Вы находитесь на странице: 1из 10

BHAGVAD GITA

S U M M A RY P O I N T S
CHAPTER 1 KURKSHETRA KE YUDHHA
STHAL ME SAINYA NIRIKSHAN
Arjun sees relatives.
Moh of relative stops him.
He looses his strength and decided not to fight.
CHAPTER 2 GITA KA SAAR

Krishna asks Arjun ye sab use shobha nahi deta Ye kalmash aaya kaise.
Arjun again reasoned, all of them my relatives, what is the point, nothing is important if I kill
my own relatives. Etc.
Krishna said with Sarcasm, indirectly proving Arjun as fool, BG 2.11
Krishna explains to Arjun
Soul is eternal, body is temporary. No one can kill soul or neither soul can kill anyone.
Knowing this, shareer ke liye shok nahi karna chahiye.
All people here were always there, and will always be there. Because all are souls.
BG 2.13 Just like Small baby >> Kishore >> Adult >> Old, Similarly body also goes from old
body to new body.
BG 2.14 Sukh and Dukh are temporary - and one should learn to tolerate them.
Karma karo leking bina fal ke baare me soch ke. Ki acha hoga, bura hoga.
BG 2.47 Karma karne ke tum adhikari ho, lekin karma ke fal ke nahi.
Work for God only. Saare Karma fal Bhagwan ko arpit kar do.
Aisa karne se Karmo ka effect nahi hoga.
E.g. Tirth yatra jaana. Once decided, go for it. Mat socho ki train me bheed milegi ya nahi.
Wahan acha rahna khana milega ya nahi. Acha lagega ki nahi.
Sirf socho ki Bhagwan has arrange this plan for you. Ab bas aapko karna hai. Acha hoga bura
hoga jo bhi hoga, wo Bhagwan ke liye hoga. Bas ye soch ke kaam karo ki Bhagwan khush honge
agar ye kaam poora ho gaya to. Bas isi Bhawna se kaam karna hai.
Tray taapo se pareshan mat ho kyunki ye to is duniya ka format hai. Koi isse nahi bahca
hai. Duniya ka sabse ameer admi bhi isse nahi bacha hai.
Adkibhautik which are given by others
Adhyatmik given by self (body and mind)
Adhidaivik sardi, garmi, earthquake, flood, etc.
Asakti, Bhay and Krodha se mukta raho:
Asakti Affection. Bache, beewi, ghar, naukri, paise, samman, respect, position, designation,
beauty, etc. etc.
Asakti se bachne ke liye ye jaanna zaroori hai ki what is real you?
Soul eternal.
Bhagwan ka ek saans = Bhrama ke 100 Years.
Bhrama ka ek din = 1000 Yuga.
1 Yuga = 100,000 Years. Hazaro saal.
Is hisab se soul ki life = crores of years.
This life 100 years. Max.
To ye thode ke liye jo bhi property, relatives wagaira hain. Wo itne important nahi hain.
Important hai humara real relationship. With God.
Soul Part and Parcel of God. Happy only when serving God. Can go back to baikuntha only when
free from material world. This is real job.
Asakti, Bhay and Krodha se mukta raho:
Bhay main beemar to nahi padoonga. Family member to beemar nahi padenge. Loan kaise
chukega. Raste me bheed to nahi milegi. Bank me officer kaam karega ki nahi. Akela kaise rah
paoonga. Future me mere jaane ke baad bakiyo ka kya hoga, etc.
Jo bhi ho raha hai, wo apke karmik account ki wajah se hai. Aur baaki family members ka bhi
apne apne account ki wajah se hoga.
Lekin karmo ke falon se mukti mil sakti hai. Agar aap Krishna ki seva me lag jaao.
Bhagwan kahte hain ki meri sharan me aao. Main saare bure karmo ke falon se mukti karoonga.
Thats it. Zyada sochne ki zaroorat hi nahi hai.
Hare Krishna Hare Krishna Krishna Krishna Hare Hare, Hare Rama Hare Rama
Rama Rama Hare Hare mantra ka jaap karo aur Bhagwan will take care.
One who has faith in God will be free from all problems. So do not worry.
Asakti, Bhay and Krodha se mukta raho:
Krodh Ex: Wife ne baat nahi suni, Pati meri baat nahi manta, mere relative ne mujhe izzat
nahi di, mere sath hi bura kyun hota hai, mujhe pahle khana kyun nahi diya, mera rasta us admi
ne kyun kata, wo admi dhang se kaam nahi karta, usne mere se dhokha kiya.
Gussa tab aata hai, jab chizen hamare hisab se nahi hoti. Aisa hone se humare ahamkar ko thes
pahunchti hai. Hum chahte hain ki jo bhi ho raha hai wo thik tareeke se ho. Aur hum sochte
hain ki main jo soch raha hoon wahi thik tareeka hai. Isi wajah se gussa aata hai.
Control ke liye sochna chahiye ki jo bhi mere sath ho raha hai wo mere past karm fal hain. Is
duniya ka format hi yahi hai ki yahan par Tray Taapon se humesha hume joojhna padega.
Jal, prithvi, vayu, akash, agni, man, buddhi, ahamkar. Ye bhagwan ki apara prakrati hain. Aur
humari body bhi inhi se bani hui hai. Hume iske upar uthna hai. Hume na kewal Panch tatwon
se bane is shareer se upar uthna hai (matlab ki bodily senses se), balki Man, budhi and ahamkar
se bhi upar uthna hai. We are Soul, and soul is trascental to man, budhi and ahamkar. Agar hum
Ahamkar ko follow karenge to hum kabhi bhi khush nahi rahenge. Because it is material, not
spiritual.
Shubh and Ashubh material world me hote hi hain. It is the format. This world is full of anxiety. No
one can be happy in this material world. Lekin shubh and ashubh 3 modes of material nature (maya)
ki wahaj se hote hain. Humara in par koi bhi control nahi hai. The only control is indirect, which
happens only when we work in Krishna Consciousness.
maya Bhagwan ke under kaam karti hai. She is maid servant of Bhagwan. To agar aap Bhagwan ki
seva karoge to maya apka baal bhi baanka nahi kar sakti. Lekin aap apna khud ka dimag laga ke maya
se bachna chahte ho aur Bhagwan ki bhakti nahi karte ho, to maya apko poori tarah se parast kar
degi.
Admi ko chahiye ki Sesnses ko control kare.
Senses >> Kaam >> kaam poora na hone pe Krodh >> Krodh se Poorn Moh >> Moh se Smaran
Shakti (Logical and mental power) slackens >> Bhav Koop me girna.
BG 2.71 Real Peace No sensual pleasure, No desires, no Affection and No Ego
CHAPTER 3 KARMAYOG
BG 3.3 Self Realization ke liye log 2 type ke effort lagate hain.
1. Gyan yog (analytical study, speculations, etc.) jo ki baad me bhatimay seva hi ban jaata hai.

2. Bhaktimay Seva (Krishna Conscious Karma) (also called as Karmayog or Buddhiyog)

Always do Karma but not for yourself but for Krishna. This way, you will be unaffected by the
results of Karma and will go to God.

Вам также может понравиться