Вы находитесь на странице: 1из 3

Cast Away Review

---------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------
--------------------
Hook Start: Agar maan lijiye aap ek island mei fass jaate ho,
waha par koi nahi hai, koi khaane peene ya rehne facilities
nahi hai.
To kya aap apna Jeevan waha beeta sakte ho? Aaj jo mei film
recommend krne jaa raha hun wo issi topic par aadharat hai.
Agar aapne film Cast Away nahi dekhi hai to aap ye film
Netflix aur amazon prime mei dekh sakte ho. Agar aapke paas
inka subscription nahi hai to aap ye film JioCinema pr free
mei bhi dekh sakte ho. (Netflix, amazon prime, jiocinema,
Chuck in island, chuck drinking water)

Begin: To mei Rohit Tiwari Filmy Fandom ki taraf se aapka


swagat karta hu. Der na karte hue shuru karte hain aaj ka
video jismei mei Cast Away film ke baare mei baat karunga.
(cast away poster))
---------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------
--------------------
Logline: Ye kahaani Chuck Noland yaani Tom Hanks ki hai jo
ek plane crash se ek sunsaan island par aa girta hai aur ye
island uski zindagi badal deti hai. (chuck plane crash, chuck in
island2)

Character and Story establishment: Chuck, Fedex company


ka system analyst hai jo dunia bhar mei jakr waha ki
productivity issue ko solve karta hain. Iss kaam ne usko itna
time obsessive bna dia hain ki uske paas apne friends, family
aur apne health ko lekr time nahi rehta. Ek din jab wo
Malaysia, company ke kaam se jaa raha hota hai to uska
plane crash ho jaata hai aur wo apne aapko ek sunsaan island
mei paata hai. Ye island ke experience uske zindagi dekhne ka
nazaria badal dete hain. (chuck speech, chuck toothache,
chuck Kelly, chuck stan in plane)

Questions: ab sawaal ye aata ki wo kya karta hain itne saalo


tak island mei ? taaki wo zinda reh paaye. Kaise wo waha se
niklta hai? aur kaise wo island uski zindagi badal deta hain?
Lockdown ka sahi istemaal kartye hue ye film aapke liye must
watch hai.(chuck making fire, chuck drinking coconut juice,
chuck eating crabs, chuck getting out of island)

Extra(Film and Literary devices): Aapko bta du Iss film mei


symbolism kaa kaafi use kia gaya hai. jo literature students
hai wo samaj gaye honge. Symbolism yaani aise chiz jo ek
idea ka bodh karati hai. Jaise ki Wilson dikhne mei ek
volleyball hai par wo ek tarike se Chuck ke inner
consciousness ko symbolize karta hain, jo Chuck ki sanity ko
barkarar rakhta hai, usko important decisions lene mei
madad karta hain aur ek acha companion ki tarah act karta
hain.
Is film mei ek whale bhi. To aap comment karke bataye iss
film mei whale kya symbolize karti hai?(Wilson,whale, wings)

Khaas baat(my opinion) is film ki khaas baat hai ki ye kahi bhi


drag nahi lagta chahe chuck ka relationship ho ya plane crash
ho. iss film ka Focus Chuck aur uske inner consciousness ke
beech conflict ko lekar hi hai. (chuck Kelly in car, chuck plane
crash)

Technical department ka bohot minimum use kia gya h taaki


logo dhyaan film ke main idea se na bhatke.
Lighting mei zyadatar Natural light ka use kia gaya hai taaki
film aur real lage.
Sounds and music kaafi medititative aur Poetic feel deta hain.
Background Music bhi important jagaho par use kia gaya hai.
Island mei bhi birds, paani ki awaze kam sunane ko milti hai
aur saara dhyaan sirf Chuck ke dialogues par rakha gaya h
taaki audience aur connect kar paaaye Chuck se. (chuck in
island3, chuck in water)
---------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------
--------------------
Closing statement and Feel: Aakhir mei ye film aapko ek feel
good message ke saath chodhti hain ye btate hue ki aapko
life mei kabhi ummeed nahi chodhni chahiye aur har cheez
aapke control mei nahi hoti. (chuck last scene)

Aise hi videos dekhne ke liye humare channel ko subscribe


karna na bhule aur bell icon bhi dabaye jisse aapko video
notifications milte rahe.
Chaliey tab tak ke liye dhanyawaad. Fir milunga agle video
mei. Take Care Bye bye.(chuck monologue stan)

Images:

Вам также может понравиться