Вы находитесь на странице: 1из 4

❀❀Bismillah Hir-Rahman Nir-Raheem❀❀

Islami Aaqidah

Abu Zaid Zameer Hafidahullah


Bachcho Ki Deeni Taleem Ke Liye Islami Aaqidah Par 32 Sawaal Jawaab

(Romanised By: Syed Ibraheem Salafi)

1. ISLAM KE KITNE ARKAAN HAIN?


Islam ke panch arkaan hai✓
1. Is baat ki gawahi deyna ke Allah ke siwa koi ebadat ke layaq nahi aur Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) Allah ke
Rasool hain.
2. Namaz qayem karna.
3. Zakaat ada karna.
4. Hajj karna.
5. Ramadhan ke roze rakhna.
[Sahih Muslim]

2. EMAAN KE KITNE ARKAAN HAI?


Emaan ke che (6) arkaan hai✓
1. Allah par emaan.
2. Farishton par emaan.
3. Allah ki kitabon par emaan.
4. Allah ke Rasoolon par emaan.
5. Aakhirat ke din par emaan.
6. Taqdeer ki bhalayee aur burayee par emaan
[Sahih Muslim]

3. HUMARA RAB KAUN HAI?


Humara Rab Allah hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Allah tumhara aur tumhare agle tamaam baap dadaon ka Rab hai" [As Saaffaat: 126]

4. HUMEIN KIS KI EBADAT KARNI CHAHIYE?


Humein sirf Allah hi ki ebadat karni chahiye✓
Allah Ta'ala ne farmaya : (Esa Aalahis'Salaam ne kaha) Yaqeen mano mera aur tumhara Rab Allah hi hai tum sab us ki ebadat
karo, yehi seedhi raah hai" [Aal Imran: 51]

5. SAB SE BADA GUNAH KYA HAI?


Shirk sab se bada gunha hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Allah ke sath hargiz shirk na karna, beshak, shirk bada bhari zulm hai" [Al Luqman: 13]

6. KYA SHIRK KA GUNAH BAGAIR TAWBA KE MAAF HO SAKTA HAI?

Nahi, shirk bagair tawba ke maaf nahi hoga✓


Allah Ta'ala ne farmaya: "Allah Ta'ala (is gunah ko) hargiz na bakhshega ke us ke sath shareek muqarrar kiya jaye, han, shirk
ke alawah (gunah) jis ke chahe maaf farma dega, aur Allah ke sath shirk karne wala bahut door ki gumrahi mein jaa pada"
[An Nisa: 116]

7. KIS GUNAH SE SAARI NEKIYAN BARBAAD HO JAATI HAIN?

Shirk se saari nekiyan barbaad ho jaati hain✓


Allah Ta'ala ne farmaya : "(Aye Nabi) yaqeenan Aap ki taraf bhi aur Aap se pehle (ke tamaam Nabiyon) ki taraf bhi wahi ki jaa
chuki hai ke agar tu ne Shirk kiya to bilashuba tere aamal zaya ho jayenge aur bil-yaqeen tu khasara uthane walon mein se ho
jayega" [Az Zumar: 65]

8. ZAMEEN O AASMAAN AUR SAARI CHIZON KO KISNE PAIDA KIYA?


Zameen o aasmaan aur saari chizon ko Allah ne paida kiya hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Keh do ke sirf Allah hi tamaam chizon ka khaliq hai, wo akela hai aur zabardast galib hai"
[Ar Raad: 16]

9. SAJDA KIS KO KARNA CHAHIYE?


Sajda sirf Allah ko karna chahiye✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur din raat aur suraj chand bhi (Allah hi ki) nishaniyon mein se hai, tum na suraj ko sajda karo aur
na chand ko balke us Allah ko sajda karo jisne in sab ko paida kiya hai agar tum waqai us ki bandagi karte ho"
[Al Fussilat: 37]

10. DUA KIS SE KARNI CHAHIYE?


Dua sirf Allah hi se karni chahiye✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Tum Allah ko pukaarte raho us ke liye deen ko khalis kar ke" [Ghafir: 14]

11. HUMEIN KIS SE MADAD MANGNI CHAHIYE?


Humein sirf Allah se madad mangni chahiye✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "(Aye Allah) hum teri hi ebadat karte hain aur tujh se hi madad chahte hain" [Al Fatiha: 5]

12. QURBANI KIS KE LIYE KARNI CHAHIYE?


Qurbani sirf Allah ke liye karna chahiye✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Bas tu apne Rabb ke liye namaz padh aur qurbani kar" [Al Kausar: 2]

13. ALLAH KE NAZDEEK MAQBOOL DEEN KAUNSA HAI?


Allah ke nazdeek maqbool deen sirf Islam hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Beshak Allah Ta'ala ke nazdeek (maqbool) deen Islam hi hai"[Aal e Imran: 19]

14. KYA ISLAM EK MUKAMMAL DEEN HAI?


Han, Islam ek mukammal deen hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Aaj maine tumhare liye tumhare deen ko kamil kar diya aur apni nemat tum par tamaam kar di aur
tumhare liye Islam ke deen hone par razamand ho gaya" [Al Maidah: 3]

15. KUFR KYA HAI?


Allah aur uske Rasool ki baat manney se inkaar kar dena kufr hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Keh dijiye! Ke Allah aur (uske) Rasool ki farmanbardari karo, phir agar ye muh pher len to beshak
Allah Ta'ala kafiro se muhabbat nahi karta" [Aal e Imran: 31]

16. NIFAAQ KYA HAI?


Zubaan se Islam ko manne aur dil se us ka inkaar karne ko nifaaq kehte hai, nifaaq bhi kufr hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Baaz kehte hain ke hum Allah par aur qayamat ke din par emaan rakhte hai, lekin dar haqiqat wo
emaan wale nahi hai, wo Allah Ta'ala aur emaan walon ko dhoka dene ki koshish karte hain, lekin darasal wo kudh apne aap
hi ko dhoka dey rahe hain magar samahjte nahi" [Al Baqarah: 9,8]

17. RASOOL KISE KEHTE HAIN?


Wo nek bande jinhein Allah ne apne deen ka paighaam bhejne ke liye chuna unhein Allah ke Rasool kehte hain, Rasoolon ke
paas Allah Ta'ala ki taraf se Farishte aa kar Allah ka paighaam bhejte thaye✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Yaqinan hum ne Apne Rasoolon ko khuli daleelen dey kar bheja aur un ke sath kitaab aur mezaan
(tarazu) nazil farmaya taake log adl par qayam rahe" [Al Hadeed: 25]

18. SAARE RASOOLON NE KIS CHEEZ KI DAWAT DI?


Saare Rasoolon ne Tawheed ki dawat di✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "(Aye Nabi) Aap se pehle jo bhi Rasool hum ne bheje us ki taraf yehi wahi nazil farmayee ke mere
siwa koi mabood-e-bar'haq nahi, lehaza tum sab Meri hi ebadat karo" [Al Ambiya: 25]

19. ALLAH KE AAKHRI NABI KAUN HAIN?


Allah ke aakhri Nabi Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam hain✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "(Logo) Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) tumhare mardon mein se kisi ke baap nahi balke
(Aap) Allah Ta'ala ke Rasool hain aur tamaam Nabiyon ke Khatim hai" [Al Ahzaab: 40]

20. JO ALLAH AUR USKE RASOOL KI BAAT MAANEY USKO KYA MILEGA?
Jo Allah aur uske Rasool ki baat maaney ussey Jannat milegi✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur jo Allah Ta'ala ki aur uske Rasool ki farmanbardari karega use Allah Ta'ala (aisi) Jannaton mein
dakhil karega jin ke nichey nehren beh rahi hongi, jin mein woh hamesha rahege aur ye bahut badi kaamyaabi hai"
[An Nisa: 13]

21. SAHABA KAUN HAIN?


Jin logon ne Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ko Islam ki halat mein dekha ya Aap ki sohbat ikhtiyaar ki aur maut tak Islam
par qayem rahe unhein Nabi ke Sahaba kehte hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Jin logon ne sabqat ki (yani sab se) pehle (emaan laaye) muhajireen mein se bhi aur Ansaar mein
se bhi aur jinhon ne bhalayee ke sath un ki pairwi ki Allah un sab se raazi huwa aur wo sab us se raazi huwe aur Allah ne un
ke liye aise baghaat muhayya kar rakkhe hain jin ke nichey nehren behti hain, jin mein hamesha rahenge, ye bahut badi
kaamyaabi hai"[At Tawba: 100]

22. RASOOL AUR SAHABA KE RAASTE SE HATNE KA ANJAAM KYA HAI?


Rasool aur Sahaba ke raaste se hatne ka anjaam gumrahi hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Jo shaks hidayat ke wazeh ho jaane ke baad bhi Allah ke Rasool ke khilaaf kare aur tamaam
Momino ki rah chor kar koi aur rah chale, hum use usi ki taraf mod denge jahan wo kudh muda hai aur jahannum mein phenk
dengen, aur wo bahut hi bura thikana hai"[An Nisa: 115]

23. ALLAH KE WALI KAUN HAIN?


Jin logon ka emaan behat qawi hota hai aur wo bahut nek hote hain unhein Allah Ta'ala apna dost bana leta hai, aise bando
ko Allah ka Wali kehte hain, Wali ka martaba Nabi se kam hota hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Yaad rakkho! Allah ke Waliyon par na koi andesha hai aur na wo ghamgeen honge, ye wo log hain
jo emaan laaye aur (buraiyo se) parhez karte rahe"[Younus: 62,63]

24. ILM HASIL KARNE KA KYA FAIDA HAI?


Ilm se insaan sahih aur ghalat mein farq kar sakta hai, Allah Ta'ala ke nazdeek ilm walon ka martaba dosron se ziyada hota
hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Allah Ta'ala tum mein se un logon ke jo emaan laaye hain aur jo ilm diye gaye hain darjaat buland
kar deyga"[Al Mujadilah: 11]

25. ILM WALON KI KYA FAZILAT HAI?


Ilm wale zameen par Allah ki Tawheed ke gawah hain, ilm walon ka martaba itna ooncha hai ke Allah Ta'ala ne un ki gawahi
ko Apni aur Farishton ki gawahiyon ke sath zikr kiya hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Allah Ta'ala, Farishte aur Ahle Ilm is baat ki gawahi deyte hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi,
wo adl ko qayem rakhne wala hai, Us galib aur hikmat wale ke siwa koi ebadat ke layeq nahi"[Aal e Imran: 18]

26. DOSRON KO DEEN KI DAWAT DEYNE KI KYA FAZILAT HAI?


Dosron ko Deen ki dawat deyna sab se achchi baat hai, is se aamal sikhaney wale ko bhi aamal karne walon ki tarha sawaab
milta hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: Aur us se ziyada achchi baat wala kaun hai jo Allah ki taraf bulaye aur (khud bhi) nek kaam kare aur
kahe ke main yaqinan Musalmanon mein se hun"[Al Fussilaat: 33]
27. HIDAYAT KAUN DEYTA HAI?
Hidayat sirf Allah deyta hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "(Aye Nabi) Aap jise chahe hidayt nahi dey sakte balke Allah Ta'ala hi jise chahe hidayat aata farmata
hai. Aur wo hidayth paane walon ko khoob jaanta hai"[Al Qasas: 56]

28. HIDAYAT KIS KO MILTI HAI?


Hidayat us ko milti hai jo hidayat ki talash mein ho aur jis ke dil mein hidayat ke manney ka jazba ho✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Keh do ke Allah jise chahta hai gumrah karta hai, aur jo (us ki taraf) ruju hota hai us ko zaroor apni
hidayat deyta hai"[Ar Raad: 27]

29. KYA MARNE KE BAAD DUBARA ZINDAGI HAI?


Han, marne ke baad dubara zindagi hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Us ke baad phir tum ko yaqinan maut aa jayegi, phir qayamat ke din bilashuba tum sab (dub ara
zinda kar ke) uthaye jaoge"[Al Mominoon: 15,16]

30. QAYAMAT KE DIN KYA HOGA?


Qayamat ke din nek logon ko un ke aamaal ke mutabiq Jannat mein inaam milega aur burayee mein pade rehne walon ko
jahannum mein azab diya jayega✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Jin ki tarazu ka palda halka ho gaya ye hain wo log jinhon ne apna nuqsaan aap kar liya jo h amesha
ke liye jahannumi honge"[Al Mominoon: 103]

31. HUMARA SAB SE BADA DUSHMAN KAUN HAI?


Shaitaan hummara sab se bada dushman hai✓
Allah Ta'ala ne farmaya: "Shaitaan tumhara dushman hai tum bhi use dushman hi samjho wo apne giroh ko is liye bulata hai
ke wo sab (us ke sath) jahannumi ho jayen"[Fatir: 6]

32. AAKHIRAT KI KAAMYAABI KE LIYE KYA KARNA ZAROORI HAI?


Aakhirat ki kaamyaabi ke liye chaar kaam karna zarori hai✓
1. Emaan laana
2. Nek aamaal karna
3. Ek dosre ko haq ki takeed karna
4. Ek dosre ko sabr ki takeed karna
Allah Ta'ala ne farmaya: "Zamane ki qasam, beshak insaan sarasar nuqsaan mein hai, siwaye un logon ke jo emaan laaye aur
nek aamal karte rahe aur (jinho ne) ek dosre ko haq ki wasiyyat ki aur ek dosre ko sabr ki takeed karte rahe"[Al Asr: 1-3]

Aye Allah! Hum Sab Ko Deen Ki Sahih Samahj Aata Farma. Aameen

Вам также может понравиться