Вы находитесь на странице: 1из 4

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,

Tumko Nishdin Sevat, Har Vishnu Vidhata.


Om Jai Lakshmi Mata

Uma Rama Bharmani, Tum Hi Jag Mata,


Surya Chandrma Dhyavat Naard Rishee Gata.
Om Jai Lakshmi Mata

Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,


Jo Koi Tum Ko Dhayata, Riddhi Siddhi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Patal Nivasini, Tum Hi Shubh Data,


Karam-Prabhav-Prakashini, Bhav Nidhi Ki Trata.
Om Jai Lakshmi Mata

Jis Ghar Main Tum Rahti, Sub Sadgun Aata,


Sub Sambhav Ho Jata, Man Nahi Ghabrata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Bin Yagya Na Hove, Vastra No Koi Pata,


Khan-Pana Ka Vaibhav, Sub Tumse Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Shubhgun Mandir Sundar, Sheerodadhi Jata,


Ratan Chaturdhsh Tum Bin, Koi Nahi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Mahalakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gata,


Urr Anand Samata, Pap Utar Jata.
Om Jai Lakshmi Mata

Sthir Char Jagat Bchaye Shubh Karam Nar Lata,


Ram Pratap Maiya Ki Shubh Drashti Chahta.
Om Jai Lakshmi Mata
He ann dhan ki maharani Ho jai lakshmi rani
Tujhe ghar ghar puje parani Ho jai lakshmi rani
Tujhe ghar ghar puje parani Ho jai lakshmi rani
Mandir tihara cham cham kare Mandir tihara cham cham kare
Lakho diyo ki jyoti jare Bhakto ka ma bhandar bhare
Hatho se dhan ki barsa kare Bhakto ka ma bhandar bhare
Hatho se dhan ki barsa kare Teri hum pe bhi ho meharbani
Ho jai lakshmi rani He an dhan ki maharani
Ho jai lakshmi rani
Hum mangte ma sona kaha Hum mangte ma chandi kaha
Hum mangte ma sona kaha Hum mangte ma chandi kaha
Hum to fakat bas itna mangte Bhukha na koi soye yaha
Sabki rakhna nijrani Ho jai lakshmi rani
He an dhan ki maharani Ho jai lakshmi rani
Man se jo ma ki puja kare Ma uske sare dukhde hare
Man se jo ma ki puja kare Ma uske sare dukhde hare
Girte haya ki kismat jo mar Chadti kare aur bhadti kare
Hui devi na tujhse ye bani Ho jai lakshmi rani
He an dhan ki maharani Ho jai lakshmi rani
Tujhe ghar ghar puje parani Ho jai lakshmi rani.
hey maha laxmi maa hey maha laxmi maa hey maha laxmi maa
aayi sharan teri rakh laaj meri

tu antaryami dukh jane mere ji ka


mere maathe laga ke aaj kalank ka tika
tu antaryami dukh jane mere ji ka
mere maathe laga ke aaj kalank ka tika
main teri pujaran meri bhakti nirali
main teri pujaran meri bhakti nirali
maa aaj meri ye pukar na jaye khali
kar jode khadi teri shakti badi
kar jode khadi teri shakti badi
tu aaj dikha de mahima
hey maha laxmi maa

mere bhagya pe maiya duniya aaj jali hain


mere punay pe paapi paap ne chaal chali hain
mere bhagya pe maiya duniya aaj jali hain
mere punay pe paapi paap ne chaal chali hain
sansaar ke aage meri aaj pariksha
sansaar ke aage meri aaj pariksha
ab tu hi kar sakti hain raksha
maa paap jhuke aur punay uthe
maa paap jhuke aur punay uthe
tu aaj dikha de mahima
hey maha laxmi maa

Вам также может понравиться