
Ali Shareef padha kare Inshaa allah muraad ko pahunchega.

Naqshe Musamman Harfi Nad e Ali Shareef

Yeh naqsh upar bayaan huye tamaam maqsad ke liye jumerat ke


din ba sa’at e mushtari zafraan se likhe ya dhaat par kunda karaye
aur iski dusri jaanib Naqsh e Surah ikhlaas ya Naqsh e Surah
Nasar ka harfi banaye toh yeh ek kaamil Loh jumla maqasid ke liye
taiyaar hogi rozi ka mas’ala ho taraqqi e karobaar ya dushman se
hifazat ya jadu ki kaat ka ya dafa e aseb o shayatieen ka sab mein
yaksaa kargar payenge is naqsh ko dukaan o makaan mein
awezaa karna bhi khair o barkat lata hai aamil apne fehem o firasat
ko ba ruye kaar la kar istema karaye.

6 of 7 5/25/2019, 3:27 PM
Nad e Ali Shareef ki Zakaat – The Taweez Encyclopedia about:reader?url=http://taweeztalisman.com/2120-2/

7 of 7 5/25/2019, 3:27 PM

Вам также может понравиться