Вы находитесь на странице: 1из 7

Hair Loss Treatment for Men in

Hindi Baalo Ka Jhadna Roke

HRELATE.COM

Har vyakti apne baalo ko swasth aur ghane banaye rakhna chahta hai. Kyoki
baal aapki khubsrati mai char chand laga dete hai. Lekin baalo ko jhadna
aajkal bahut aam baat ho gai hai, rojana 50 se 100 baalo ka girna to jaise
samanya hai.
Kintu jab yeh samasya bad jati hai to chinta ka karan ban jati hai. Aajkal
mahila se tulna kare to purusho mai bhi yeh samasya kaafi badti ja rahi hai.
Purusho mai samanya baalo se jyada baalo ka girna ya ek hi jagah se jayda
baal jhadne se ganjapan aa jata hai. Baalo ke jhadne ke kai karan ho sakta
hai jaise khan pan ki kami, minerals ki kami, jyada davaiyo ka sevan, tanav,
pradushan, baalo ki thik se dekhbal na karna aur purshuo mai helmet lagana
bhi baal girne ka ek karan ho sakta hai.
Kai purush mai to vashanugat bhi ganjapan ho sakte hai. Lekin aap pareshan
na ho aaj hum aapkoHair Loss Treatment for Men in Hindike dwara
baalo ko swasth aur majboot banaye rakhne ke liye kuch tips de rahe hai.
Jiski sahayata se aap baalo jhadane se rok payenge.

hrelate.com

Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Girte


Baalo Ke Upay

hrelate.com

Mild Shampoo Ka Kare Istemal


Baalo ko rojana mild shampoo se dhoye taaki sari gandgi saaf ho jaye kyuki
shampoo se baal dhone par sankraman aur dandruff dono nahi hota. Baalo mai
shampoo karne se na sirf baal swasth rehte hai balki jhadte bhi nahi hai.
Faydemand Hai Nariyal Ka Dudh
Nariyal parakrati ki di hui den hai, jo baalo ke liye bahut accha hota hai. Iske
alawa ise baalo par lagana bahut kargar sabit hota hai kyuki yeh baalo ki
koshikao ko poshan pradan karta hai. Isliye jab bhi nariyal ko baalo mai lagaye
nariyal ko kees kar uska dudh nikal le aur isko baalo ki jado mai lagaye. Kuch dino
tak iska upyog karne se aapke bal swasth aur majboot ban jayenge.

Vitamin Ki Kare Purti


Vitamin na keval sharir ke liye balki baalo ke liye bhi utna hi faydemand hota hai.
Yadi aapke sharir mai vitamin ki kami hoti hai to aapke baal bhi kamjoor hokar
girne lag jate hai. KyukiVitamin Asar ki jado mai sibum ki matra badata hai vahi
Vitamin
E sar mai rakt sanchar ko badata hai. Jisse baal majboot hote hai aur
hrelate.com
Vitamin B baalo ka rang banaye rakhne mai madad karta hai.

Pyaaj Ka Ras
Yadi aapke baalo ka girna kam nahi ho raha hai to pyaaj sabse sasta aur accha
illaj hai. Yeh har ghar mai aasani se mil jata hai. Pyaaj ke ras ko baalo mai lagane
ke liye pyaaj ko katkar mixer mai pees le, tatha baalo mai pyaaj ka ras lagane se
pehle toliye ko garam pani mai nikal kar nichod le aur baalo ko aadhe ghante ke
liye dhak de. Iske bad baalo mai pyaaj ka ras lagaye aur kuch der bad baalo ko
mild shampoo se dho le taaki pyaaj ki badbu nikal jaye. Aesa karib 1 mahine tak
karenge to aapke baal fir se ghane ho jayenge.
Tel Ki Malish
Yadi aap baalo ki samasya se kafi dino se pareshan ho rahe hai to aap rojana tel
ki malish kare. Yeh sabse behtarinHair Fall Solutionhai. Aap chahe to iss tel
mai sugandhit tel ko bhi mila sakte hai, tel se massage karne par sar mai hair
follicle sakriya hote hai aur baal jhadna kam hote hai.
Gile Baalo mai Kanghi Naa Kare
Jab baal gile hote hai unki jade uss avstha mai kamjoor hota hai. Aese mai jab
aap gile baalo mai kanghi karte hai to baal jhadne lagte hai. Isliye yadi kanghi
karna jaruri na ho to iska istemal na kare. Iske alawa jyada bar kanghi karne se
bhi
baal kamjoor hote hai aur jhadte hai. Aap chahe to halki halki ungliyo se baalo
hrelate.com

Har Thodi Der mai Pani Piye


Baalo ko majboot banane ke liye baalo ki jado ko pani ki bahut jarurat hoti hai.
Yadi aap baalo ko swasth aur khil khilata banana chahte hai to dinbhar mai kam
se kam 6 se 8 glasspani jarur piye. Isse aapke baal swasth bane rahenge.

Green Tea Baalo Ke Liye Labhkari


Green tea sharir ke liye to faydemand hai hi sath hi baalo ke liye bhi labhkari
hai. Ek research ke dwara pata chala hai ki green tea baalo mai lagane se baalo
ko jhadane se roka ja sakta hai. Ise baalo mai lagane ke liye ek cup pani mai
green tea ko dale aur ise ubal le. Jab yeh thandi ho jaye to ise baalo mai laga le.
Tatha 1 ghante bad baalo ko shampoo se dho le. Aesa kam se 7 se 10 din tak
karenge to aapko iska fayda dekhne ko milega.Green Tea for Hair Growthaap
khud mehsus karenge.

hrelate.com

Sar Se Pasine Ko Dur Kare


Jinke bhi baal teliya hote hai unke baalo mai dhul mitti jaldi chipak jati hai aur
wo jaldi gande ho jate hai. Baalo mai jami gandagi ke karan baal jhadne ki
sambhavna bad jati hai. Isliye aloe vera aur neem yukt shampoo ka istemal
kare isse baal ki gandahi bhi dur ho jayegi aur dandruff bhi nahi hoga.
Jo bhi purush helmet pehante ya vyayam karte hai unke sar mai pasina jaldi
aata hai aur pasina baalo mai jama ho jata hai. Jaisa ki hamne jana gile baalo ki
jade kamjoor hoti hai aur pasine ke karan baal jhadne lagte hai. Isliye baalo ki
saaf safai acche se aur baalo ko kapde se bandhe taaki pradushan baalo mai na
pahuche.

Upar aapne janaHair Loss Treatment for Men in Hindi. Yadi aap bhi baal jhadne ki
samasya se pareshan hai to uprokt salah ko jarur apnaye

hrelate.com

Вам также может понравиться