Вы находитесь на странице: 1из 2

JHOOT { LYING }

Gunahaanae Kabeera may say ek gunaah hai Jhoot.

Surah Nahl verse 105 “Only they forge the lie who do not believe in A..’s
communications, and these are liars.”
Surah Nur 24:8 “…..and pray for the curse of A…. on the liars.”
Imam Ali a.s. ki ek hadeeth “Koyi banda eimaan ka mazaa chak nahi sakta jab tak
jhoot ko tark na karay mazaak waala jhoot ya sanjeedgi wala.”

Jhoot kay 40 nuqsaanaat Shaikh Abbas Qummi nay apni kitaab may naqal kiye hai

Definition : “Haqeeqat kay khilaaf khabar dena.” Khabar yaani kisi ko information
dena.

Jhoot haraam hai chaahe zubaan say kaha jaaye, chaahe ishaaray say kiya ho, chaahe
qalam {likh kar} say, aur chaahay apna banaaya huwa ho chaahay kisi aur ka banaaya
huwa ho aur bagair hawaale {reference} kay agay naqal karay.

 Jhoot Khuda say baandhna eg. Koyi cheez Quran may na ho aur kahay kay hai.
Kuttay ki najaasat ka hukum Quran may nahi hai {haraam and jhooth}
Rasul ya Imam say jhoot baandhna e.g jhooti hadeeth un kay naam say pesh
karna.
Hadeeth ko bayan karnay ke 3 tareeqay hai warna no ijaazat.
 1.} Ilmi tareeqay say 100 % pata ho kay sahi hai i.e. raawiyo ka silsila
ghadeer or hadeeth e saqalain
 2.} Kitaab ka hawaala day.
 3.} Neither of the above then take care of 3 things
a. Zaruriyaat e deen and zaruriyaat e mazhab kay khilaaf baat na ho.
b. Imam ki touheen na ho rahi ho
c. Aisi ajeeb baat na ho kay jis say aqal e saleem rakhnay waale ka
hadeetho par say etemaad uth jaaye.

 Jhoot mazaak may ho ya sanjeedgi may ho haraam hai


th
4 Imam a.s. hadeeth “Apnay aap ko jhoot say bachaao chaahe chota jhoot ho ya bada
jhoot chaahe sanjeedgi may ho ya mazaak may.”

Rasul e Khuda s.a.w.s. nay qayamat ki nishaani yeh bataayi hai kay logo kay nazdeek
jhoot mazaak ban jaaya karega. A… ki laanat ho jhootay par agar who mazaak hi may
kyu na bol raha ho
 Jhoot haraam hai chaahe kisi ko hasaane kay liye bola jaaye, kisi ko rulaanay
kay ya kisi ko daraane kay liye.
 Jhoot haraam hai chahe apni pareshaani ko door karnay ke liye bole.
 Jhoot haraam hai chahe doulat ki kasrat, waledain ya khandan ki badhayi, apnay
ohday ki badhayi, etc. Ghar kay darwaze par koyi aaya hum hai aur hum nay
waapis bhej diya haraam,Kisi kay ghar gaye kisi nay khaane ko offer
kiya,takalluffan kaha nahi chahiye it is haraam.

Chand maqaamat jis ko islam nay jhoot nahi maana.


1.} Islaahay momin Do aadmiyo kay jhgday ko khatm karna
2.} Dafay zarar kay liye i.e. nuqsaan say bachnay kay liye maal izzat jaan ko bachanay
3.} Jang -Jihad kay moukay par jhoot ki ijaazat hai.
4.} Muhaaware aur mubaalighay may jhoot jaayez hai.eg “Saikdo dafa mana kiya hai
aisa mat karo” chahe only 10 times kiya ho “aisa jawwab diya kay uskay daat khatte
hogaye.”
1
5.} Majaaz {Simile}i.e. kisi aadmi kay liye kehna kay sher aa raha hai. Jaanwar ki
zubann say kuch kehekwana Koyi misaal di jaaye for gunaah ki mazammat or neki ki
achchayi ya Khuda ki maarefat aur hikmat ko bayaan karnay kay liye misaal di jaaye
6.} Zubaanay haal yaani aisa koyi waqiya jo pesh nahi aaya magar who cheez pesh aa
sakti thi . Eg of Karbala ka waqiya.when janab e Zainab calls for Hazrat Abaas to make
her sit on the horse.. Bashartay touheenay Imam na ho.
7.} Kissay kahaniyaa jis kay bare may pehlay say maaloom ho kay yeh cheez pesh
nahi aayi. Sher o shayeri.
8.} Sawaal karna, darkhwaast karna, dua o hukum dena agarche is say bachna behtar
hai
9.} Touriya yaani insaan aisa jumla kahay jis kay do matlab nikal rahay hai.aur sunnay
wala us galat matlab lay aur hum apnay dil may sahi matlab rakhay.”
Aam haalat may bagair majboori may na karay to achcha hai.
Touriye may iraada/niyyat karna padhti hai.
10.} Insaan mazaak ki haalat may koyi baat kahay lekin us ka maqsad saamne waale
ko koyi info dena nahi i.e. hum ko bhi haqeeat pata hai aur saamnay waale ko bhi
haqeeqat pata hai.

Acc to Aga Khoei bachay say bhi aur biwi say bhi jhoot bolna haraam hai.
Saying inshallaah also will not be considered as jhoot.

Jhoota waada.
1.Agar wada karte waqt iraada kay mai nahi poora karunga to yeh jhoot hai aur
haraam.
2.} Agar waada karte waqt niyyat thi poora karnay ki aur baad may bagair majboori
bhi na poora karay to makrooh
3.} Agar waada karte waqt niyyat thi poora karnay ki aur baad may majboori ho to no
problem.

A large number of Quranic verses and traditions condemn the sin of lying and describe
its evil consequences. The late Haji Noori has collected these verses and traditions and
classified them in to 40 points. We shall quote some of them below.
 The liar is not a believer.
 The blackened face of the liar.
 Sin of lying is worse than drinking wine
 The foul smelling mouth of the liar
 Falsehood deprives the liar from the taste of faithThe vice of lying questions the
character of the liar
 The traditions from Masoomeen a.s. inform us that all evils are locked in a room
and the key to that room is lying
 Lying is a sign of a hypocrite
 The Islamic Shariat does not pay heed to a liar’s advice
 Falsehood is the worst of psychological ailments.
 Lying is an embellishment of the Satan’s hands
 The worst earning of a man is falsehood.
 Imam Jaafar Sadiq a.s. is reported to have said “ One of the divine punishments
for too much lying is that A…. makes the liar afflicted with forgetfulness.”
 The liar is inflicted with several kinds of punishments.
 The liar is deprived of Namaz e Shab.
 Falsehood deprives the liar from true guidance and causes him to deviate.
 The liar does not deserve friendship and brotherhood.
 Inhuman form of the liar in Barzakh.

Ref: “Greater Sins” by Ayatullah al uzma Dastaghaub Shirazi-------Darse Touzee Cd by Moulana Sadiq Hassan)

Вам также может понравиться