Вы находитесь на странице: 1из 4

Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah Lamha ba Lamha

1876 25, December ko Karachi mein paida hoye.

1882 un ki ibtadaye taleem ka aghaz.

1892 sola 16 sal ki umar mein Matriculation aur Barrister ki taleem kay lia Englistan gaye, London ki mashoor
qanoni darsga Linkan in mein dakhla, Mrs. Dada Bhai Noroje kay election ka hangama aur iss mein Mrs.
Jinnnah ki amli sargarmiyaan. 21 sal ki umar mein Barristeri ka imtehan pass kar kay Karachi wapsi.

1897 kuch arsa Karachi aur phir Bombay mein practice ka aghaz.

1900 Precedence Magistrate Bombay.

1905 Mrs. Dada Bhai Noroje “Congress, Ijlas Kolkata” kay private secratory ki hasiyat say Congress mein
sirkat.

1909 Supreme council kay lia bila mokabla intakhab.

1910 Ijlas Congress ( Allahabad) mein shirkat.

1913 Muslim League mein shirkat.

1913 India Council ki hayat tarkibi per sakht nuqta cheeni.

1914 Congress ki wafad mein shirkat aur London larangi.

1915 mein Congress League kay ittehad kay lia masaye.

1916 All India Muslim League kay Iglas Lukhnow mein shirkat, Misaq-e-lukhnow.

1917 Home Roll League kay sadar ki hasiyat kay Bombay mein hangama parwar taqree.

1918 Congress mein har dil aziz Sir Dinesha Patriot ki sahabzadi Mrs.Rutan Bai Patriot ko musharraf ba Islam
kar kay nikah.

1919 Rowlatt Acts kay khalaf batore ahtajaj Imperial Council say istafa.

1920 Congress say alehdgi.

1921 Bombay mein taqrir, Mr.Gandhi ki siyasi hiqmat amali say sakth ikhtalaf.

1926 Hindo Muslim itehad kay lia aik naya formula pesh kiya. Congress ka inkar.

1927 Kolkata mein Muslim League ka iglas ki Sadarat, Zabardast jado jehad ka aaghaz.

1928 Congress say sakht ikhtalaf.

December 1928 All Party Confrence mein Nehro Report ki sakht mukhalfat.
March 1929 markazi Assembly mein Motilal Nehro say report par jharap Roshan Thator Dehli mein Muslim
Leage ka iglas, 14 nukat ka alaan.

1930 mein pehli Goal Maize Conference ke lia London rawangi.

1930 say 1934 Hindustan ki siasat say aarzi kinara kashi.

1935 Jinnah, Rajandra Prasad formula baraye tasfia huqoq aqliat.

1941: National defense council mein shirkat se inkar aur viceroy ko jawab.

1942: Craps ki tajawiz par izhar e mayosi. (ijlas) Muslim league Allahabad.

1943: Qatilana hamla.

1944 Apirl: Mr. Raj Gopal Acharya taqseem e hind ka aik formula Quaid e Azam ko
bhejte hain.

September: Gandhi Ji se tawil gufto shanid.

1945: Shimla conference.

1946: Markazi aur sobai intekhabat ke leye jid o jehad. Muslim league ki zabardsat kamyabi.

April 1946 : Kabina wafad ka dora e hind aur iss se muzakrat.

May 1946: Kabina wafd ki tajawiz ki manzori.

August 1946 : “Rast iqdam” Muslim league ka naya fasla.

December 1946: Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah ka Sarf e London.

1947 January: kabina tajawiz.

April 1947: Lord Mountbatten ki jado jehad aur Muslim league ka rad e amal.

June 1947: Taqseem e hind ki scheme ka elan.

June 1947 : All India radio nai Delhi se pheli aur akhiri taqrir.

7 August 1947 : Bahesiyat e awal Governor General Mumlikat e Pakistan, safar barae Karachi.

11 August 1947 : Pakistan mein majlis e dastor saz mein khutba e Sadarat.

13 August 1947 : Lord Mountbatten ke ezaz mein Governor General house karachi mein ziyafat. Quaid e
Azam ki taqrir.

14 August 1947: Qayam e Pakistan ka elan.

14 August 1947 : Majlis e dastor saz Pakistan ke iftetah par taqrir.


18 August 1947: Qaum ke naam Eid ka paigham.

25 August 1947 : Karachi corporation ke sheri sipah naame ka jawab.

26 September 1947 : Karachi mein Walika Carkhana parch bani ka iftetah.

11 October 1947 : Civil, Behri aur foji afsaron (Officers) se khidmat e watan ke leye appeal.

24 October 1947: Eid ul Azah ka paigham.

30 October 1947: Punjab university ke medan mein kai lakh admiyon ke majme se khitab aur fasadat se
mutasir musalmaon ko sabr o zabt ki talqeen.

27 November 1947 : Kul Pakistan talimi conference ke iftetah par pegham.

22 December 1947 : Pakistan boys scouts ki tanzeem o tashkil par quomke nonehalon ko pur josh pegham e
amal.

25 December 1947 : Quaid e Azam ki akhiri salgirah.

1948: 21 January Burma ke safir ki taraf se asnad e sifarat pesh karne ki rasam.

23 January 1948 : Behri idara dilawar ki rasme iftetah, foji afsaron se belos khidmat karne ki appeal.

14 February 1948 : Sibi darbar ka iftetah.

24 February 1948 : Oil Mills Karachi ka iftetah. Mulk ko sanati taraqi ki taraf gamzan hone ki talqeen.

1 March 1948 : Dhaka mein 3 lakh admiyon ke majme se khitab.

26 March 1948 : Chatgam mein shehri istaqbal.

1st June 1948 : Pakistan ke phele Olympic games (khelon ) ki rasme iftetah aur pegham.

14 June 1948: Staff College Quetta Pakistan ke afsaron( Officers) se khitab.

1st July 1948 : Bank Dolat Pakistan ki rasme iftetah.

2nd July 1948 : Cinema Karachi mein “hamare darmiyan” naami dastawezi dekhne ke liye
tashrif aawari.

4 July 1948 : Ziyarat (Balochistan) ke liye bagharz e dabdeli e aab o hawa rawangi.

14 August, 1948 : Pakistan ke phele jashan e istaqlala ke muqe par quom ke naam Ziyarat se pegham.

17 August, 1948 : Eid ka paigham.

11 September, 1948: Bahalat e elalat karachi wapsi (6 baje sham).

11 September, 1948: Innalilahi Wa Inna Ilaihe Rajioon (Shab 10 baj kar 25 Minutes par).
12 September 1948: Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah Ki Tadfeen.

Вам также может понравиться