Вы находитесь на странице: 1из 2

abhi kya kahen abhi kya sunayen

ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
wo jo harf jarf charag tha
use kis hawa ne bujha diya
kabhi lab hilenge to puchna
sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
wo jo nikahaton ka hujum tha
use dast-e-mauj-e-firaq ne
tah-e-khak kab se mila diya
kabhi gul khilenge to puchna
abhi kya kahen abhi kya sunayen
yun hi khwahishon k fishar main
kabhi be-sabab kabhi bekhalal
kahan kaun kis se bichar gaya
kise kis ne kaise ganwa diya
kabhi phir milenge to puchna
=======================
bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai
ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai
kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai
ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai
=====================
mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle
ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle
tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle
hashr k roz main puchunga Khuda se pahle
tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle
ai meri maut thahar unko zara ane de
zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle
hath pahunche bhi na the zulf dota tak "Momin"
hathkari dal di zalim ne khata se pahle
========================
ret par likh k mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo
log har bat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo
ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsas main patthar bahut hain 'Mohsin'
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo
=======================
thahar jao k hairani to jaye
tumhari shakl pahchani to jaye
shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
hamare ghar ki wirani to jaye
zara khul kar bhi ro lene do ham ko
k dil ki ag tak pani ho jaye
bala se tor dalo ainon ko
kisi surat ye hairani to jaye
=====================
ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi
is dasht main ik shahar tha wo kya hua awaragi
kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awaragi
ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi
ik main k tere nam se nashna awaragi
ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka wiran safar
ham log to ukta gaye apni suna awaragi
ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara k bhigi ret par main ne likha awaragi
le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin
ab jagna hoga hamain kab tak bata awaragi
kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main
'Mohsin' mujhe ras ayegi shayad sada awaragi
=============================
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
========================

Вам также может понравиться